Welcome to my blog!

Meet the Author

Blessed with the best _ Alhumdulillah!a million times for every blessing in my life.

Looking for something?

Subscribe to this blog!

Receive the latest posts by email. Just enter your email below if you want to subscribe!

Pages

Monday, June 30, 2014

Be-Mosam Barsaat Ka Dh0ka Rehta Hai.





Be-Mosam Barsaat Ka

Dh0ka Rehta Hai.

Din Me Milo Tu Raat ka Dhoka Rehta Hai.


Itni Baar Main Dil K Hathon Haara Hoon.

Jeet Bhi jaon Maat Ka Dh0ka Rehta Hai.


Apny Naam ka Dhaga Bandh Do Bazo Par.

Mujh Ko Kuch Afaat Ka Dhoka Rehta Hai.


K0n Kisy Aur Kis Sy Barh Kar Chahta Hai.

Pyaar Me Bhi Darjaat Ka

Dh0ka Rehta Hai.


Do0ri Ya Nazdeki

Bat To Aik Si Hai.

Bas Youn Hi Halaat Ka Dh0ka Rehta Hai.




Han Mujhe Usse Pyar Ho Gaya,


Han Mujhe Usse Pyar Ho Gaya,
Ek Pal Mein Na Jaane Kya Ho Gaya,

Yun To Main Roz Usse Milta Hoon,
Na Jaane Aaj Usse Dekhte Hi Mujhe Kya Ho
Gaya,

Wo Bhi Mujhse Izhar Kar Na Saki,
Main Bhi Naa Jaane Kaha Kho Gaya,

Aaj Usne Bahut Pyar Se Poocha Hai,
Wo Koun Hai Jisse Tumhe Pyar Ho Gaya,

Main Kaise Usse Kahoo Ke Wo Tum Hi Ho,
Jab Kehna Chaha To Uske Inkar Se Dar Gaya,

Wo Shayad Pyar Karti Hai Mujhse,
Na Jaane Kyon Mujhe Ye Guman Ho Gaya,

Kahi Aisa Na Ho Ke Isi Intezar Mein,
Koi Aakar Kahe Wo Kisi Or Ka Ho Gaya,

Na Dar Ae Dil Keh De Aaj Usse Ye Baat,
Haa Wo Tum Hi Ho Jisse Mujhe Pyar Ho Gaya

Woh Pichli Barishon Mein Hum,





Woh Pichli Barishon Mein Hum,

Barry Na'daan Hotey Thy.

Sabhi Ki Aankh Sy Bach Ker,

Purani Kaapiyon Sy Hum

Warq Kuch Noch Letey Thy.

Hum ik Kashti Banaaty Thy.

Woh Paani Per Chalaatey Thy.

Humain Legta Tha Jesy Hum,

Ussi Kashti Mein Bethy Hain.

Woh Kashti Doob Jati Thi,

To

Hum Bhi Doob Jatey Thy.

Woh Kashti Paar Lagti Thi,

To

Hum Bhi Paar Lagty Thy.

Chalo Guzrey Huye Kal K

Woh Pal phir Dhoond Laatey Hain.

Purani Kaapiyan Ly Kr

Nai Kashti Banaty Hain.

Woh Paani Per Chalaatey Hain.

Chalo Phir Paar Lagtey Hain,

Ya

Phir Doob Jatey Hain..!!



Jinhen Chaha Bohat Hum Ne Magar Apna Nahi Paye.


Jinhen Chaha Bohat Hum Ne Magar Apna
Nahi Paye.
Bohat Ankhon Ne Barish Ki Mujhe Wo Yaad Jab
Aaye.

Bary Daway Thy Hamen Tum Se Juda Ho Kar Bhi
Jee Lain Gay.
Magar Ek Lamha Bhar Ki Hum Judai Seh Nahin
Paye.

Main Jin Ki Rah Takta Hon Na Jany Kitne Arsay
Se.
Koi Un Se Zara Pochae Wo Milne Kyun Nahi
Aaye.

Na Janey Kab Se Apne Ap Ko Ham Tu Badal
Bethay.
Ye Qismat K Sitaare Kiyun Badalne Ko Nahi
Aaye.

Aay Qasid! Tum Kaho Un Se Wo Larna Chor
Dain Ham Se.
Wo Jab Se Rooth Bethay Tab Se Ham Bhi So Nahi
Paye.

