Welcome to my blog!

Meet the Author

Blessed with the best _ Alhumdulillah!a million times for every blessing in my life.

Looking for something?

Subscribe to this blog!

Receive the latest posts by email. Just enter your email below if you want to subscribe!

Pages

Tuesday, February 26, 2013

Kabhi aisa ho k





Kabhi aisa ho k

mousam ki phaily barish main

koi nanhi si boond

palkon k dareechay main aa thairay

aur

main

lams e ashnai paa k

jab holoay say ankh kholoon

to 

tujahai ro baroo paoun



Monday, February 25, 2013

Usay kehna !






Usay kehna !

December ja raha hai

Aur december ki akhri sham hai

Aur december k guzartay hi

Baras ik aur mazi ki fiza main doob jaye ga

Usay kehna!

December k guzarnay say zara phailay

Mohabbat ki kahani ko koi takmeel day jana

Usay kehna!

December ka maheena jaisay hi guzray ga

Umeedyen doob jayen gi

Woh sapnay toot jayen gay

Usay kehna!

December k guzarnay say zara phailay

Mohabbat ko koi tabeer day jay

Usay kehna!

Muqadar ko hamaray dob janay say bacha layna!



Kaha us na shakhon say !





Kaha us nay shakon say!
Juda pholon ko karnay ki
hawaon ki jo sazish hai
Usay achi nahin lagti
Faqat ik pal ko ji chaha
Usay itna keh doon aaj!
Mohabbat....!!!
Phool ki pation say
Barh kar bhi nazuk hai
Jisanay qadmon talay usnay
Kabhi ka rondh dala hai!!!!!_____


With
Kahkashan khan

Sunday, February 24, 2013

Sirf woh ik shaks kisi tarah say mil jata ager!





Sirf wo ik shaks kisi tarah say mil jata ager .........

Mujhay manzoor thay 

Phir jitnay bhi khasaray hotay!___With Kahkashan khan



Usay kehna!!!




Usay kehna!

Sada mousam baharon k nahin rehtay

Sabhi pattay bikhartay hain

hawa jab raqs karti hai!___With Kahkashan khan






Ager tum kamyabi chahtay ho....!





Ager tum dill griftah ho

k tum har jao gay

to phir tum har jao gay

ager khatir shikastah ho

k tum kuch kar nahin saktay

yaqeenan kar nahin pao gay

yaqeen say aari ho kar

manzilon ki simt chalnay say

kabhi manzil nahin milti

kabhi kankar k jitnay hoslay walon


say bhari sill nahin hilti

zamanya main hamesha kamyabi

un k hissay main aati hai

jo awal din say apnay sath

ik azam musmam lay kar chaltay hain

k jin k dill main azam o hosla ik sath paltay hain

ager tum chahtay ho kamyab o kamran hona

to bus rakhta e safar main

tum yaqqen o azam ki mash

al jala rakhna

safar dushwar tar ho

tab bhi himmat , hoslah rakhna

safar e aghaz jab karna 

to bas itna samjh layna

jahan main kamyabi ki yaqeen walon say yaari hai

ager tum bhi yaqeen rakho


to phir manzil tumhari hai__________With kahkashan khan


http://kahkashankhan1990.blogspot.com/

Insan ki fitrat ko samjhtay hain parinde bhi.....







Insan ki fitrat ko- samjhtay- hain parinde bhi!!!


Jitna bhi pyar say bula lo- magar pass nahin aatay



Saturday, February 23, 2013

Jo batyen main keh nahin sakta!!!




***Jo batyen main keh nahin sakta


Unhai main farz karta hoon!


Chalo main farz karta hoon k


Mujhay tum say mohabbat hai,***............



Friday, February 22, 2013

Mujhay Tanha Nahin Krana.......





Mujhay tum say yeh kehna hai!

mujhay parchayon, tanhaiyon say khouf aata hai..

mujhay tanha nahin karna

mujhay tum ko batana hai!

meri sochon k jangal main

tumharay naam k jugnoo rasta dikhatay hain

inhai bhujnay nahin dayna

meri neendon k shra main

tumharay khwuab ka saaya bohat ziada zaroori hai

isay ghatnay nahin dayna

yeh to tum bhhi jantay ho na!

mere lafzon ki maalayen

meri sari taman'nayen

tumharay bin adhor hain

meri har soch k angan main tum hi jagmagati ho

mere be rabt jumlon ko tumhi misray banati ho

meri sab shairi janaa!

tumharay bin adhori hai

meri har ik khushi janaa!

