Welcome to my blog!

Meet the Author

Blessed with the best _ Alhumdulillah!a million times for every blessing in my life.

Looking for something?

Subscribe to this blog!

Receive the latest posts by email. Just enter your email below if you want to subscribe!

Pages

Friday, January 31, 2014

I don’t need someone to complete me,





I don’t need someone to complete me,

I need someone to make things a little bit better every now and again.

So here’s my advice:





So here’s my advice: Study broadly and without fear. Learn a language if you can, because that will make your life more interesting. Read a little bit every day. But more importantly, surround yourself with people who you like and make cool stuff with them. In the end, what you do isn’t going to be nearly as interesting or important as who you do it with.

When something bothered me,





When something bothered me, I didn’t talk with anyone about it. I thought it over all by myself, came to a conclusion, and took action alone. Not that I really felt lonely. I thought that’s just the way things are.
Human beings, in the final analysis, have to survive on their own.


ne of the most amazing things that can happen





ne of the most amazing things that can happen is finding someone who sees everything you are and won’t let you be anything less. They see the potential of you. They see endless possibilities. And through their eyes, you start to see yourself the same way. As someone who matters. As someone who can make a difference in this world.

Susane Colasanti, So Much Closer

Each morning when I open my eyes





Each morning when I open my eyes I say to myself: I, not events, have the power to make me happy or unhappy today. I can choose which it shall be. Yesterday is dead, tomorrow hasn't arrived yet. I have just one day, today, and I'm going to be happy in it.



Thursday, January 30, 2014

Bohat Arsa Hua 1 Din


Bohat Arsa Hua 1 Din

Bataya Tha Mujhay Usne

Bnana Kuch Nahin Aata

Agr Main kUch Banati
Hun
To Bus Chae Banati Hoon
Peo Gay Na ???

Or Main Is Baat Par Muskurata Hi Raha Tha

K Banana kUch Nahin
Aata
Banati Hoon To bus Chae

Mujahay Chae Se Uljhan Hai

Nahin Peeta 
Nahin Peeta

Aur Ab Is Baat Ko Guzre

Zamane Ho Gaye Kitney
Nahin Maloom Mujhko Woh Kasi Hai
Kahan Par Hai

Mager Ab Chae Peeta Hoon

Bari Kasrat Se Peeta Hoon
Bari Hasrat Se Peeta Hoon...!

Monday, January 27, 2014

wO eK inSan JO Soya Hi Nahi Kai RaaToN Se


wO eK inSan JO Soya Hi Nahi Kai RaaToN Se

aGaR uS Ki WaJah Tum Ho
To Kya ZaLim Nahi Ho Tum ..

Ujjar Gaye Na Sarr Say Paon Tak..!


Ujjar Gaye Na Sarr Say Paon Tak..! 

Karo, Karo, Aur Muhabbat Karo…!

Baat Chali Tere Baaton Say Aur Ja Pohanchi Paimaanay Tak,













Baat Chali Tere Baaton Say Aur Ja Pohanchi Paimaanay Tak, 
Kheinch Rahi Hai Tere Ulfat Aaj Mujhe Maikhaanay Tak. 

Ishq Ki Baaten Ghum Ki Baaten Duniya Waalay Kartay Hain, 
Kis Nay Shamaa Ka Dukh Dykha Aur Kon Gaya Parwaanay Tak. 

Ishq Nahen Hai Tum-Ko Mujh Say Sirf Bahanay Kartay Ho, 
Yun-Hi Bahanay Qayem Rakhna Tum Meray Marr Jaanay Tak. 

Itna Hi Kehna Hai Tum Say Mumkin Ho To Aa-Jaana..! 
Aa Hi Gaye Ho To Rukna Ho-Ga Aankhon Kay Pathraanay Tak...!~

Main Logon Ki Baaton Ko Zara Bhar Bhi Nahi Sunti


Main Logon Ki Baaton Ko Zara Bhar Bhi Nahi Sunti

Mera Dil Ab Bhi Kehta Hai Usay Mujhse Muhabbat Hai...

