Welcome to my blog!

Meet the Author

Blessed with the best _ Alhumdulillah!a million times for every blessing in my life.

Looking for something?

Subscribe to this blog!

Receive the latest posts by email. Just enter your email below if you want to subscribe!

Tuesday, April 30, 2013

Shahon ki tarah thay




Shahon ki tarah thay , na ameeron ki tarah thay

Hum shehr e mohabbat k faqeron ki tarah thay

Daryaaon main hotay thay, jazeeron ki tarah thay

Sehraa main paniyon k zakhiron ki tarah thay

Afsos k samjha na humyen ahel e nazar nay

Hum waqt ki zambeel main heeron ki tarah thay

Gham tauq e gulu paaoun main zanjeer anaa ki

Azad bhi thay hum to aseeron ki tarah thay

Ab reh gay hum sirf riwayat ki soorat

Jab thay to!

Hum rang o nazaron ki tarah thay

Hairat hai k woh log bhi chor chalay hain

Jo meri hathaili main lakeeron ki tarah thay...!!!

____With Kahkashan Khan


Na koi aihaid nibhaye




Na koi aihaid nibhaye...,

Na hum nawai karay.........''''

;

;

; ;

Osay kaho tasalli say bewafai karay...,,,!!!!!

____With Kahkashan Khan

Monday, April 29, 2013

Saturday, April 27, 2013

Thursday, April 25, 2013

Mujhsay aksar woh kaihti thi "Mohabbat kuch nahin hoti"




Mujhsay aksar woh kaihti thi

"Mohabbat kuch nahin hoti..."


Hijar ka khouf bematlab

Wasal ka khuwab bemaani..."


Koi soorat nigahon main kahan din raat rehti hai?

Usay kiun khamoshi kahyen k jis main baat rehti hai?


Yeh aansoo be zuban aansoo bhala kiun bol saktay hain?

Kahan dill main kisi ki yaad say toofan uthtay hain?


Kahan palkon k saaye main nami din raat raihti hai?

Kahan hoti hain woh ankhyen jahan barsaat rehti hain?


Mujhay aksar yeh kaihti thi...

"Mohabbat kuch nahin hoti..."


Magar

Aj jab barson baad mainay usay daikha hai 


Uski jheel ankhon main hijar ka khouf rehta hai .

Wasal k khuwab rehtay hain.

Wahan barsaat rehti hai.


Youn lagta hai k kai raaton say wo soyee nahin shaed...!

Youn lagta hai kisi ki yaad ab din raat rehti hai...!


Aur uski naram palkon k yeh hassen saaye bhi geelay hain....!

Aur uski khamoshi aisi k jis main baat rehti hai...!


Mujhay ab woh nahin kaihti,

"Mohabbat kuch nahin hoti"...!!!


K ab shaed mohabbat ki woh sab rasmyen samjhti hai..

____With Kahkashan Khan




Wednesday, April 24, 2013

Meri yadon say bach niklay to





Meri yadon say bach niklay to wada hai mera tujhsay

Main khud hi duniya say kaih donga kami meri wafa main thi

____With Kahkashan Khan



Woh kaihta hai "Batao besabab kiun rooth jati ho..??"





Woh kaihta hai "Batao besabab kiun rooth jati ho??''

Main kaihti hoon" Zara mujhko manao" .... Acha lagta hai..."

Woh kaihta hai "Mera dill tum say akhir kiun nahin bharta?"

Main kaihti hoon"Mohabbat ki koi had hi nahin hoti...."

Woh kaihta hai"Batao main tumhai kiun bhaa gaya itna?"

Main kaihti hoon"Meri jan hadsay toh ho hi jatay hain..."

Woh kaihta hai "Acahank main tumhain younhi roola doon to..??

Main kaihti hoon " Mujhay dar hai k tum bhi bheeg jao gay..."

____With Kahkashan Khan



Khuda say ho, Pathar say ho ya phir kisi say ho



Khuda say ho,

Pathar say ho,

Ya phir kisi say ho,

Aata nahin hai chain mohabbat kiye bagher!

____With Kahkashan Khan



Asar dill par karay shikwa, Shikayat hoto aisi ho!





Asar dill pay karay shikwa

Shikayat hoto aisi ho..!



Galay lag kar koi roye 

Nadamat hoto aisi ho


Yehi mehsoos ho jaisay k sadiyan guzri hain


faqat ik pal ki furqat main, Aziat hoto aisi ho...!!!