tumhary bin adhori hai

mri ye zindagi jana!

tumharay bin adhori hai

meri takmeel tum say hai

mujhay aadha nahin karna

mujhay adhi adhuri zindagi say khouf aata hai

kami jaisi bhi ho mujhko kami say khouf ata hai

mujhay tum say yeh kehna hai!

kabhi aisa nahin karna

mujhay tanha nahin karna

meri takmeel tum say hai

mukammal tum hi kardo na!

mere jevan ki tanhai main apna ran bhar do na!

mujhay tum say yeh kehna hai!

mujhay parchaiyon , tanhaiyon say khouf ata hai

haqeeqat ashna mere!

kabhi aisa nahin karna

main tum bin ji nahin sakta

mujhay tanha nahin karna...

Neened Naraz Rahi........................





Mainay ik pal ko tera naam lia tha shaed

neend naraz rahi raat meri ankhon say

Kwuab zaron ka tasawur bhi hua khuab numa

Dill ki hartal hui dard ki ahat jaisay

Soch main khilnay lagay phool kai mazi kay

Titliun jaisay kai lafz mujhay yaad aaye

Teri awaz ki khushboo, tere lahjay ki khatak

Teri ankhon ki shararat, tere honton ki mehaik

Tere bolay huai jumlon ki woh khamosh kasak

Dair tak raat rahi phir teri yadon ki dhunk

Kitnay aansoo mere lafzon main dhalay yaad nahin

Kab talak yaad k yeh deep jalay yaad nahin

Mainay ik pal ko tera naam lia tha shaed

Neend naraz rahi raat meri ankhon say..........




____With Kahkashan Khan





Barish Main Bheeg Kar!!!!!!!!!!





Barishon main bheeg kar


Woh aksar kaha karta tha


mujhay 2 chezayen bohat piyari lagti hain


aik barish aur ik tum


barish mujhay is lia piyari lagti hai


Kiun k barish tumhari yaadyen lay kar aati hai


Tum mujhay is lia piyari lagti ho


Kiun k tumhari yaadyen


Barish ko aur bhi pyara bana dayti hain


Aaj barish main akailay bheeg kar


Janay kiun!


Mera dill mujhsay bar bar keh raha tha


K main barish ki har ik boond say poochun


k


Usay barish aj bhi pyari lagti hai...???


___With Kahashan khan


~~Gham e Ashiqui Tera Shukriya.~~




Kabhi ruk gaaye 

Kabhi chal diye

Kabhi chaltay chlatay

Bhatak gaye...

Younhi omer sari guzaar di

Younhi zindagi k sitam saahai


Kabhi neend main

Kabhi hosh main

Tu jahan mila

Tujhai daikh kar


Na nazar mili

Na zuban hili

Younhi sar jhuka k

guzar gaaye



Kabhi zulf par

Kabhi chasham par

Kabhi

Tere haseen wajood par



Jo pasand thay

Meri kitaab main

Woh shair saray bikhar gaaye



Mujhay yaad hai

Kabhi aik thay

Magar aaj hum hain juda juda



Woh juda huay

To sanwar gaaye

Hum juda huai

To bikhar gaaye



Kabhi arsh par

Kabhi farsh par

Kabhi un k dar

Kabhi darbadar



Gham e ashiqui

Tera shukriya

Hum kahan kahan 

Say guzar gaaye

________With Kahkahsan khan

Meri Awargi.............!!!






Meri Awargi
logon...........????
Nahin be wajah Qasam 
lay lo...

"

" "

"

"

Ager tum daikhtay usko....


To mere hum qadam hotay!




Monday, February 18, 2013

Har waqt milti rehti hai mujhay anjani si saza...






Har waqt milti rehti hai mujhay anjani si saza

main kaisay poochun yaqdeer say, mera qasoor

kia hai!





Dono khud daar thay aisay k ............!!!








Dono khud daar thay aisay k
Judaai ka sabab.....
Mainay pucha bhi nahin. Us nay
Bataya bhi nahin...!!!



MUMKIN HAI MERA MAN'NA.....






Mumkin hai mera man'na........K jo socha hai.......Sab waisa hi hai.......Mushkil hai yeh jan'na.......K jo samjha tha........Woh kuch bhi nahin hai..........
Aisa hua..........To kia kar
Paunga.........???
Aur waisa hua...........To Shyed mar
jaunga.........!!!
mumkin hai mera jan'na k ..........Kisi nay mujhay pukara hi nahin hai......
Mushkil hai ye man'na.........K mere bas main.......Kuch bhi nahin hai..
___With Kahkashan Khan

Kuch aisay hadsay bhi ho jatay hain zindagi main




Kuch aisay hadsay bhi hojatay hain zindagi main

Insan bach to jata hai magar zinda nahin rehta.