Baat Be-Baat Toot Jata Hai.


Baat Be-Baat Toot Jata Hai.

Dil Bhi Kacha Makaan Ho jaise.

Baat Ik Shaks Ki Nahi Logon.


Baat Ik Shaks Ki Nahi Logon.
Uth Gayi Hain Wafaein Dunyia Sy

Wo chala Gaya Mujhe Chorr k Mein Badal Na Paya Aadatein.


Wo chala Gaya Mujhe Chorr k Mein Badal Na Paya Aadatein. 

Usey Sochna. 
Usey Chahna Mera Aaj Bhi Mamool Hai.

Naya dard ek aur dil mein jaga kar chala gaya,


Naya dard ek aur dil mein jaga kar chala gaya, 
Kal phir woh mere shehar mein aakar chala gaya ... ! 

Jise dhoondta raha main logon ki bheed mein, 
Mujh se woh apna aap chhupa kar chala gaya ... !! 

Main uski khamoshi ka sabab poochti rahi, 
Woh kisse idhar udhar ke suna kar chala gaya ... !!! 

Yeh sochti hoon kaise bhulaungi ab usse, 
Ek shaks woh jo mujh ko bhula kar chala gaya.

"Hamen Daryaft Krne Se


"Hamen Daryaft Krne Se 
Hamen Taskheer Krne Tak, 

Bohat Hen 
Mrhalay Baqi, Hamen Zanjeer Krne Tak, 

Hamare Hijjr K Qissay Sameto Ge To Likho Ge, 

Hazaron Baar Socho Ge Hamen Tehreer Krne Tak, 

Hamara Dil He Pemana, 
So Pemana To Chalkey Ga, 

Chalo Do Ghoont Tum Bhar Lo, Hamen Taseer Krne Tak, 

Puranay Rang Chhorro Aankh K, Ik Rang Hi Kaafi He, 

Mohabbat Se Chashm Bhar Lo, Hamen Tasweer Krne Tak, 

Hunar Takmeel Se Pehley, Musawwir Bhi Chupata He, 

Zara Tum Bhi 
Chupa Rakho, Hamen Tameer Krne Tak, 

Wo Ham Ko Roz Loot'tay Hen, Adaa'on Se, Bahano'n Se, 

Khuda Rakhey! Lutteray Ko, Hamen Faqeer Krne Tak"

Tamana sir bulandi ki hamen bhi tang krti hai,,


Tamana sir bulandi ki hamen bhi tang krti hai,,
magar hum dosron ko ro'ond kar onchy nahe hoty.

Suno Tum door mat jana.


Suno Tum door mat jana. 
Agar qismat b le jaye Magar tm bhool mat jana. 

K yeh janmo ka rishta hai. 
Mohabat zakhm khurda hai. 

Hamen to sath rehna hai. 
Tumhary pas rehna hai. 

Akela choor mat jana. Suno tum door mat jana. 

Alag jeena nahi sekha. Zehr pena nahi sekha. Agar tum laut jao gy. Judai maar daly gi. 

Yeh dori toot jaye gi Is dil ko toor mat jana Suno tm door mat jana Muje tum bhool mat jana..!

Friday, January 24, 2014

Hawa Ura K Mujhy Jis Taraf Bhi Lay Jaye



Hawa Ura K Mujhy Jis Taraf Bhi Lay Jaye
*
*
**
*
*
Tera Khiyaal Mere Sath Sath Rehta Hai...!



