Welcome to my blog!

Meet the Author

Blessed with the best _ Alhumdulillah!a million times for every blessing in my life.

Looking for something?

Subscribe to this blog!

Receive the latest posts by email. Just enter your email below if you want to subscribe!

Monday, December 30, 2013

Mujhay sab yaad aata hai


Suno!

IK baar phr se agaya woh din

Wohi din jis k khatir hum jhagartay thy

Tumhai mujhse yeh shikwa tha

K main yeh din....!!!

Hamesha bhool jata hoon

To main tum se yeh kehta tha

Hamen is din se kiya layna

Hamara har ik din hi

Haseen baton main katta hai

Sabhi raten humari to

Guzarti hain mohabbat ki panahon main

Magar janaa...!!! Na Jane kiun

Tum ab jo door ho mujh se

Yeh din mujhko nahin bhoola

Isi din ko najaney kiun

Mujhay sab yaad aata hai...!!!


Bohat chahne wali larki


Bohat chahne wali larki

Mujhay iqrar hai

Tumhai chaha bhi tha phir bhula bhi diya

Na yeh Moujah sa hai

Na yeh hadsa hi hai

K log to mabood ko bhi bhool jatay hain

Aur phir tumhara aur mera rishta hi kiya tha????

Main sitara tha teri ankhon ka


Main sitara tha teri ankhon ka

Maa! Mujhay dakh ab kahan hoon main ?

Bohat hi muddat k bad kal jab


Bohat hi muddat k bad kal jab

Kitab e maazi ko maine khola

Bohat se chahre nazar main utray

Bohat se naamon pay dil paseeja

Ik aisa safah bhi aya is main

Likha hua tha jo anssoo' on se

K jis ka unwaan "humsafar" tha

Jo safah sab se hi moutbar tha

Kuch aur ansoo'n phr is pay tapkay

Phir is se aagey main parh na paya

Kitaab e maazi ko band kar k

Tumhari yaadon main kho gaya main

Ager tu milta to kaisa hota

Inhi Kheyalon mian so gaya main...!

Rabtay zarrori hain ager rishtey bachaney hain to....!


Rabtay zarrori hain ager rishtey bachaney hain to....!


Laga kar bhool janay se to poday bhi sookh jatay hain!

AKSAR DUKH INSANO K MARNE KA NAHIN HOTA





AKSAR DUKH INSANO K MARNE KA NAHIN HOTA 

BALKAY

APNAYAT , MOHABBAT AUR KHULOOS KAY TOOT JANE KA HOTA HAI...





Guzarta saal hai



Guzarta saal hai

or saal ka ye aakhri din hai


abhi kuch dhoop hai lekin


zara c der ko tay hai k aakhir


shaam honi hai


haqeeqat ya kahaani jo bhi hai


anjaam honi hai


agar tay hai yehi hona


to phir kis baat ka khadsha


to phir kis baat ka rona


chalo mil beth kar apnay


khasaaray baant lete hein


sabhi rang aur jugnu or sitaaray


baant lete hein....

guzarta saal hai or saal ka ye

aakhri din hai


abhi kuch dhoop hai lekin


zara c der ko tay hai k aakhir


shaam honi hai


haqeeqat ya kahaani jo bhi hai


anjaam honi hai


agar tay hai yehi hona


to kyoun na shaam se pehlay


kisi anjaam se pehlay


bhula kar har pareshaani


jhatak kar har takalluf ko


jo kuch ghariya'n mayassar hein


inhi mein zindagi kar lein


kisi ehsas ki sham'a jala kar in


andheron mein


koi dam roshni kar lein


chalo hum dosti kar lein,


Friday, December 27, 2013

Thursday, December 26, 2013

Ta'aulq toot jayen to safeene doob jaty hain





Ta'aulq toot jayen to safeene doob jaty hain

Yeh sab kehne ki baten hain

Haqeeqat kuch nahin hoti.!




Phir Uski Har Adaa Se Chalakne Laga Khuloos





Phir Uski Har Adaa Se Chalakne Laga Khuloos
Jab mujhko Aitbaar Ki Adat Nahin Rahi

Be-khuloos logo'n se





Be-khuloos logo'n se

Ijtinab karna hay


Mujhy apne rishto'n ka

Ehtisab karna hay


Usay bhool jana hay ya

Usay yaad rakhna hay


Dukh tou ek jesa hay bs

Intikhab krna hay


Uljhi nigahon se





Uljhi nigahon se

musalsal mujhe dekhta raha,

Aayiney mein kharra 

shakhss pareshan bohat tha..


