Welcome to my blog!

Meet the Author

Blessed with the best _ Alhumdulillah!a million times for every blessing in my life.

Looking for something?

Subscribe to this blog!

Receive the latest posts by email. Just enter your email below if you want to subscribe!

Showing posts with label Ghazal. Show all posts
Showing posts with label Ghazal. Show all posts

Sunday, June 3, 2018

مجھ کو باتیں کب آتی ہیں؟


مجھ کو باتیں کب آتی ہیں؟

میں تو بس خاموش سی لڑکی
الفت، چاہت کے رنگوں سے
دل کی خالی تصویروں میں
کوئی محبت بھر دیتی ہوں
اور کبھی اپنے اشکوں سے
بنجر اس من کی دھرتی پر
کوئی محبت بودیتی ہوں
اور کبھی دیوار سے لگ کر
کوئی محبت رو دیتی ہوں
اور کبھی آنکھوں آنکھوں میں
ساری باتیں کہہ جاتی ہوں
میں اپنے اس پاگل پن میں
کتنی تنہا رہ جاتی ہوں
میں تو اک خاموش سی لڑکی
مجھ کو باتیں کب آ تی ہیں؟
مجھ کو باتیں گر آتیں تو!
کیا تم مجھ کو چھوڑ کے جاتے؟
میرے سپنے توڑ کے جاتے؟
کیا میری آنکھوں میں غم کے
اتنے آنسو دے سکتے تھے؟
میرا کل سرمایہ تھا جو
کیاوہ مجھ سے لے سکتے تھے؟
گر مجھ کو باتیں آتیں تو!
اپنے لفظوں کے جادو سے
میں بھی تم کو خواب دکھاتی
تم سے ڈھیروں پیار جتاتی
تم کو اپنا میت بناتی
میں بھی تم سے وہ سب کہتی
جو تم سننے کی خواہش میں
مجھ کو ایسے چھوڑ گئے ہو
سارے رشتے توڑ گئے ہو
میں ٹہھری خاموش سی لڑکی
مجھ کو باتیں کب آتی ہیں
مجھ کو باتیں گر آتیں تو
تم بھی مجھ کو میت بناتے
میرے سارے خواب سجاتے
یوں نہ تنہا چھوڑ کے جاتے
میں ٹہھری خاموش سی لڑکی