Jab Tumhai Mujhse Nafrat Ho Jaye


Suno.....!
Tumhari wafa pay mujh ko....
Youn to pura yaqeen hai....
Par.... Zamane k waar kuch bharosa nahin hai
Sogar kabhi aisa ho jaye... Aur tumhai mujhse nafrat ho jaye...
To in rahon se nafrat na karna ....Jin par hum kabhi aik sath chale thay..
K kisi k qadmon ki besabati se....Bhala in bal khati rahon ka kiya wasta..?
In nazaron se nafrat mat karna...... Jo humne kabhi ik sath daikhe thay.
K kisi k wajood ki badhiyat weerani se....Bhala in khoobsurat nazaron ko kiya lahqa.?
In baton se nafrat mat karna .... Jo kabhi humne tanhaaii main ki theen
K kisi ki betawazun shaksiyat ki karwahat se ... Bhala un meethi baton ka kya sabqa ?
Un khuwabon se nafrat mat karna....Jo kabhi humne aik sath mik ka daikhe thay
K kisi 'pekar e badnaseeb" ghinaaone pan se ......Bhal in roshan tabeeron ka kya rabta ?
Bas mujh hi se nafrat karna .... K meri rooh ki siyahi se hi ... Char soo yeh andhera hai...
Meri badsoorti ki wajah se hi..... Duniya ka har rang pheeka hai....Har raah be raah hai...
Har nazara makroo hai..... Har khuwab seraab hai...
Bas mujhse hi nafrat karna....K sirf main...Aur bas main hi ....Tumhari is nafrat k qabil hoon... 

Wednesday, January 22, 2014

December Sey ßi Thanda Hai Teri "ZULF" "ka Saya"...





December Sey ßi Thanda Hai Teri "ZULF" "ka Saya"... 

Jee Chahta Hai 

"JUNE" Yahee'n Aa kar Guzaar Do'n ...



Dil karta he is hawa se main bhi moll lon dushmani


Dil karta he is hawa se main bhi moll lon dushmani
Shayad mujhe bhi wo bhujha sake is
aag ki tarha jalta dekh kar..!

(**)Bataao Kaisi Lagi Judaai Ki Yeh Shaam.(**)


(**)Bataao Kaisi Lagi Judaai Ki Yeh Shaam.(**)

Ghuroob Hota Howa Kesa Lag Raha Hon Main.

Boonden Jo Giri Barish Ki




Boonden Jo Giri Barish Ki
Youn Khuch Khiyal Beeg Gaye...!@



Itna Ajeeb Sawal Tha Un Ka Hum Chup Hi Ho Gaye...*


Itna Ajeeb Sawal Tha Un Ka Hum Chup Hi 
Ho Gaye...* 


Wo Bolay Hum Pe 
Marte Ho To Marte 
Q Nahi..*

Hain Naa Mujhe Ghallat Fehmiyaan,


Hain Naa Mujhe Ghallat Fehmiyaan, 

K Jab Bi Tujhe Samjha, 
Apna Samjha,

Ek aas , Ek ehsas Meri soch...Or Bus TUM...!


Ek aas , Ek ehsas Meri soch...Or 
Bus TUM...! 

Ek sawaal , Ek majaal , Tumhara khayaal... 
Or 
Bus Tum....! 


EK baat , Ek sham , Tumhara saath... 
Or 
Bus TUM....! 


Ek bat , Ek faryaad , Tumhari yaad... 
Or 
Bus TUM....! 


Mera jun0on , Mera suk0on , Bus TUM... 
Or 
Bus TUM..

Musafat Main....!! - Rung-0-Naqsh Chehry K....!!


Musafat Main....!! 
Rung-0-Naqsh 
Chehry K....!! 

Maand Parr He 
Jaaty Hain....!! 

Kiya Gila Agar 
Ab Wo....!! 

"Dekh Kar Bhe 
Na Pehchany 
T0..!!

Na jala Itne Diye Meri Raah-E-Guzar Me...* . .


Na jala Itne Diye Meri Raah-E-Guzar Me...* .  . 

Keh Manzil Ko Bhool K Mujhe Raahon Se Pyar Ho Jaye...*

Raah Ke Dushwaryun Main Kaam Aye Meray Do Rafeeq,


Raah Ke Dushwaryun Main Kaam Aye Meray Do Rafeeq, 


Ik Mera Josh e Janoon, Ik Mera Shok e Safar.

Monday, January 20, 2014

Jo Chala Gya Mujhe Chor K Main Kabhi Na Us Ko Bhula Saka


Jo Chala Gya Mujhe Chor K Main Kabhi Na Us Ko Bhula Saka

Wohi Dorian Wohi Fasle Main

Kabhi Na In Ko Mita Saka.

