Dikhayi dete hain duur tak ab bhi saaye koi
Magar bulaane se waqt lautey na aaye koi
Chalo na phir se bichhayein dariyaan bajayein dholak
Lagake mehendi sureeley tappe sunayein koi
Patang udayein chhatton pe chadh ke muhalley waaley
Falak to saanjha hai us mein penche ladayein koi
Utho kabaddi kabbadi khelenge sahardon par
Jo aye abke to laut kar phir na jaye koi
Nazar mein rehtey ho jab tum nazar nahin aatey
Yeh sur milaatey hain jab tum idhar nahin aatey
Nazar mein rehtey ho jab tum nazar nahin aatey
Yeh sur bulaatey hain jab tum idhar nahin aatey
No comments:
Post a Comment