Welcome to my blog!

Meet the Author

Blessed with the best _ Alhumdulillah!a million times for every blessing in my life.

Looking for something?

Subscribe to this blog!

Receive the latest posts by email. Just enter your email below if you want to subscribe!

Monday, October 25, 2021

zindagi me pheley hume kisi na kisi ka sath chaiye hota hai

zindagi me pheley hume kisi na kisi ka sath chaiye hota hai chata hai k insaan us k sath wafa krey jis trah wo  doosro k sath sulook krta hai chata hai log is se brah kr us k liye wafa krey us ko bhut maan hota hai us pr jis se us ki umeedein  Qayam hoti hai jb jb kisi naye insaan se millta ussey lagta yahi humarey liye behtereen sathi hai ye hume kbhi mayoos nhi krey ga likn ghum hume ye dikhatey hain kon hai apna or kon apna ho k bhi paraya ha rafta rafta sb sath chor jatey hain badal jatey jin se sb se ziada umeedein hoti hain  asal main sb se ziada   takleef bhi  wohi dete hain humara sath chor detey humara jo baharm hota un  ko kach ki trah tokrey tokrey kr k bhikher detey hain hum jur jatey hain phir kisi k hatho phir tor diye jatey takleef itni brh jati hai dubaara jurne ki himmat nhi phir hum kisi se ummedein, kisi pr yakeen krne se darr jatey hum aik mor pr thak jakey humey samjh a jata hai 


k Allah k siwa koi humara nhi duniya walo k saharey khokaley hain Allah phir humey asa jurta hai jiseey hum kbhi tootey hi na ho Allah un logo ko  humari zindagi me shamil krta hai jin se humey koi umeed nhi hoti or wo kisi naiki ka sila lagtey hain jese wo humari dawa ban k aye ho wo bhi khaas waqt me kisi khusboo trah bhichir gatey hain aik waqt asa ata hai koi humara sath ho ya chor k chala gaye jaye humey fark nhi perhta q k hume pata hota hai k Allah humarey her qadam pr sath hai bas yahi kafi hai


No comments:

Post a Comment

')