Mujhay kanta chubhai aur uski ankhon say lahoo tapkay


Talluq hoto aisa ho, Mohabbat hoto aisi ho.

____With Kahkashan Khan




Kuch tumsay mohabbat aisi thi





Kuch tumsay mohabbat aisi thi 

Hum baten karna bhool gay!


Kuch aur hi humnay kaih dala

Jo kaihna tha woh bhool gay!


Humnay toh kaha tha lout aana

Par tum toh aana hool gay!


Hui raat falak par tary thay

Hum diya jalana bhool gay!


Main sahil par baitha hi raha

Tum kashti lana bhool gay!


Ab kaisa gila main tum say karoon

Jab naseeb hi mujhko bhool gay!


Hum tumsay khafa baithay hi rahai

Tum humko manana bhool gay!

____With Kahkashan Khan




bekhuwab zindagi ka paristar koun tha





Bekhuwab zindagi ka paristar koun tha?

itni udas raat main bedar koun tha ?

Kisko yeh fikar thi mohabbat main kia hua

Hum is par lar rahai thay

Wafa daar koun tha?

100 kashtiyan jala k chalay sahilon say hum

Ab tum ko kia batayen us paar koun tha?

Yeh faisla to shayed waqt bhi na kar sakay

Such koun bolta tha , Adakaar koun tha?

____With Kahkashan Khan


Main roya anhin rulaya gaya hoon






Main roya nahin rulaya gaya hoon

Bana kar pasand thukraya gaya hoon

Chor diya gaya taqdeer k saharay

Piyar k naam pay jalaya gaya hoon

Bohat hi naram o najzuk tha mizaj apna

jeetay ji khak main milaya gaya hoon

Mareez e mohabbat ko gulab raas kahan

Hamaisha k lia kanton par sulaya gaya hoon

Bemout na marta to kia karta

Bhari duniya main youn sataya gaya hoon

Kabhi jo palkon par naaz uthatay thay

Mohsin

Aaj usi nazar say giraya gaya hoon...

___With Kahkashan Khan



Sirf Itna nahin dill dukha kar gaya...,




Sirf itna nahin dill dukha kar gaya

Sara jeevan woh mera saza kar gaya

Jiski tou rah taqta hai sham o sehar

Sab hawalay woh tera bhula kar gaya 

Phool, khushboo, chaman, chand, taray, saba

Saray sathy woh hamsay khafa kar gaya

Tu kahan aur yeh bewafai kahan

Yeh zamana tujhay bewafa kar gaya

Sab darkhton par kuch na kuch likha reh gaya

Naam aisa woh mera mita kar gaya

Yaad meri satay gi shab bhar usay

Aaj din bhar jo humyen sata kar gaya

Yeh bhi mumkin hai kahkashan na lotay kabhi

Jo humyen char din ka bata kar gaya.

____With Kahkashan Khan



Tumsay nahin hai koi shikayat




Tumsay nahin hai koi shikayat, magar yeh baat

Tumnay barha diy hain khiyalon k silsilay!


_______With Kahkashan Khan




Sadiyoun say ik khuahish si rahi hai mujhko





Sadiyioun say ik khuahish si rahi hai mujhko
K
Kisi udas sham main woh aakar kahen ....?

Lo hum lout aay tumharay liye!

___With Kahkashan Khan



Tuesday, April 23, 2013

So bar kaha mainay






So bar kaha mainay....................Inkaar hai ulfat say............!!!!!
Har bar sada aaiiii....,,,
Tu dill say nahin kaihta!


_______With Kahkashan Khan






Aray koi to chup karway in badlon ko




Aray koi to chup karway in badlon ko
Ay dost
Ghalti hogai jo mainay kal raat badlon ko apni khani suna di......!!!!

_____Kahkashan Khan

Kaghaz par nahin likhtay kuch raz mohabbat k





Kaghaz par nahin likhtay kuch raaz mohabbat k

Pal bhar main bikhar jatay alfaz mohabbat k


Usay toot k chaha to hum khud hi bikhar gay

Aisay bhi badaltay hain andaz bhi mohabbat k


Qasid zara kaihna usay saath hi lay aay

Mujahy phir say sajany hain khwab mohabbat k


Jeenay marnay ki qasmyen woh sada sath rehnay k waday

Kitnay hi suhanay hotay hain iqrar mohabbat k


Usay kainha ab to lout aay

Aray tum bhit toh rakh lo kuch lihaz mohabbat ka!