کاش مجھے بھی باتیں آتیں



Friday, February 9, 2018

شہر میں کوئی نہیں جس کو دعا دی جائے





شہر میں کوئی نہیں جس کو دعا دی جائے


سو مِری عمر درختوں کو لگا دی جائے


سوئے رہ جائیں پسِ پردہء شب ماہ و نجوم


آج کی رات چراغوں کو سزا دی جائے


اِنہیں اطراف میں موجود ہے وہ قوسِ قزح


آنکھ منظر کے تعاقب میں لگا دی جائے


مَیں نہیں کہتا مِرے ساتھ چلیں نیند میں لوگ


کم سے کم خواب کی تعبیر بتا دی جائے


کوئی پہلو ہو کہ لفظوں میں دھڑک اُٹھے حیات


کوئی صورت ہو کہ یہ نام نہادی جائے


مصرعء تر سے علاقہ ہی نہیں اِسکا


صفحہء خاک سے یہ جھیل مِٹا دی جائے


کھائے جاتا ہے شب و روز نئے عشق کا زعم


عین ممکن ہے تِری یاد بھلا دی جائے


آزر اِک اشک مِری آنکھ سے رخصت کرکے


ایک شعلے کو مِرے دل میں جگہ دی جائے

دلاور علی آزر



Wednesday, December 20, 2017

Na milta gham tu barbadi k afsanay kahan jatay




Na milta gham tu barbadi k afsanay kahan jatay


Agar dunya chaman hoti tu veeranay kahan jatay


Chalo acha howa apno mein koi ghair tu nikla


Sabhi hotay agar apne tu beeganay kahan jatay


Tumhi ne gham ki dolat di bara ehsaan farmaya


Warna hum zamane bhar k aagay hath pheelane kahan jatay…



Loog Loog Hote Hein




Loog Loog Hote Hein

Roshni Ki Khuwahish Main

Yahan Sadaein Laane Ki

Kuch Saza To Milti Hai

Loog Loog Hote Hen


Loog Loog Hote Hein


In Ko Kya Khabar Jana Ap K Eradoon Ki

Khub’suraat Ankhoon Main

Bas’ne Waloon Khuwaboon K

Rang Kaisay Hote Hein

Loog Loog Hote Hein


Dil Ki Goud Ankhoon Main Pal’ne Walay Khuwaboon K

Zakhaam Kaisay Hote Hein

Kitne Geh’ray Hote Hein

Kab Yeh Soch Sakhte Hein

Ayesee Bai’Ghu’naa Ankhen

Ghar K Konay’Khud’ray Main Laag Kar

Kitna Roote Hen

Phir B Yeh Apne Jaisay Kisi

Ghaam’Zada Dil Say Lag K Rooone Lagte Hein

Loog Loog Hote Hein


Toh’matein To Lagti Hain

Roshni Ki Khuwahish Mein


Toh’matoon K Lagne Say

Dil Say Dost Hoo Jaana

Ab Nee’Dhaal Kya Karna

Tohmatoon Say Kya Darna..!



Sajaa k ankhon men khwab rkhna,





Sajaa k ankhon men khwab rkhna,

wafa k rishty gulab rakhna


faseel_e_shab men chiragh ban kr,

ye zindgi mahtaab rkhna


yun ishq ka imthan dena k dil k badly men jan dena,

jo chand chun,ny ki aarzu ho to justju lajwab rkhna


hazaar baten banaye dunya hazaar dil ko dukhaye dunya,

bhula k sari azeaton ko utha k kanty gulab rakhna


kabi zamany se chup chupa k sakoot- e- shab me diye bujha k,

hatheleon ko dua ki shamma to ankh apni chanab rkhna


adawten b Khuda ki khatir mohabten b Khuda ki khatir,

adawten bas gini chuni hon

mohabten be hisab rkhna …



Nahi acha faqat koi ishaara saaf keh do na,




Nahi acha faqat koi ishaara saaf keh do na,


Kahan tk sath do gay tum hmara, saaf keh do na,


Judai ki tarha drya b apne sath chlta ha,


Nahi milta kinare se kinara saaf keh do na,


Bahane apni majbori k Q aa aa kar sunate ho,


Qasoor is men nhi koi tmhara saf keh do na,


Humen tanhai k taaney tu mat do ghaer k aagey,


K hum b dhond len koi sahara saf keh do na,


Hmare haath ki aksar lakerain milti julti hen,


Mgar milta nhi apna sitara saf keh do na..



Meri aankhon main raho meri aankhon main raho,




Meri aankhon main raho meri aankhon main raho,

Roshni ban k meray ghar k chiraghon main raho.!


Tera wada bhi na siyasi ho,

Ab fazaon mein na udasi ho!

Chuu k qadmon ko her khushi guzray,

Kash ab yun hi zindagi guzray!

Tum meray sath meray din meri raaton main raho,

Meri aankhon main raho meri aankhon main raho!


Pyaar mera tujh say kahta hay,

Dil ki dharkan mein tu hi rehta hay!

Preet main teri ban k kho jaon,

Meera k jaisi tu bhi hoo jayai!

Ban k radha tum meri murli ki tano main raho,

Meri aankhon main raho, meri aankhon main raho.!!


Tujhey chaha hay tujhay chahonga,

Mai na chahat say ba’az aaonga,

Teri ulfat k jhulay ain jhulun,

Saath tu day tou aasman chu lun,

Gungunaon main tujhay, dil k taron main raho,

Meri aankhon mein raho, Meri aankhon mein raho



Aey RAB-E_KAINAAT




Aey RAB-E_KAINAAT

Me TERAY Poshida Namo K Wasily Se

Or

Teri Is Bazurgi K Wasty Se

Jo Jalal-o-Azmat k Pardon Me Hy

TUJH se

Ye Sawal Krta Hon K

Is Betab Nafs

Or

Kamzor Jism par Tars Kha Is liye K

Jo TERAY Soraj Ki

Tapish

Ko Bardasht Nahi Kar Sakta

Wo

TERI Jahannum Ki

Aag

Ko Kesy Brdasht Karega?

