Muhabbat jhoot lagti hai mujhay
ik khookhla jazba
jisay izhar ki her waqt khuwahish hoo
kahay janay ki
sunanay ki
jisay her pal zaroorat hoo
"mujhay tum say muhabbat hai"
na janay rooz kitnay loog
is jumlay ko sunnnay k liyay baidar hotay hain
ye aisa jhoot hay jis ka sehr
sadioo’n say tari hai
magar janaa’n
muhabbat jab kabhi izhaar ko tersay
koi tum say ager kah day
"mujhay tum say muhabbat hai"
to us ki baat mat sunnana
muhabbat rooh say phootay
muhabbat aks ban jaye
to phir tum ko yaqee’n aye
k main nay sach kaha tum say
muhabbat rooh ban jaye
to phir us ka yaqee’n kerna
warna aik jumla koi kitni baar duhraaye
kahay jayee
nahi sunna
muhabbat jhoot hai janaa’n
ager izhaar ki is ko zaroorat hoo…. !!
No comments:
Post a Comment