Kya Use B Mujh Se Pyar Tha

Ya Tabussum Us Ka Shuar Tha

Wo Koi Ajib Sawal Tha Jo Meri Samajh Mein Na Aa Saka

Meri Zindagi Ka Sakoon Tha Wo Mere Dil Ka Ik Janon Tha

Meri Bandagi Mera Pyar Tha

Yehi Bat Na Main Bta Saka

Yehi Sochta Tha Main Raat Bhar wo Kabhi Mile Ga jo Raah Par

To Karon Ga Us Se Shikaitain

Mujhe roz o shab ki kitab main


Mujhe roz o shab ki kitab main

koi aisa harf na mil saka

jisy misl e gul ka khitab don

jisy chandni ki si taab don

jisy dhond kar

jisy khoj kar

rukh e aasman pe saja bhi don

mery khon e dil ki nigaarshen

meri roh tak k fishaar bhi

yahan ilm o fun ki dukan per

bary sastey damon se bik gaye

mujhe tor kar

mujhe phor kar

mery doston ne jala dya

rah e zindagi k ghubar main

meri raakh tak ko ura dya

mujhe bhir bhi koi gila nahi

jo mila nahi so mila nahi..

mujhe maut ki godh mein sone de


mujhe maut ki godh mein sone de

jism se rooh ko ruswa hone de

mila hai mujhe apna saathi

seene se lagkar uske rone de

mil gaya hai mera humsafar

issi ke ishq mein mujko khone de

mila hai mauka panaah ka aaj

kam se kam isi ki ahmiyat mein hone de

zindagi ne kabhi khushi nahi di

maut ki hi baahon mein lipat kar sone

de

mujhe maut ki godh mein sone de

issi ke ishq mein mujhko khone de…

Hain sabhi ko hum say shikayatein,


Hain sabhi ko

hum say shikayatein,

Pr humain ksi se

gila nahin

FARAZ…

Yeh usool hum

ne bana liya,

Na mila karo,

Na gila karo..

Aise wo mere shahr ki taqdeer sy khaile.


Aise wo mere shahr ki taqdeer sy khaile.____
____________
Jaise koi bacha kisi tasveer se khaile.____!!!!
___________
Rahna hy usy or B kuch roz qafas mein,_____
________
Qaidi sy kaho sabar ki zanjeer se khaile._____!!!!
_______
Utra hy mere zehan sy paikar tera lekin,____
________
Dil ab B teri lams ki taaseer sy khaile._____!!!!!
_______
Mumkin tha Mohabt mein humain maat na hoti,_____
______
Ye khail magr hum bari taakheer sy khaile._____!!!!
____
Ye zeest ki bazi na tere hath rahe gi,______
___
TU lakh isy ghor sy tadbeer sy khaile.______!!!!!

Kon Jany K Tujhy Yaad Bhi Hay Ya K Nahi….


Kon Jany K Tujhy Yaad Bhi Hay Ya K Nahi….

Mein Ek Khat Tumhien Likha Tha Pareshani Mein..

Mein Nay Likha Tha Zaroorat Hay Sahary Ki Mujhy…

Do Sahara Jo Mujhy Tum To Inayat Hogi…

Ek Sahary Ki Tumhein Bhi To Zaroorat Hogi…

Kar Lo Shamil Mujhy Ankhoon Ki Nighabani Mein..

Mein Ek Khat Tumhien Likha Tha Pareshani Mein..

Mein Nay Likha Tha Mera Koi Nahi Dunya Mein..

Mein K Aakaash Pay Jesy Koi Badal Tanha…

Jesy Basti Ho Kisi Morr Pay Peepal Tanha…

Jesy Murjhaya Huwa Koi Kanwal Pani Mein…

Mein Ek Khat Tumhien Likha Tha Pareshani Mein..

Mein Nay Likha Tha Magar Ye Mujhy Maloom Na Tha….

Mein Tumhien Rooh Ki Jageer Nahi Likh Sakta….