0r

Jo TERAY Badal Ki Garaj Se

Kanp Uthta Hy

Wo TERAY

Ghazab

Ki Aawaz Ko Kesy Sun Sakta Hy?

Jisey TERI Rehmat Aur Pyaar ki Aadat Hai,

Wo TERI Narazgi Ka Saamna Kesey Karey Ga???

Bas Elaahi, Hamary Haal Pr Reham Farma

Or

KARAM kar

Or

Ham sub ko Maaf Farma de

Aur ham Sey Raazi Ho Ja…



Dikhayi dete hain duur tak ab bhi saaye koi





Dikhayi dete hain duur tak ab bhi saaye koi


Magar bulaane se waqt lautey na aaye koi


Chalo na phir se bichhayein dariyaan bajayein dholak


Lagake mehendi sureeley tappe sunayein koi


Patang udayein chhatton pe chadh ke muhalley waaley


Falak to saanjha hai us mein penche ladayein koi


Utho kabaddi kabbadi khelenge sahardon par


Jo aye abke to laut kar phir na jaye koi


Nazar mein rehtey ho jab tum nazar nahin aatey


Yeh sur milaatey hain jab tum idhar nahin aatey


Nazar mein rehtey ho jab tum nazar nahin aatey


Yeh sur bulaatey hain jab tum idhar nahin aatey



Dikhayi dete hain duur tak ab bhi saaye koi





Dikhayi dete hain duur tak ab bhi saaye koi


Magar bulaane se waqt lautey na aaye koi


Chalo na phir se bichhayein dariyaan bajayein dholak


Lagake mehendi sureeley tappe sunayein koi


Patang udayein chhatton pe chadh ke muhalley waaley


Falak to saanjha hai us mein penche ladayein koi


Utho kabaddi kabbadi khelenge sahardon par


Jo aye abke to laut kar phir na jaye koi


Nazar mein rehtey ho jab tum nazar nahin aatey


Yeh sur milaatey hain jab tum idhar nahin aatey


Nazar mein rehtey ho jab tum nazar nahin aatey


Yeh sur bulaatey hain jab tum idhar nahin aatey



sochoon k girdaab mei hon…..




sochoon k girdaab mei hon…..


mei aaj kal bht azaab mei hon ….


wo ek shaks jo mera hota b nahi….


mei aaj kal uske saraab mei hon…


bolti ankhei hain kese dekhun unhe…


mei aaj kal isi izteraab mei hon…


haqeeqat ashnai mushkil hai aaj kal…


mei aaj kal usi khuwaab mei hon…


dushman hua phira ek zamane jo…


mei aaj kal uske ahbaab mei hon…


milna bichrna qismat k faisle hain magar…


mei aaj kal uljhi un asbaab mei hon…



Har kadam mein teri hi aahat sunai deti hai,




Har kadam mein teri hi aahat sunai deti hai,

Kya karu ki dard ab teri judaai deti hai,

Neend bhar soye hue arsa hua mujhko,

Ke rat bhar khwabo mein ab tu hi dikhai deti hai,



Khilkhilahat se teri khilta tha yun jo ghar,

Khamsohi ab deewar pe chaspa sunai deti hai,

Jhoothi khushi se rokta hu saki main apna gam,

Tanhai aa aa kar mujhe sachhi rulai deti hai,


Kahte hai kaaynat mein rangi hai har ek shai,

Tere bin kaaynat par feeki dikayi deti hai,

Ret ke manind fisla ja raha hai waqt,

Ghari ki tik tik me teri halchal sunai deti hai,


Chalte-chalte rah pe ab bahakte hai kadam,

Hawa ke jhonko mein tu hansti sunai deti hai,

Mahfil-o-masti mein tujhe ja ke kya dhundhe hum,

Mehfil bhi tere bin marghat dikhayi deti hai,


Har kadam mein teri hi aahat sunai deti hai,

Kya karu ki dard ab teri judaai deti hai,

Neend bhar soye hue arsa hua mujhko,

Ke rat bhar khwabo mein ab tu hi dikhai deti hai.



