Kahkashan Khan Blog This page is dedicated to all the art, poetry, literature, music, nature, solitude and book lovers. Do what makes your soul happy. Love and Peace. - D
Pages
▼
Monday, March 31, 2014
Friday, March 28, 2014
ღ ღ ღ ღ Aaina mujse meri pehli si surat mange
ღ ღ ღ ღ Aaina mujse meri pehli si surat mange
Mere apne meri hone ki nishani mange
ღ
Mein bhatakata hi raha dard ke viraane mein
ღ
Waqt likhta raha chere pe har pal ka hishab
ღ
Meri shorat meri diwangi ki nazar hui
ღ
Pi gayi may ki bolte meri geeto ki kitab
ღ
Aaj lauta hoon tu hasne ki ada bhool gaya
ღ
Yeh shahar bhoola muje mein bhi ishe bhool gaya
ღ
Mera fan phir muje bazaar mein le aaya hai
ღ
Yeh vo jagah ke jahan mero vafa bikate hain
ღ
Baap bikate hain aur lakhte jigar bikate hain
ღ
Kookh bikati hain dil bikate hain sar bikate hain
ღ
Is badalti hui duniya ka khuda koi nahin
ღ
Saste daamo pe yahan roz khuda bikate hain
ღ
Har kharidaar ko bazaar mein bikataa paya
ღ
Hum kya paayenge kisi ne yahaan kya paayaa
ღ
Mere aheshas mere phool kahin aur chale
ღ
Thursday, March 27, 2014
Tuesday, March 25, 2014
Friday, March 21, 2014
Usne Din Raat Mujhko Sataaya Itna ki…. *
Usne Din Raat Mujhko Sataaya Itna ki….
*
Nafrat Bhi Ho Gayi Aur Mohabbat Bhi Ho Gayi….
*
Usne Is Nazaakat Se Mere Hothon Ko Chooma ki….
*
Roza Bhi Na Toota Aur Iftaari Bhi Ho Gai….
*
Usne Is Ehtraam Se Mujhse Mohabbat Ki ki….
*
Gunaah Bhi Na Hua Aur Ibadaat Bhi Ho Gai….
*
Mat Pucho Uske Pyaar Karneka Andaaz Kaisa Tha….
*
Usne Is Shiddat Se Seene Se Lagaya ki….
*
Maut Bhi Na Hui Aur Jannat Bhi Mil Gayi….
Qatra Qatra Darya Bana Darya Se Samander Bana
Qatra Qatra Darya Bana
Darya Se Samander Bana
Samander Pee Gya Sara
Phr Bhi Pyas Na Bujh Saki
In K Ishq Ka Jalwa Bara Halal Tha
Bara Kamal Tha..
Bara Bemisaal Tha...
Bara lazawal Tha...!
Ishq Hua Main Deewana Bana
Ishq Hua Main Mastana Bana!
Ab Hosh Kahan .... Ab Khiyal Kahan
Zain Admi Se Insan Bana...!
Thursday, March 20, 2014
Tuesday, March 18, 2014
Zindagi Ki Raahon Mein
Zindagi Ki Raahon Mein
Baar Baar Ye Dekha Hai
Sirf Sun Nahi Rakha
Khud Bhi AzMaya Hai,
Tajurbon Se Saabit Hai,
Jo Bhi Padhte Aye Hai
Usko Thik Paya Hai,
Is Tarah Baaton Se
Manzilon Se Pehle Hi
Sath Kaante Jaate Hai,
Log Rooth Jaate Hai,
Ye TuMhe Bata Dun Main
Chahaton Ke Rishton Mein
"Girah Nahi Lagti"
Lag Bhi Jaye To Is Mein
Phir Kashish Nahi Rehti,
Ek Pheeka Pheeka Sa
Rabta To Hota Hai,
Taazgi Nahi Rehti,
Rooh Ke TaaluQ Mein,
Zindagi Nahi Rehti,
Baat Wo Nahi Banti,
Dosti Nahi Rehti,
Laakh Baar Mil Kar Bhi,
Dil Kabhi Nahi Milte,
Yaad Ke Dareechon Mein
Titliyon Ke Rangon Mein,
Phool Phir Nahi Khilte,
Isliye Main Kehta Hoon,
HuM Is Tarah Ki Baaton Mein,
Ehtiyaat Karte Hai,
HuM Is Tarah Ki Baaton Se,
Ijtinaab Karte Hai...