Khat To Likh Sakta Hoon Taqdeer Nahi Likh Sakta…

Bhool Jana K Khata Ho Gai Nadani Mein…

Mein Ek Khat Tumhien Likha Tha Pareshani Mein..

Fankaar hy to Haath pe Sooraj Saja k laa,,


Fankaar hy to Haath pe Sooraj Saja k laa,,

Bujhta hua Diyya Muqaabil Hawa k laa,.,

Darya ka Inteqaam Dabbo de na Ghar Tera,,

Saahil se Roz Roz na kankar Utha k laa,.,

Thori si Aur Mouj Mein aa

“Ay Hawa-e-Gul”,,

Thori si Us k Jism ki khushbo Chura k laa,.,

Garr dekhna hy Ehl-e-MASHIYAT ka Hosla,,

Maidaan se Ghar mein ik Maiyyat Utha k laa,.,

“KHAN”ab Uska Naam hy Sab ki Zuban par,,

Kis ne kaha tha Usko Ghazal mein Saja k laa.

Abhi kuch bhi nahin badla,


Abhi kuch bhi nahin badla,
Darakhton par wohi mausam abi tak muskuratey hain,
Abhi tak surmeyi shamain hamarey sath roti hain,
Abhi tak mere honton per tumhare honton ki khushbu
Raqss karti hai,
Abhi tak meri ankhon mein tumhare khawb hanstey hain,
Abhi tak mere hathon per tumhari ungliyon
ki narm pooron se likhey sab harf
zinda hain,
Abhi tak mere seeney mein tumhari saans chalti hai,
Abhi to raston par doodhiya pairon se parney waley
sarey naqsh qayem hain,
Abhi almaariyon mein sarey tohfey gungunatey hain,
Tumhare khat abhi bhi raat ki tanhai mein mujh se,
Tumhari baat kartey hain,
Bohat se saal guzrey hain,
Bohat se waqt beeta hai,
Meri chahat nahin beeti,
Meri himmat nahin guzri,
Abhi kuch bhi nahin badla,
Abhi kuch bhi nahin badla,
Agar chaho,
Agar samjho,
Meri maano,
To laut aao…

!Kaha Us Ne Shakon Se...!


!Kaha Us Ne Shakon Se...!

Juda Phoolon Ko Karne Ki
!Hawaoun Ki Jo Sazish Hai
!!Usey Achi Nahin Lagti.

Faqat


!!..Ik Pal Ko Jee Chaha

Use Itna To Keh Doun Aaj
Mohabbat In Phoolon ki Pattion Se Barh K Nazuk Thi.!
!!...Jise Qadmon Taley USney
Kabhi Ka Rond Dala Hai..!!!

KOi Shaeee Palat Kar Wapis Nahin Aati


KOi Shaaeee...
Palat Kar Wapis Nahin AatiSiwaee
MOusamOn K...
Kash....
Tum Bhi MOusam
HOte!

Kaheen ISHQ ki dekhi Ibtida...


Kaheen ISHQ ki dekhi Ibtida...
Kaheen ISHQ ki dekhi Intiha...
...
Kaheen ISHQ Sooli pe Charh gaya...
Kaheen ISHQ ka Nezay pe Sir gaya...
...
Kaheen ISHQ sajday mein gir gaya...
Kaheen ISHQ Sajday se phir gaya...
...
Kaheen ISHQ dars-e-wafa bana...
Kaheen ISHQ husn-e-ada bana...
...
Kaheen ISHQ nay sanp say daswa diya...
Kaheen ISHQ ne namaz ko Qaza kiya...
...
Kaheen ISHQ saif-e Khuda bana...
Kaheen ISHQ sher-e-Khuda bana...
...
Kaheen ISHQ Toor pay deedar hai...
Kaheen ISHQ zibah ko tayyar hai...
...
Kaheen ISHQ nay behka diya...
Kaheen ISHQ ne Shah-e-Misr bana diya...
...
Kaheen ISHQ ankhon ka Noor hai...
Kaheen ISHQ Koh-e-Toor hai...
...
Kaheen ISHQ 'tu hi tu' hua...
kaheen ISHQ ALLAH Hoo hua...!!

')