Kahkashan Khan Blog This page is dedicated to all the art, poetry, literature, music, nature, solitude and book lovers. Do what makes your soul happy. Love and Peace. - D
Showing posts with label Eid Poetry. Show all posts
Showing posts with label Eid Poetry. Show all posts
Wednesday, August 13, 2014
Monday, August 4, 2014
Friday, July 25, 2014
Saturday, July 12, 2014
Phir Aa Rahi Eid Wo Daikho Chaand Eid Ka.
Phir Aa Rahi Eid Wo Daikho Chaand Eid Ka.
Roti In Aankhon Ko Intzar Hy Tairi Deed Ka.
Aao K Mil Kar Baantein Khushiyan Eid Ki.
Eid Hy Paigham Deed Ka.
Wohi Ujrra Aur Veeran Ghar Hy Mera.
Muntzar Hy Jo Tere Lotny Ki Naveed Ka.
Lout Aao Is Eid Py Gar Tum Jaana'N.
Mehak Uthy Phool Chaman-E-Khusheed Ka.
AjNabi Nahin Hum An-Jany Nahin.
By-Rukha Hy Kiun Andaz Tera Guffat-O-
Shuneed Ka.
Sun Kar Iltja ZafaR Ki Aa Bhi Jao.
Eid Hy Din Ahad-E-Wafa-O-Tehmeed Ka.
Tuesday, May 13, 2014
Tum Eid Manao Saj Dhaj K
Tum Eid Manao Saj Dhaj K
Main Jaisa Hon Waisa Hi Sahi,
Jis Haal Mein Hon Main Jaisa Hon Waisa Hi Sahi,
Tum Singaar Karo Jo Tumhara Haq Hai,
Mera Kia Hai Main Jaisa Hon Waisa Hi Sahi,
Log To Tera Dam Bharte Hain Husan Daikh K,
Mera Kon Mujhe Kon Janta Hai Mein Aise Hi Sahi,
Ye Eid Tum Ko Khoshian Naseeb Kare,
Mein Bad Naseeb Hon To Aisa Hi Sahi,
Tum Ko To Ko Har Eid Pe Saj Dajh K Raha Karo,
Main Haal Se Behaal Hon To Aisa Hi Sahi........!
Wednesday, November 20, 2013
Monday, October 21, 2013
Tuesday, October 15, 2013
Monday, October 14, 2013
Ye Eid Bhi Tu Kitni Nirali Hai.
Ye Eid Bhi Tu Kitni Nirali Hai.
Bas Mera Ghar Hi Khali Hai.
Wo Rooth K Kya Gaye Hum Se.
Koi Rut Humen Nahi Manane wali Hai.
Dar Dar Ja K Hum Ne Un Ko Dhonda Hai.
Par Phir Bhi Meri Nazar Sawali Hai.
Es Bagh Ka Bulbul Bohat Door Gya hai.
Es Wadi Me Tu Ab Kehat-Sali Hai.
Phol Bhi Ab Seheme Seheme Se Lagte Hain.
Kiun K Suna Hai Aandhi Aane wali Hai.
Ye Eid Nahi Matam Bani Hai Yaro.
Toota Hai Phol Tu Ab Roti Dali Hai.
Ae Eid Kya Tum Khushiyan Lai Ho.
Pari ! Ki Jholi Tu Ab Tak Khali Hai.
Ye Eid Bhi Tanha Beetey Gi.
Ye Eid Bhi Tanha Beetey Gi.
Main Sh0r Machaon Ga Lekin,
Main Khud K0 Rulaon Ga Lekin,
Na K0i Suney Ga Cheekh Meri.
Na MuJh K0 K0i Hansaye Ga,
Meri Qismat Dil K0 Peettey Gi,
Ye Eid Bhi Tanha Beety Gi,
Sab Galey Milen Ge Khushiun Se,
Sab Khushiyan Khoob Manayen Gy,
Hum Beth K Phir Tanhai Mein,
Bus Aansu Khoob Bahayen Gy,
Mera Daaman Khushi Na Seenchy
Gi,
Ye Eid Bhi Tanha Beety Gi,
Bus Ghum Rehte Hain Paas Mere,
Main Ghamoo'n K Paas Hi Rehta
Hoon,
J0 Loat K Aana BhooL Gaya,
Usey EID Mubarak Kehta Hoon,
R0 R0 K Magar Haan Beety Gi,
Ye Eid Bhi Tanha Beety Gi.