Meri to Ranjishen Sari Mitane Ka Irada Tha,




Meri to Ranjishen Sari Mitane Ka Irada Tha,


Galey Us Shakhs Ko Phr Se Lgane Ka Irada Tha,


Chlo Acha Hua Us Ne Mjhe Sahil Se He Lota Dia,


Wrna Mra To Kashtiyan Sari Jalane Ka Irada Tha,


Macha Deti Hen Halchal Khayalon Me, Teri Yaden,


Warna Tujhe Is Dil Se Bhulane Ka Irada Tha,


Bari Minnat Samajat Se Wo Maana He,


Jise Do Char Lafzon Me Manane Ka Irada Tha,


Agr Weeran Shakhon Pe Parindon K Ghr Na Hote,


To Ab Sukhey Drakhton Ko Jalane Ka Irada tha.



Mujhe Aarzo-e-Seher rahi yunhi raat bhar bari dair tk,


Mujhe Aarzo-e-Seher rahi yunhi raat bhar bari dair tk,

Na Bikhr ska na simat ska yunhi Raat bhar bari dair tk,

Hai Bohat Azab or Akelay hum Shab’e Gham b meri Taweel tar,

Rahi zindgi b Saraab or rehi Ankh Tar bari dair tk,

Yahan her taraf hay ajab Smaan, sab hi Khud’Psand sabhi Khud’Numa

Dil-e-Beqrar ko na mila koi Chara gar bari dair tk,

Meri Zindgi hai Aziz tar isi wasty merey Hum Safar

Mujhy Qatra Qatra pila Zeher jo kary asar bari dair tak.

Kabhi ussey bhi meri yaad satati ho gi





Kabhi ussey bhi meri yaad satati ho gi

Apni ankhon main merey khuab sajati ho gi


Wo jo her waqt khiyalon main basi rehti hai

Kabhi to meri bhi sochon main kho jati ho gi


Wo jiski raah main palkein bichi rehti hain

Kabhi mujhey bhi apney pass bulati ho gi


Labon per rehti hai wo her pal hansi ban ker

Tasawar se merey , wo bi muskuraati ho gi


Wo jo shamil hai merey geet merey naghmon main

Kabhi tanhai main mujh ko gun gunaati ho gi


Jis ke liey mera dil beqaraar rahta hai

Merey liey apna chain bhi gawati ho gi


Jiss se izhaar e wafa her pal karna chahoon

Kabhi iqraar to wo bhi karna chahti ho gi


Jiske liye meri her raat hai karwat karwat

Kabhi to ussey bhi neend na aati ho gi


Jiski ulfat ki shamah se hai mera dil roshan

Meri chahat ke wo bhi deep jalati ho gi


Ghame -e- firaaq mera hi muqadar hai ya phir

Meri judaai ussey bi yunhi rulati ho gi

Hawa thami thi zaroor lekin,





Hawa thami thi zaroor lekin,

Wo sham jaise sisak rahi thi,

K zard patton ne aandhion se,

Ajeeb Qissa suna dia tha,

K jisko sun kar tamam patte,

Sisak rahe thay Biluk rahe thay,

Jane kis sanihey k ghum mein,

Shajar jarron se ukharr rahe thay,

Bohat talasha tha ham ne tumko,

Har aik rasta,

Har aik wadi,

Har aik parbt,

Har aik ghati,


Magar kahein se khabr na aai,

Ye keh k hum ne dilko tala,

Hawa thame gi to daikh lain gay,

Hum us k raston ko dhond lain gay,

Magar hamari ye khush khayali,

Jo hum ko barbad kar gai thi,

Hwa thami thi zaroor lekin,

Bari hi mudat guzar chuki thi,

Hamare balon k junglon mein,

Sufaid chandi utar chuki thi,

Falak pe taare nahi rahe thay,

Gulab saare nahi rahe thay,

Wo jin se basti thi dilki basti

Wo log saare nahi rhe thay,

Magar

Ye almiya sab se bala-tar tha,

K hum tumhare nahi rahe thay,

K tum hamare nahi rahe thay,

Hawa thami thi zaroor lekin,
Bari hi mudat guzar chuki thi!!