Monday, April 22, 2013

jab ishq nay pucha chupkay say




Jab ishq nay pucha chupkay say

Chalna hai to chal 

Ab dair na kar

Main nangay paoun dour pari 

pucha na kahan ?

Sab haar diya.

___With Kahkashan Khan



Sun k baten uski..........Faqat itna hi kaha humnay





Sun k baten uski.........faqat itna hi kaha humnay


Kahan aap,.......kahan wafa,,........ rehnay dijyea!

_____With Kahkashan Khan




Janti ho tum





janti ho tum.....?

Jiski ankhon main ik nami c thi

Jiska chahra malool rehta tha

Wohi jo bhi tawajohi k sabab

Hamesha beasool rehta tha

Woh aik shaks janti ho tum?

Woh jisay neend bohat piyari thi

Woh jo ik khuwab k asar main tha

Woh jo lailm raha manzil say

Woh jo omer bhar safar main tha

Woh jo aik shaks janti ho tum

Jisnay khushboo ki tamanna ki thi

Aur ronday gulab paye thay

jisnay apni hi naikiyon k awaz

Rafta rafta azaab paay thay

Woh aik shaks janti ho tum?

Jiska ik din mohabbat tha

Jiska imaan bas wafayen theen

Woh jiski soch bhi paresha thi

Jis k lub par faqat duayen theen

Wohi

Ujli hui

Bechain ci baton wala

Mohabat say hai k dar gaya

Hijar k dukh sahai itnay

K woh to kal shab hi mar gaya hai

Ao ab lash ko daikho

Woh jo tere asar main tha

Mohabbat say k dar gaya

________With Kahkashan Khan



Sunday, April 21, 2013

Main likh hi nahin sakta apnay udas dill k afsanay




Main likh hi nahin sakta apnay udas dill k afsanay
Mahi
Mere sath jo bhi hota hai
Bas acha nahin hota!



Mainay mangi hai tere liye yeh dua





Mainay mangi hai tere liye yeh dua

k

Tujhay kabhi na koi dukh milay

Tujhay zindagi ka har sukh milay

Tera dill na ho kabhi khafa

Tu muskurata rahai sada

Mainay mangi hai tere liye yeh dua

k

Raheem tujh par rehem karay aur

Dikhaye tujhko seedhi raah

Tere ghar bhi sukh ho

Aur tal jay har bala

Woh rhman hai mera khuda

Karay ga qabool meri dua

K tujhay zindagi ka har sukh milay

Na tujhay kabhi koi dukh milay.

___With Kahkashan Khan



Ay dill ab bus bhi kar.........???





Ay dill ab bus bhi kar.........???
Pagal,
Uski yaad koi naiki toh nahin
Jo,
!kiye ja rahai ho
!kiye ja rahai ho
!kiye ja rahai ho...

________With Kahkashan Khan


Zabt karta hoon to har zakham lahoo dayta hai



Zabt karta hoon to har zakham lahoo dayta hai

Aah karta hon to Andaisha e Ruswai hai

Daikhta hoon to hazaron say shanasai hai

Daikhta hoon to whoi gham wohi tanhai hai..

_______With Kahkashan Khan



Main janti hoon





Great motivational lines.....!!!
Main janti hooon k main kuch to hoon
Kiun k
Mera ALLAH PAK
koi bhi cheez beqar nahin banata!

_______With Kahkashan Khan





Suno acha nahin lagta





Suno acha nahin lagta
karay jab tazkara koi
karay jab tabsara koi
Tumhari zaat ko khojay 
Tumhari baat ko khojay
Mujhay acha nahin lagta
Suno acha nahin lagta
Tumhari muskurahat par
Hazaro log martay ho
Tumhari aik ahat par
Hazaro dill dharaktay ho
Kisi ka tum par mar jana
Mujhay acha nahin lagta!

___With Kahkashan Khan



Dill ka ik hujoom sahi dill k aas pass





Naamon ka ik hujoom sahi dill k aas pass
Dill sun k ek naam dharakta zaroor hai!


___With kahkashan khan




Najanay kiun har imtehan k liye






Najanay kiun har imtehan k liye...........
;

; ;
Zindagi ko mera pata yaad rehta hai!