Ab So Bhi Agr Jaoun To Dastak Nahin Dytay





Ab So Bhi Agr Jaoun To Dastak Nahin Dytay

Tabeer K Aaseeb Se Kuch Aise Dare Khuwab

Tumhara naam layti hoon to fizaa'en raqs karti hain




Tumhara naam layti hoon to fizaa'en raqs karti hain

Tumhari yaad aati hai ...... to armaan lar kharatay hain



Main Raag Chehroon To Woh Mujhse Baat Karta Hai





Main Raag Chehroon To Woh Mujhse Baat Karta Hai

Woh Bas Raha Hai .......... Mere Voilen K Taron Main!!!

Na bujha chiragh-e-dayaar-e-dil____na bichrne ka tu malaal kar





Na bujha chiragh-e-dayaar-e-dil____na bichrne ka tu malaal kar

Tujhe de gi jeeny ka hosla______meri yaad rakh le sambhal kar


Ye bhi kya ke ek hi shakhs ko kabhi sochna_____kabhi bhoolna

Jo na bujh sake wo diya jala______ jo na ho sake wo kamal kar


Gham-e-arzu meri justju_______main simat ke aa gaya ru-baru

Ye sukoot-e-marg hai kis liye_____main jawab doon tu sawal kar


Tu bichhar raha hai to soch y________tere hath hai meri zindgi

Tujhe rokna meri mot hai___________meri bebsi ka khayal kar


Mre dard ka, mre zabt ka_________meri be-basi, mere sabr ka

Jo yakeen na aaye to dekh le, tu hawa mein phool uchaal kr..!!


Lambay safar ki oat mein pal bar nahin ruka




Lambay safar ki oat mein pal bar nahin ruka

Mein waqt k fareeb mein aa kar nahin ruka_______!!


Phir aa gaya aik naya sal dosto_______

Is bar bi kisi say December nahin ruka___________!!


Lay kar kisi nay haath mein kashkol-e-waqt

Aisa safar kia k kahin per nahin ruka______________!!


Manzar kay aks mein koi chera chatakh gaya

Sheshay kay pas aa kay jo pathar nahin ruka______!!


Chalta raha adoo ki safain rondta howa_____

Lakhon ka khoun-e-jigar kar k b lashkar nahin ruka___!!


Bas yeh howa k Akhri lamha bi aa gaya

Dil ka tawaf koocha-e-dilbar nahin ruka______!!


"Khushk patton ki Tarha





"Khushk patton ki Tarha 

Bikhrey Hum Gali koochon Me. 


"Hawa Sey Dil-Lagi 

Ka koi To Anjam 

Hona Tha.




Uski YAD thi or me tha bas,


Uski YAD thi or me tha bas,
Wo ek Aks tha or me tha bas,

Chalte Chalte kahin Duniya ka kinara dekha,
Han wo ek RAAH thi or me tha bas,

Usko CHAHA tha mene ZINDAGI se BARH kar,
Wo mera PYAR tha or me tha bas,

ZINDAGI CHOR gai mujhko FAQAT ye keh kar
Wo tera KHAWAB tha or KHAWAB tha bas.

Barhti Huwi Har Roz Ki Wehshat Se Gire Ga ..


Barhti Huwi Har Roz Ki Wehshat Se Gire Ga ..
Lagta Hai Walli Apni Welayat Se Gire Ga ..

Hum Teen Hain Main Hoon Ye Zamee'n Hai Wo Falak Hai ..
Hum Main Se Koi Toot K Shiddat Se Gire Ga ..

Ay Sabz Shajar !! BoL Tujhe Kitna Hilaoo'n ..
Ye Jisam Ka Phall Kitni Ibaadat Se Gire Ga ..

Aansoo Hai, Parinda Hai, Sitaara Hai Falak Hai ..
Kiya Kuch Na Teri Aankh Ki Ghaflat Se Gire Ga ..

Kiyon Sar Ko Utha Kar Teri Jaanib Koi Dekhay ..
Girna Hai To Phir Kon Ijaazat Se Gire Ga ..

Girte Huwe Mushkil Mujhe Pesh Aai To Socha ..
Be-Jaan-e-Badan Kitni Sahoolat Se Gire Ga ..

Ess Shehar Ki Buniyaad Main Pehley Bhi Lahoo Tha ..
Ye Shehar Essi Apni Nahoosat Se Gire Ga ..

Dushman Bhi Essi Taak Main Muddat Se Hai Lekin ..
Ye Ghar Meray Apno'n Ki Wasattat Se Gire Ga ..