Tujh Jaysi Ankhon Walay Jab Sahil Par Aajatay Hain....





Tujh jaisy ankhon walay jab sahil par ajatay hain

Tab lehryen shor machati hain, lo aaj samander doob gaya :)



Meri Zindagi Main Faqat Do Hi Kaam Na-Mumkin Rahai...




Meri Zindagi Main Faqat Do Hi Kaam Na-Mumkin Rahai......

Tujhai Paa laynay Ki Tamanna ya Phir Tujhai Bhool Janay Ki Khuahish.:)






Main khud say kitnay waday karta hoon......




Main khud say kitnay waday karta hoon


Usay ab na yaad karoon ga


Bohat be bas ho jata hoon


jab pal pal mujhay wo yaad ata hai...!



Meray Dost !


Mere Dost! 

Mainay yeh soch kar
tum say dosti ka hath barhaya
k tumharay takhalaat ka prinda
bohat unchi oran par hai
jahan tak shayed
mere tasawurat ka parinda na pohanch sakay
Magar A Dost!
jab mujhay yeh maloom hua k
tum aisay nahin ho
to us waqt tak 
main tum ko
kho chuki thi
haan
kho chuki thi hamaisha hamaisha k lia.........


____With Kahkashan Khan

OR PATA HAI PHIR KIA HUA........................





pata hai phir kia hua hai main frezed hogai hoon apni jagah........Main hil nahin pa rahi hoon aisa lagta hai mujh par koi mantar phoonk dia hai kisi nay......... Na to main is sheher say azad hona chahti hoon, Or nahi yeh mere bas main hai..........

Meri nason main chalnay walay lahoo ki sansanahatayen mere wajood ko be bus kar rahi hai.......... Apnay hi haton ki thandak say main namanoos hogai hoon............Jaisay barf ki tarh mere wajood main hisasiyat khatam hogai hai........ Har khuwab ki omer palk jhapaknay ki omer ban gai hai..........Ek awaz ki garmi shayed mujhay hosh o biyan ki duniya main wapis lay k aaye............. Shayed koi mujhay is talseem say azad kar day............Is band qilay main kaheen koi darar dal day............Har lamha bezuban kiun hai...........Har aahat benishan kiun hai............Jaisay dehliz par rakha aik diya kud ki parchai ko khud say bara kar day................

____With Kahkashan Khan



Tera Intaizar bhi Shahkaar Hai.....




Tera intaizaar bhi shahkaar hai...............

Thandi chae, khali jhoola, bikhri kitaabayen!!!


Shukria!!!





Youn rah e wafa ki saleb par do qadam udanay ka shukriya............Bara pur khatar tha yeh rasta tere lout janay ka shukriya............Jo udas thay tere hijar main jinhai bojh lagti hai zindagi.............sar e bazam youn unhai daikh kar tere muskuranay ka shukriya..............Teri yaad kis kis baihes main mere sher o naghma main dhal gai...............Yeh kamal tha teri yaad ka, mujhay yaad anay ka shukriya............Jo zamanay bhar ka ossool tha, wo osool tu nay nibha dia................yehi rasam theri hai mout' baar mujhay bhool janay ka shukriya.........______With kahkashan khan




Sunday, February 17, 2013

I don't know why i missing you.......



I still remember the first time you said I Love You

Istiil remember the our silly fight.

I still remember that when you smile, I get dazzled.

I still remember when you hug me first and it made me feel complete and at peace.

I still remember how you called my name. and i used to fall in love with my name.

I still remember you protecting me in rain so that i won't get cold.

Istill remember, that when everyone was against me, you stood up for me.

I still remember everything, our each moments, our smile, the places we went, And I still love you like we used to:)

_______With Kahkashan khan











"PHOOL" Apni adat say kitna be- bus hain,






'PHOOL" apni adat say kitna be-bus hain 

"Dost" 

"TOURNAY" walay ko bhi "KHUSHBOO" hi dia kartay hain



Udas dill hai magar milta hoon har ek say hans kar





Udas dill hai magar milta hoon har ek say hans kar

"Doston''

Yehi ek fun seekha hai bohat kuch kho janay k baad.




Hans Hans K sunati Hai!!






