Jab aik chehra insaan ki nazar main aata hai to uska andaaz badal jata hai .... Kaainaat badli badli si lagti hai .... Balke zahir aur batin ka jahan badal jata ha ... Mohabbatse aashnaa hone wala insaan har taraf husan hi husan dekhta hai ....Iski zindagi nasar se nikal kar Shair main dakhil ho jati hai .... Andesha _e_ sood _o_ziyan se nikal kar insaan jalwa _e_ janaa main gum ho jata hai .... Iski tanhaaii main maile hotay hain .... woh hansta hai besabab ...Rota hai be jawaz ...Mohabbat ki kaifiyat jalwa_e_mohabbat k siwa kuch nahin ....Yahan yeh sawal paida hota hai k jawaz kiya hai ??? Aur haqeeqat kiya ?
Darasal mizaj _e_bazaat khud aik haqeeqat hai .....Aur yeh haqeeqat us waqt tak majaz hai ... Jab tak raqeeb nagawar ho ....Jis mohabbat main raqeeb qareeb aur humsafar ho ... wo ishq haqeeqi hai ....Apna ishq apne mehboob tak hi mehdood rakha jaye to maajaz .... Aur agar apni mohabbat main kaainaat shareek karne ki khuwahish ho to haqeeqat .
No comments:
Post a Comment