Friday, March 14, 2014
Duniya k logon ki maissal aik qandeel k samne
Duniya k logon ki maissal aik qandeel k samne teen parwano ki si hai ....Pehla parwana qandeel k pas gya.... aur uski hiddat mehsoos kar k wapis agay.... aur kaha mujhay maloom hai..... ISHQ Kiya hai..... Dusra parwana qandeel aur qareeb gaya aur uski aag ko apne paron se choo ka daikha aur ..... Wapis aakar kaha ....Mujhay maloom hai .... ISHQ kiya hai.... Teesre parwane ne apna aap qandeel ki aag main phenk diya ..... Aur jal kar bhasam hogaya......... Bas wohi akela janta tha......ISHIQ kiya hai ...____!
Thursday, March 13, 2014
Woh Jo Daw_e_Daar Hain Sheher Zamaney Main
Woh Jo Daw_e_Daar Hain
Sheher Zamaney Main
;
K Sabhi Ka Nabz Shanas Hoon
;
Kabhi Aa K Mujhse To Puchta
;
K Main Kis K Gham
Main Udaas Hoon
;
Yeh Meri Kitaab_e_ Hayat Hai
;
Isy Dil Ki Ankh Se Parh Zara
;
Main Warq Warq Tere Samne
;
Tere Ru_Baru , Tere
Pas Hoon
;
Yeh Teri Umeed Ko Kiiya Hua ..??
;
Kabhi Tune Ghour Nahin Kiya.
;
Kisi Shaam Tune Kaha
To Tha
;
Teri Saans Hoon, Tere
Paas Hoon ..!!
Wednesday, March 12, 2014
Us ne door rehne ka mashvara bi likha hai..,
Us ne door rehne ka mashvara bi likha hai..,
sath hi muhabat ka wasta bi likha hai..,
us ne yeh bi likha hai meray ghar nahi ana..,
aur saaf saaf lafzon mai rasta bi likha hai..,
kuch haruf likhay hain zabt ki nasihat main.
kuch haruf mai us ne hosla bi likha hai..
shukrya bi likha hai dil se yad karnay ka..,
dil se dil ka hai kitna- fasla bi likha hai..,
kia usay likhein
kia usay kahain..,
jis ne bejaan kar k Jaan bi likha hai...!
Tuesday, March 11, 2014
Usay kehna Bazaahir to, Hawaein Badli Badli hain,
Usay kehna
Bazaahir to,
Hawaein Badli Badli hain,
Chaman bhi Badla
Badla hai,
Mager DiL me Tumhari yaad ka Mosam nhi Badla,
Teri chahat k
phoolon ki,
Abhi khushbu
nhi Bikhri,
Mere Andar Tmhari zaat ka
Ehsas baqi hy,
Tumhary Dam se Meri zindagi me saans baqi hy,
Usay kehna
Ye Fitrat ka taqaaza hy,
k Mosam to Badaltay hain,
Kabhi Mosam Badalnay se,
Ye Aankhein Numm
nahi karty,
Dilon me Gham nhi karty,
Mohabbat kam nahi karty..
Mohabbat Rooth Jaye To,
Mohabbat Rooth Jaye To,
Use Baanhon Mein Le Lena___♥
B0hat Hi Paas Kar K Tum,
Use Jane Nahi Dena___♥
Wo Daaman Bhi Churaye To,
Use Tum Qasam De Dena___♥
Dilon K Maamlon Main To,
khatayen Ho Hi Jati Hain___♥
Tum In Khataon Ko,
Bahana Mat Bana Lena___♥
"DEKHO"
Muhabbat Rooth Jaye To,
Use Jaldi Mana Lena___♥