WO EK LARKI …





UDAAS LOGO KI BUSTIYO MAI

WO TITLIYO KO TALASH KARTI

WO EK LARKI . . .


WO GOL CHEHRA, WO KAALI AANKAIN

JO KARTI REHTI HAZAAR BAATAIN

MIZAAJ SAADA,,, WO DIL KI ACHI

WO EK LARKI . . .


SAARI BATAIN WO DIL KI MAANAY

WOHI KARAY WO, JO DIL MAI TAANAY

KOYI NA JANAY,, KYA OS KI MARZI

WO EK LARKI . . .


WO CHAHATO K SARAAB DEKAY

MOHABATOO K WO KHWAB DEKAY

WO KHUD SAMANDAR MAGAR HAI PYASI

WO EK LARKI . . .


WO DOSTI K NISAAB JANAY

WO JANTI HAI EHD NEBHANAY

WO ACHI DOST WO ACHI SAATHI

WO EK LARKI . . .


WO JAAM CHAHAT KA PEENA CHAHAY

WO APNE MARZI SE JEENA CHAHAY

MAGAR HAI DARTI,,, MAGAR HAI DARTI

WO EK LARKI . . .


MOHABBATO KA JO FALSAFA HAI

WO JANTI HAI,,, OSAY PATA HAI

WO PHIR BI REHTI DARI DARI SI

WO EK LARKI . . .


WO JOOTAY LOGO KO SACHA SAMJAY

WO SARI DUNYA KO ACHA SAMJAY

WOH KITNI SAADI,,, WO KITNI PAGLI

WO EK LARKI …

Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein,




Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein,

Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi.

Din Raat Daudti Duniya Mein,

Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi.


Saare Naam Mobile Mein Hain,

Par Dosti Ke Liye Waqt Nahi.

Gairon Ki Kya Baat Karen,

Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi.


Aankhon Me Hai Neend Badee,

Par Sone Ka Waqt Nahi.

Dil Hai Gamon Se Bhara ,

Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi.


Paison ki Daud Me Aise Daude,

Kya Thakne ka Bhi Waqt Nahi.

Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein,

Jab Apne Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi.


Tu Hi Bata E Zindagi,

Iss Zindagi Ka Kya Hoga,

Kya Har Pal Marne Walon Ko,

Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahiâ





سکوں بھی خواب ہُوا، نیند بھی ہے کم کم پھر






سکوں بھی خواب ہُوا، نیند بھی ہے کم کم پھر


قریب آنے لگا دُوریوں کا موسم پھر


بنا رہی ہے تری یاد مُجھ کو سلکِ کُہر


پرو گئی مری پلکوں میں آج شبنم پھر


وہ نرم لہجے میں کُچھ کہہ رہا ہے پھر مُجھ سے


چھڑا ہے پیار کے کومل سُروں میں مدھم پھر


تجھے مناؤں کہ اپنی انا کی بات سُنوں


اُلجھ رہا ہے مرے فیصلوں کا ریشم پھر


نہ اُس کی بات میں سمجھوں نہ وہ مری نظریں


معاملاتِ زباں ہو چلے ہیں مبہم پھر



یہ آنے والا نیا دُکھ بھی اُس کے سر ہی گیا


چٹخ گیا مری انگشتری کا نیلم پھر


وہ ایک لمحہ کہ جب سارے رنگ ایک ہوئے


کِسی بہار نے دیکھا نہ ایسا سنگم پھر



بہت عزیز ہیں آنکھیں مری اُسے، لیکن


وہ جاتے جاتے انہیں کر گیا ہے پُر نم پھر




Friday, December 8, 2017

kabhi ban ker yeh eik jugno.




kabhi ban ker yeh eik jugno.
shabe gham ki andheron mein..
dilon ko aas deti hay??.,


kabhi manzil kinarey per..,
sadyon k musafir ko..,
faqat eik piyas deti hay..
Aziyat hi Aziyat hay?,


mohabat phir mohabat hay
kabhi dil say nahi jati?!!!



')