Hans Hans K Sunat Hai Jahan Bhar K Fasanay.........

Puchoon Tere Baray Main To Ro Dayti Hai Barish..!!

""Mujh say kuch bhi nahin kaha us nay""






*Akhir kiun??

Mujhsay kuch bhi nahin kaha usnay


"

**

" "


*

"

*

"


Basss.......

Humsafar aur chun liya usnay.



Sahib e aqal ho .......... Ek mashwara mukhlisana chahyea!!




Sahib e aqal ho...........

Ik maswara mukhlisana chahyea


Zindagi say tang hoon,,,,,,,,,,

Khudkushi karoon

Ya

Ishq..........????



Aey Jallad Sooli Chardo Ab Isko!





Aey jallad sooli charha do ab is ko,


:

;

Bohat karli barbadi

Nasl -e- Adam ki ishq nay.



Yeh dill bura hi sahi.......






yeh dill bura hi sahi, sare bazar to na kahai wasi


Akhir tu is makan main kuch din raha bhi hai



Ae Chand ...!!!



Ae Chand
Usay Kehna
Woh jo door door basta hai
usay koi yaad karta hai

Or
behisaab karta hai
usay kehna
Jab wo kisi aur k sang hansta hai
To phir door bohat door kisi ka dill dharakta hai

Or,

Jab wo udas hota hai 
pass us k na koi gham shanas hota hai 
tou phir door bohat door kisi ki ankhon say lahoo barasta hai,


Ae Chand!
Usay kehna
Jisay wo chor aaya tha
Jisay wo tour aya tha
Wo aaj bhi tere aas pass basta hai.


___With Kahkashan Khan




Wohi Hadsay , Wohi Hasratyen





Wohi hadsay , wohi hasratyen

Wohi raat aur wohi wehshatyen

Kia isteqbal jisay baray josh say

Aur wida kia jisay baray sooz say

Mujhay faraq faqat itna laga k

Descember kuch bara hai january say...

Saturday, February 16, 2013

Yeh Hamari Har Udas Sham Ka Dastoor Hai...





Yeh hamari har udas sham ka dastoor hai...
A Dost
...Phailay tujhay yaad kar layna, phir ji bhar k ro layna...




~~JA TUJHAY TERE HAAL PAR CHORA~~




Ja Tujhai Tere Haal Par Chora

Is say Behtar Teri Saza Bhi Kia Hai!!!




DECEMBER JAB BHI AATA HAI..




DECEMBER JAB BHi AATA HAi

Wo pagli phir say beetay mosam ko yaad karti hai.

Puranay cards arti hai,K jismain usnay likha tha

MAiN LOT AAOUN GA DECEMBER MAiN

Naye kapray banati hai,Wo sara ghar sajati hai

DECEMBER k har ik din ko wo gin gin k itati hai

Joonhi 15 gzarti hai, Wo kuch kuch toot jati hai

Nahin maloom ye usko, k beetay waqt ki khushiyan

Bohat takleef dayti hain

Mehiz dill ko jalati hain


Younhi din beet jatay hain

DECEMBER lout jati hai


Magar wo khush fehem larki, doobara say calender main

DECEMBER k mahinay k safhai ko mour kar phir say

DECEMBER k sehar main doob jati hai

K akhir usnay likha tha

MAiN LOUTON Ga DECEMBER MAiN


___With Kahkashan Khan

Kuch Alfaz Apni Duaon K Meri Jholi Main Bhi Daal Dayna!!!!!!!






Kuch alfaz apni duaon k meri jholi main bhi daal dayna
Ae Dost
Kia pata aap k lub hilen aur hamari taqdeer badal jaey.,,,,***




Wo jo kanton ko bhi narmi say chooa karta tha....





Wo jo kanton ko bhi narmi say chooaa karta tha


Humnay phoolon ko masaltay huay daikha usko


___With Kahkashan Khan



Wo pyar ka saboot dikhaya karta tha.




Wo pyar ka saboot dikhaya karta tha,

Ansoo baha kar mujhay manaya karta tha.

Ye zindagi sirf tum say wabasta hai,

Aksar yeh baat mujhay bataya karta tha.

Uski baaton main kuch aisa asar tha,

Main barish k bina hi bheeg jaya karta tha.

Sonay ki fursat kis ko thi,

Wo mujhay sari raat jagaya karta tha.

Baicheni jab had say barh jati thi,

Wo ji bhar k galay lagaya karta tha.

Wo itni mohabbat karnay wala badal gaya,

Jo saath nibhanay ki qasamkhaya karta tha.