Sheher me jhashan-e-Eid bhaharan..
Sheher me jhashan-e-Eid bhaharan..
ujhre dil me dard hazaran...
Ab k Eid ye kaisi aai......
har so pheli hai tanhai...
na hi usne khat likha hai...
na hi hum ne nazam sunai...
gajre bhi na pehne usne....
na hi usne bal banaye...
Ab k eid ka chaand jo dekha ...
Hum ne bhi na hath uthaye ...
ab k beth k tanhai me na chahat k geet sune hain...
na us k jhore ki khatir hum ne koi phool chune hain..
na hi zikar chala hai us ka
na hi koi mehfil-e-yaraan
Aankhon me selaab hai kaisa.
Aansoo hain ya bad-o-baraan
eid pr wo na ghar se nikli
hum nikle to Aese nikle..
dard ki le kr sari talkhi.
Aankh se jaise Aansoo nikle.
eid k din bs lab se nikla kaisi ye dil soz ghari hai..
na yaroon se hath milaye..
na Masjid me eid parhi hai..
Wese to tha pyar porana..
par is din tajdeed the krte..
dekh k eik dojay ki soorat..
tab hum dono eid the krte..
ab to apna milna jaise ..
Sehraon me bad-o-baraan.
Thursday, September 19, 2013
Monday, September 16, 2013
Thursday, August 8, 2013
♥♥ Eid ka me kyun chand Daikhne lagi hon ♥♥
♥♥ Eid ka me kyun chand Daikhne lagi hon ♥♥
♥♥ Tere Bina Me Kyun Sanwrne LaGi HoN ♥♥
♥♥ LoGoN K To Sath HeN Un K SaJaN ♥♥
♥♥ Me BiN SaJaN Kyun Nikharne Lagi HoN ♥
♥♥ Ye Eid Bhi To Soni Hy Mairi Jaisi ♥♥
♥♥ Phir Kyun Hathon Pe Mehndi Rachane Lagi Hon ♥
♥♥ Ay Eid K Chand Me Ab To Tumhe Daikhon gi ♥
♥♥ Apne Piya K Lotne Ka Sun'ne Lagi Hon ♥♥
♥♥ Suna Hy Lotega Maira Piya Is Eid Pe ♥♥
♥♥ Tb To Me Laal Jorhe Me Sanwrne Lagi Hon ♥♥
♥♥ Eid Ki In Khushiyon Me Hoga Wo Sang ♥♥
♥♥ Tabhi To Me Ghar Ko Sajane Lagi Hon ♥♥
♥♥ Wada Tha Is Eid Pe Lout Aane ka ♥♥
♥♥ Is Umeed Pe Me Raah Ko Daikhne Lagi Hon ♥♥
♥♥ Eid Pe Mujhe Bs Taira Piyar Chahye Jaanaa
♥♥ Ye Eid Me Tere Naam Karne Lagi Hon ♥♥
♥♥ Daikhti Hi Piya Ko Chaand Daikh liya ♥♥
♥♥ Me To Eid Se Pehle Eid Karne Lagi Hon ♥♥
Eid k Roz Bhi Majboor The Taqdeer Se Hum.
Ro paray Mil k Gale Aap ki Tasveer Se Hum.
Mera Jo Kuch Hai Tera Hai.
Tere liye Hi To Hai.
Tu Agr Jaan Bhi Mangay To Tujhe dete Hum.
Hum Ne Kia kia na kiya Pyar me o Mere Sanam.
Phir b Mehroom Rahe Teri Wafaon se Hum.
Teri yaadon Ne Shama Ban k jalaya Hai Mujhe.
Parwano ki Tarha is Aag me jalte Rahe Hum.
Tum Ne kaha Tha loat Aaon Ga Eid py.
Eid ka Din Hai Loat Aao.
Warna Mar jayen Ge Hum.
Eid k Roz Bhi Majboor The Taqdeer Se Hum.
Subscribe to:
Posts (Atom)