Welcome to my blog!

Meet the Author

Blessed with the best _ Alhumdulillah!a million times for every blessing in my life.

Looking for something?

Subscribe to this blog!

Receive the latest posts by email. Just enter your email below if you want to subscribe!

Tuesday, November 5, 2013

Aurat bell ki tarh hoti hai .....aur mard





Aurat bell ki tarh hoti hai .....aur mard deewar ki tarah .......Bell sari umer deewar ko dhoondti rehti hai ....... Jis k sahare woh Uper ja sakey nazron main aa sake ........ Jahan tak deewar jati hai , woh bhi bas waheen tak jati hai....Bell ko lagta hai k deewar na hoti to woh zameen pay rulti rehti ....... Logon k peron tale aati , Mager inki nazron main nahin hoti .......Woh sari umer deewar ki mashkoor rehti hai.....Use saaya deyti hai , use phoolon se sajati hai , mehkati hai ...... Jab sookhny lagti hai to bhi sath hi chipki rehti ha i....... Ksi chupkali ki tarah khatam honey k baad bhi ise deewar k ilawa kisi dusre ka saharaa nahin chhayea ......... Aur deewar ....... dekhen deewar ka kitna faida hota hai ......... Iska wajood bell dhak dyti hai ......... Is k samne aik aar bana dyti hai........Har cheez se ise mehfooz kr dyti ha i......... Ise saaya dyti hai........Ronaq dyti hai .......... Poolon se sajati mehkati hai ........... Aur khud khatam hone tak is ki ehsaanmand rehti hai ..........Aur deewar to bas sahara dynay ka faida uthati hai ............ Bus saharaa dyne ka aur woh bhi sari umer ....!!!



1 comment:

  1. With competition increasing for auto title loans online,
    title lending stores are upgrading for the plate Meghan Tozloski that means laying out your challenges
    you faced and that which you did to address them,
    anything from introducing new cost controls to improving margins by way of a different pricing strategy.

    ReplyDelete

')