TaaQat Ki Yahaan Koi Zaroorat Hi Nahi Hai ..
Nafrat Ka Darinda Hai Muhabbat Se Gire Ga ..

KaL Raat Ko Main Ne Aik Khuwaab Dekha,


KaL Raat Ko Main Ne Aik Khuwaab Dekha,
Khuwaab Main Aik Chehra Maine Be-NaQaab Dekha,

Dekhta Hi Reh Gaya Tha Main Unhain,
Hussan Hi Kuch Aisa La-Jawaab Dekha,

Noor Hi Noor Tha Saraapa Un Ka,
Kitnaa Be-MisaaL Shabaab Dekha,

Dekha Surukh Laboo'n Ko Jub Muskuraaty Howe Un K,
To GuLshan Main Sharminda GuLaab Dekha,

Bedaar Howe Neend Se To Ye Jaana Sanam,
Kitna Haseen Tha Jo Main Ne Khuwaab Dekha,

Hasrat Hain Unhain Phir Dekhne Ki SAHiL,
Apni Bhi To Kuch Niyyat Kharaab Dekha,

Tuesday, December 24, 2013

Sochta Hoon Bana Hi Daloon


Sochta Hoon Bana Hi Daloon

Koi Fiqah Udaas Logon Ka

Ab Ke Barish Main,Kuch Aisa Karna,





Ab Ke Barish Main,Kuch Aisa Karna,
Apni Hatheli Pe,Qatroon ko Jama Karna,
Jo Jama Ho Jain,
Wo Sab Teri Chahat,
Aur Jo Reh Jain,Wo Sab Meri Chahat....!!!! 

Meri likhi har baat ko



Meri likhi har baat ko 
Koi parh nahin pata

kiun main ehsaas likhta hoon
log alfaaz parhtay hain

December theher jao




December theher jao


Abhi lamhay nahin bikhray

Abhi mousam nahin bichray

Mere kamray ki thandak main

Bhi kuch dhoop baqi hai

Meri diary k kuch safhay

Abhi kuch keh nahin paaye

Mere angan k sab poday abhi bhi bhi gungunatay hain

Mere bejaan honton par 

Abhi muskaan wesi hai

Kisi k lout aaney ka imkaan baqi hai

December i baat boloon ager maan jao

December tum theher jao!



Pehle saleeb_e_dard ki hum se zubaan li


Pehle saleeb_e_dard ki hum se zubaan li

Phir us ne ja k baat zamay ki maan li

Kal shaam youn hua k hawaon k zikar par

Bujhtay huye charagh ne bhi janlnay ki thaan li

Woh pesh pesh aaj saf _e_ dushmana main hai

Kal jisne bhheek mang kar hum se amaan li

Phir us ne hum se rotay huaye alvida kaha 

Basti main jab uqaab ne chiriya ki jaan li

Jo khud ko keh raha hai hawaon ka tajdaar

Usne to hum se mang kar itni uraan li

Shayed kharidny ko aye woh ik din

So hum ne zindagi se wafa ki dukaan li....

________Dastak bhi dy raha hoon to


____Dastak bhi dy raha hoon to
khaali makaan par

Or

_____Muntazir bhi hoon k
Abhi aaye gi sadaa.

Usey kehna! Yeh duniya hai...


Usey kehna!
Yeh duniya hai...
yahan har shaks matlab ki 
hadon tak sath chalta hai...

Jounhi mousam badalta hai
Mohabbat k sabhi Daawey!
Sabhi Qasmen!
Sabhi Waadey!

Achanak toot jatay hain

Usay kehna!
Yaeh duniya hai
Yahan har morr pay
Apnii!
Sada ankhen khuli rakhna!

Koi Kitna bhi acha ho
Koi kitna bhi sacha ho
Magar
Aitbaar matt karna!

Usy kehna yeh duniya hai !!!

Falak se torr laya hoon


Falak se torr laya hoon
Magar phir se nai zidd hay

Sitare main nahin lyta
Mujhay chand la kar do...:)

Monday, December 23, 2013

Apnay sard kamry mein


Apnay sard kamry mein
main udas bethi hon
neem wa dareechon say
num hawain aati hain
mere jism ko chu kar
aag c lga deti hain
tera naam lay lay kar
muj ko gud' gudati hain

kaash mere par hoty
tere pas urr aati
tujh ko chu kay laut ati
main nahi magr kuch bhi
sang'dil rawajon kay
aahni hisaaron me
umr qaid ki mulzim
sirf aik larki hon !