____With Kahkashan khan

Badlay to nahin hain woh





Badlay toh nahin hain woh dill o jan k qareenay

Ankhon ki jalan, dill ki chubhan ab bhi wohi hai.


____With kahkashan khan

Saturday, April 20, 2013

Hath bandhay kharay hain sub





Hath Bandhay Kharay Hain Sab, Gum Khiyalon Mian Apnay Apnay,

Imam e Masjid Say Koi Puchay , Namaz Kis Ko Parha Raha Hai! 



____With Kahkashan Khan





Friday, April 19, 2013

Meri zarkhaiz ankhon par





Meri zarkhaiz
ankhon par faqat 
Islia zawal aaaya
Ik khuwab daikh baitha
apni ouqat 
say barh kar...

____with kahkashan khan




Kahan Ka Ishq ....? Kahan Ki Wafa...?




Kahan ka ishq...?
Kahan ki wafa...?
Kahan ki mohabbat ...?
...*aray sahib...*
Wo log bhi guzar gay
Aur woh dour bhi guzar gay.

___With Kahkashan Khan



Koi to hai .......* Mere Ander





Koi to hai*
Mere ander mujhay *
Sanmbhalay huay..*

.. .. *

K be-qarar sa
Reh kar bhi
Bar-qarar sa hoon..
___With Kahkashan Khan

Dehleez par tootay huay pyalay ki tarah





Dheleez par tootay huay piyalay ki tarah"..!.. 

Ek shaks nay phainka hai mujhay piyas bujha kar! 


____With Kahkashan Khan

Ab teri ankh main aansoo kis liye





Ab teri aankh main aansoo kis liye

Jab chor hi diya tha , To bhula bhi diya hota


___With Kahkashan Khan

Bas yehi aadat uski mujhay achi lagtai hai jab





Bas yehi aadat uski mujhay achi lagti hai jab

Nazren jhuka kar woh kehti hai, Tumhai haq hai!

_____With Kahkashan Khan


Tum Ishq Ki Baat Choro Apni Baat karo






Tum Ishq ki baat choro apni baat karo,


Ishq say ziada tumnay tarpaya hai mujhay.

________With Kahkashan Khan



Udasi , Sham , Tanhai , Kasak






Udasi...,Sham...,tanhai...,kasak...,yaadon ki becheni

Mujhay sab sonp kar SOORAJ utar jata hai pani main..



_________With Kahkashan Khan

Thursday, April 18, 2013

Aisa khamoshi ka alam hojay ga





Aisa khamoshi ka alam hojay ga

Mere janay k baaad

K hokar udas parinday bhi

Tera shaher chor jayen gay..~

____With Kakashan Khan






A Doll





You are my doll...

A doll which i can...

Share everything...

Whatever i have ...

A doll which can talk To me without any secret...

A doll which an look...

At my ugliest...

A doll which lift me high...

A doll who inspire me all times...

You are my sweet doll...

A doll who can shout at me...

A doll who makes me laugh...

When i'm sad...

A doll who brings me smile...

You are my only dearest doll...

A doll which i can't live without...

Aww!!! my sweet doll...

You are my darling...

You are my life...

You are my heart...

You are my everything....!

____With Kahkashan Khan




Wednesday, April 17, 2013

Peopel do not always need advice





Somtime all they really need is a Hand to hold , An Ear to listen & a Heart to understand them...

_________With Kahkashan Khan

Barishon k mousam main





Barishon k mousam main

Tum ko yaad karnay ki

Adatyen purani hain

Ab ki baar socha hai

Adatyen badal dalyen

Phir khiyaal aaya k

Adatyen badalnay say

Barisheyen nahin rukteen...!

____With Kahkashan Khan




If You Love Somebody



"If you love somebody, let them go, for if them return, they were always yours, if they don't they never were".





______With Kahkashan Khan

Tuesday, April 16, 2013

Tumharay sard laihjay nay mujhay chonka diya warna!





Tumharay sard laihjay nay mujhay chonka dia warna..!


Mohabbat main mohabbat say dhoka kha rahai thay hum

____With Kahkashan Khan



Monday, April 8, 2013

Yeh kaisa khuwab tha mohsin






Yeh kaisa khuwab tha mohsin

Jhatka sa laga dill ko

"

" "

"

K ik shaks pareshan tha meri talash main!!!

_____With Kahkashan Khan



')