Welcome to my blog!

Meet the Author

Blessed with the best _ Alhumdulillah!a million times for every blessing in my life.

Looking for something?

Subscribe to this blog!

Receive the latest posts by email. Just enter your email below if you want to subscribe!

Showing posts with label FAIZ AHMAD FAIZ. Show all posts
Showing posts with label FAIZ AHMAD FAIZ. Show all posts

Monday, December 18, 2017

ab ke baras dastūr-e-sitam meñ kyā kyā baab īzād hue


ab ke baras dastūr-e-sitam meñ kyā kyā baab īzād hue
jo qātil the maqtūl hue jo said the ab sayyād hue
pahle bhī ḳhizāñ meñ baaġh ujḌe par yuuñ nahīñ jaise ab ke baras
saare buuTe patta patta ravish ravish barbād hue
pahle bhī tavāf-e-sham-e-vafā thī rasm mohabbat vāloñ
ham tum se pahle bhī yahāñ 'mansūr' hue 'farhād' hue
ik gul ke murjhāne par kyā gulshan meñ kohrām machā
ik chehra kumhlā jaane se kitne dil nāshād hue
'faiz' na ham 'yūsuf' na koī 'yāqūb' jo ham ko yaad kare
apnī kyā kan.āñ meñ rahe misr meñ ābād hue

ab jo koī pūchhe bhī to us se kyā sharh-e-hālāt kareñ


ab jo koī pūchhe bhī to us se kyā sharh-e-hālāt kareñ
dil Thahre to dard sunā.eñ dard thame to baat kareñ
shaam huī phir josh-e-qadah ne bazm-e-harīfāñ raushan
ghar ko aag lagā.eñ ham bhī raushan apnī raat kareñ
qatl-e-dil-o-jāñ apne sar hai apnā lahū apnī gardan pe
mohr-ba-lab baiThe haiñ kis shikva kis ke saath kareñ
hijr meñ shab bhar dard-o-talab ke chāñd sitāre saath rahe
sub.h vīrānī meñ yaaro kaise basar auqāt kareñ

aaj yuuñ mauj-dar-mauj ġham tham gayā is tarah ġham-zadoñ ko qarār aa gayā


aaj yuuñ mauj-dar-mauj ġham tham gayā is tarah ġham-zadoñ ko qarār aa gayā
jaise ḳhush-bū-e-zulf-e-bahār aa ga.ī jaise paiġhām-e-dīdār-e-yār aa gayā
jis dīd-o-talab vahm samjhe the ham rū-ba-rū phir sar-e-rahguzār aa gayā
sub.h-e-fardā ko phir dil tarasne lagā umr-e-rafta tirā e'tibār aa gayā
rut badalne lagī rañg-e-dil dekhnā rañg-e-gulshan se ab haal khultā nahīñ
zaḳhm chhalkā koī koī gul khilā ashk umDe ki abr-e-bahār aa gayā
ḳhūn-e-ushshāq se jaam bharne lage dil sulagne lage daaġh jalne lage
mahfil-e-dard phir rañg par aa ga.ī phir shab-e-ārzū par nikhār aa gayā
sarfaroshī ke andāz badle ga.e dāvat-e-qatl par maqtal-e-shahr meñ
Daal kar koī gardan meñ tauq aa gayā laad kar koī kāñdhe pe daar aa gayā
'faiz' kyā jāniye yaar kis aas par muntazir haiñ ki lā.egā koī ḳhabar
mai-kashoñ par huā mohtasib mehrbāñ dil-figāroñ pe qātil ko pyaar aa gayā
')