Rafta-Rafta Bujh Gaya


Rafta-Rafta Bujh Gaya Chirag-E-
Aarzoo
Pehle Dil, Phir Duniya, Phir Zindagi
Khamosh Honey Lagi

Saturday, December 21, 2013

December ka rawaiya bhi Usi be dard jaisa hai





December ka rawaiya bhi
Usi be dard jaisa hai
Na jazbon main tapish koi
Na lehja main koi garmi
Na baton main koi narmi...!!




Halki Halki Si Sard Hawa Zara Zara Sa Dard_e_Dil


Halki Halki Si Sard Hawa Zara Zara Sa Dard_e_Dil

Andaz Acha Hai Ay December Tere Aaney Ka

Zikar_E_Shab_E_Firaaq Say_____ Wehshat Ussey Bhi Thi


Zikar_E_Shab_E_Firaaq Say_____ Wehshat Ussey Bhi Thi
Meri Tarah Kisi Say_____________ Muhabat Ussey Bhi Thi

Mujko Bhi Shoq Tha________ Naye Chehroon Ki Deed Ka
Rasta Badal Kay Chalnay Ki_________ Aadat Ussey Bhi Thi

Uss Raat Dher Tak Raha_______ Woh Mehw-e-Guftagoo
Masroof Mein Bhi Kam Tha_______Faraghat Ussey Bhi Thi

Mujse Bichar Kay Shaher Mein__ Gull Mil Gaya Woh Shaks
Halankay Shaher Bhar Say_______ Adawat Ussey Bhi Thi

Woh Mujse Bhar Kar Zabt Ka Aadi tha________Jee Gaya
Warna Har Eik Saans __________Qayamat Ussey Bhi Thi

Sunta Tha Woh Bhi Shouq Say______ Purani Kahaniyaan
Shayid Rafaqatoon Ki ___________Zarorat Ussey Bhi Thi

Tanha Howa Safar Mein To ____Mujh par Khula Yea Bhaid
Saye Say Pyaar _______ Dhoop Say Nafrat Ussey Bhi Thi

Mohsin Mein Ussey Keh Na Saka______ Yun Bhi Haal_E_Dil
Darpaish Ek Taza Mosibath______________ Ussey Bhi Thi

Uss Say Kya Pochna Safar Ki Thakan..!!


Uss Say Kya Pochna Safar Ki Thakan..!!
Jiski Manzil Hi Rehguzar Tehray..!!

Uski Qeemat , Azaaab Suraj Ka..!!
Woh Sitara Jo Taa-Saher Tehray..!!

Uss Ki Ankhein Udher Gaye Hi Nahe...!!
Log Kya Kya Na Morr Per Tehray..!!

Hum Say Kaisa Ha'zer Hawa-e-Safar..!!
Hum Toa Gird-e-Raah-e-Safar Tehray..!!

Jukh Kay Chomey Na Kyun Falak Mohsin ..!!
Jab Sinaa'n Par Kisi Ka Sarr Tehray..!!

Daleel Thi Na Koi Hawala Tha Paas Un Ke...


Daleel Thi Na Koi Hawala Tha Paas Un Ke...
- -
Ajeeb Log Thy, Bussss Ikhtilaf Rakhtey Thy....!!!!!!

"Wo mayosi k lamho main agar zara bhi hosla detha,


"Wo mayosi k lamho main agar zara bhi hosla detha,
tou hum kaghaz ki khashti per hi sumandar main uter jatay...!!!

SanSoo Ka ChaLna AgaR NaaM ZinDaGi HaIn..


SanSoo Ka ChaLna AgaR NaaM ZinDaGi HaIn..
Touu....JeEnE Waal0oN MeIn Mera Naam 
BHi Likhna ...)

Aey dil-e-zaar koi khawab badal


Aey dil-e-zaar koi khawab badal

Phir wohi aankh, wohi raah, wohi weraani......

Tujh se bichra to kisi dar ka na raha..


Tujh se bichra to kisi dar ka na raha..

khusk pattay ki tarhan aj bhi safar me hun..!! — 

Tumhare Khuwab Sajane Mein Lutf Ata Hai..


Tumhare Khuwab Sajane Mein Lutf Ata Hai..
Apne ApKo Jalane Mein Lutf Ata Hai..

Khuda Se Apne Liye Mangta Hu Jab Tum Ko..
Mujhe Yeh Hath Uttane Mein Lutf Ata Hai..

Tumhari Yaad Mein Bus Jagta Rahu Shab Behr..
Khud Apni Neend Churane Mein Lutf Ata Hai..

Tumhari Zaat Se Hai Be_Panah Pyaar Mujhe..
Tumhare Naaz Uttane Mein Lutf Ata Hai..!!

')