____With Kahkashan Khan

''Waqt Ki Dosti To Har Koi Karta Hai''






Waqt ki dost to har koi karta hai Dost


Maza to tab hota hai k jab waqt badal jaey par dost na badlay

__With Kahkashan Khan



Wo Shaks Ik Choti Si Baat par youn Rooth K Chal Dia





Wo shaks aik choti si baat par youn rooth k chal dia..
jaisai usay sadiyon say kisi bahanay ki talash thi...


__With Kahkashan Khan




Saaath To Ik Pal Ka Tha!!!





Saath to ik pal ka tha'

phir kiun mujhay yaad aatay ho tum'

aks ki tarah mere dill pay tum'

kiun chha jatay ho tum'

dillbar bhi nahin mere'

hamdam bhi nahin mere'

rastay pyar k mujhay'

phir kiun dikha jatay ho tum?

hum kabhi milay thay'

to ik ajnabi ki tarah'

meri raaton ki neend'

phir kiun ura jatay ho tum'

shahar bhar say hum tumhara'

pata puchtay hain'

kuch is tarah say apna'

deewana bana jatay ho tum'

saath to ik pal ka tha'

phir kiun mujhay yaad aatay ho tum'

__with Kahkashan Khan

~~Tumharay Saath Chaltay Hain Hazaron Chahnay Walay~~





Tumharay saath chaltay hain hazaron chahnay walay
mere honay na honay say kia farq parta hai.


___With Kahkashan Khan



~~Yeh Mohabbat Bhi Aik Naiki Hai~~





Yeh MoHabbat bHi aIk NaikI HaI,


Aao DarYa mAin daLl Aatay HaiN..

__With kahkashan Khan




kabhi Ulfat bhara lahja, Kabhi utra hua chehra




Kabhi ulifat hara lehja,

Kabhi utra hua chehra.


Samajh main kuch nahin aata,

bata mera gunah kia hai.


Meri uljhan to mita day,

Mujhay itna bata to day.


Main mujrim hoon ya mehram hoon,

saza kia hai jaza kia hai.


meri sansen to chalti hain,

teri yaadon say a humdam...


nahin fursat k yeh sochoon,

fanaa kia hai baqaa kia hai.


mera ye dill meri dharkan,

meri sansyen ye sab Mohsin.


yeh sab kuch naam tere hain,

bataa peechay bacha kia hai.

___With Kahkashan Khan



"Hum to phool ki un pation ki tarah hain''





Hum to phool ki un pation ki tarh hain Dost

Jinhain khushi ki khatir log qadmon main bicha datay hain


__With Kahkashan Khan



Mujhsay ye log kehtay hain






Mujh say ye

log kehtay hain


Kahan dill 

chor aay ho?


Bohat

chup chaap 

rehtay ho


Na bantay 

na sanwartay

ho


Na koi baat 

kartay ho


Bhari mefil

main bhi aksar


hamaisha

khoye

rehtay ho


udasi

ankhon main 

lay kar


har ik 

cheray ko

taktay ho


Koi jab yaad

aata hai


touh thandi aah

bhartay ho


touh khul kar

kiun nahin kehtay


kisi ko yaad 

kartay ho.......

___With Kahkashan Khan



 

Jaatay huay us shaks nay ek ajeeb bad 'dua si di...





Jatay huay us shaks nay bohat ajeeb si bad dua di,

tumhai milay do jahan ki khushiyan par koi mujhsa na milay.

_____With Kahkashan Khan



http://kahkashankhan1990.blogspot.com/

Haan Mohabbat k hawalay say bohat zalim ho tum




Han mohabbat k hawalay say bohat zalim ho tum

Tour daytay ho mujhay tum apnay wadon ki tarah


__With kahkashan Khan




Zara Panay ki chaht main bohat kuch choot jata hai



Zara paanay ki chaht main,
bohat kuch choot jata hai.
Najanay saber ka dhaga.
kahan par toot jata hai,
Kisay hamara kehtay ho,
Yahan to apna saya bhi.

Kahin par saath rehta hai,
kaheen par choot jata hai.
Ajab shai hai yeh rishta bhi,
bohat mazboot lagta hai.
zara si bhool say likin,
Bharosa toot jata hai.


__With Kahkashan Khan



Jo Barish Ki Tamn'na Hai





Jo

barish ki tamn'na hai,

Tou in aankhon main aa baitho.


Woh barson main kabhi barsyen,

Yeh barson say barsti hain.


__With kahkashan Khan

')