Khudaya Shukar Hai Tera K Yadon Par Nahi
Pehra.
Agar Yadon Pe Pehra Ho tu Phir Aashiq Kahan
Jaye.

Jo Kehte Hain Mohabbat Kuch Nahi Hoti
Zamanay Me.
Wo Khud Bhi Tu Mohabbat K Bina Kiyun Reh Nahi
Paye.

Saturday, June 28, 2014

;*;Hamari Zindagi Main Moujood Har Shaks





;*;Hamari Zindagi Main Moujood Har Shaks

Hamrey Mustaqbil Ka Hissa Nahin;*;


;*;

';*;'

*


;*;Baaz Log Humen Sirf Sabaq Sikhane K Liyea Bheje Gaye Hain ___!




Friday, June 27, 2014

MERA JI CHAHTA HAI TUJHE AIK KHAT LIKHOON.


MERA JI CHAHTA HAI TUJHE AIK KHAT LIKHOON....*....*....*....ITNA TAVEEL KE KABHI KHATAM NA HO....*....*....*....HIKAYATEN HON ES MEIN SHIKAYATEN BAHUT SI....*....*....*....TUJHE BATAON KE TERE BAAD MEIN NE HAR DIL MAIN....*....*....*....RIFAQATEN DHOONDEIN INAYATEN DHOONDEIN....*....*....*....KEH TERE BAAD DUNIYA SE HAR RANG MIT GAYA....*....*....*....SAATH MIT GAYA SUNG MIT GAYA....*....*....*....MERA JI CHAHTA HAI KE TUJHE AIK KHAT LIKHON....*....*....*....KE TUJHSE POCHON KEH MUJH SE BICHAR KAR....*....*....*....TUJH PAR KYA GUZRI....*....*....*....AISE HI EK DUNIYA GUZRI....*....*....*....YA PHIR ES SE BHI SIWA GUZRI.....KITNI BAAR TERE DIL SE MERi YAADON KI SADAA GUZRI ...__!

Jee Chahta Hai Tere NaaM Ek Kitaab Likhun,


Jee Chahta Hai Tere NaaM Ek Kitaab Likhun,
Is Kitaab Ka Tere NaaM Intisab Likhun,
Tujhe SharMinda Karne Ke Liye Main Is Mein, 
Tera Aur Mera Be-Baak Hisaab Likhun,
Main Soch Soch Kar Pagal Sa Ho Gaya Hoon, 
Jhele Hai Jo Tere GaM Maine,
Kaise Wo Azaab Likhun,
Degi Meri Zindagi Ko Andhere Wohi,
Khwahish Thi Jise Main Aftaab Likhun,
Jo Diye Hai Tune Kaanto Ke Bistar Mujhe,
Bahut Mushkil Hai Kaanto Ko Gulaab Likhun
, Mujhse MunafaQat Na Ho Sakegi Dilki Baat Mein,
Dukhon Ke SaMundar Ko Main Kaise Sarab Likhun,
Ajab Qarb Mein Mubtila Kar Diya Tune Mujhe,
SaMajh Nahi Aata Tere Khat Ka Kya Jawab Likhun,
Lafz To Sab Hi Mita Diye Hai Mere Aansuon Ne,
Apni Kahani Ab Main Kaise Teh-E-Aab Likhun, 
Ek Ek Lafz Yaad Hai Mujhe Teri Guftugu Ka,
Khwahish Hai Teri Har Baat Ko Khitab Likhun, 
Jiski Tabeer Bhi Na Mil Saki Mujhko Aye Jaana,
Main Apni Kitab Mein Kaise Wo Khwaab Likhun,
Laakhon Chehron Se Haseen Banaya Tujhe Khudane Magar, 
Jo Mera Nahi Us Chehre Ko Kaise Mahtaab Likhun,
Yak Tarfa Faisla Sunaya Adalat-E-UzMa Ne,
Main Is Jajj Ko Kaise Izzat-E-Mab Likhun,
Har Baat To Dil Ki Keh Dali Hai, Isse Zyada Aur Kya Main Janab Likhun -

Thursday, June 26, 2014

Tum Ko Fursat Ho Meri Jaan To Idhar Dekh To Lo


Tum Ko Fursat Ho Meri Jaan To Idhar Dekh To Lo
Chaar Aankhen Na Karo Ek Nazar Dekh To Lo

Baat Karne Ke Liye Kon Tumhen Kehta Hai
Na Karo Hum Se Koi Baat Magar Dekh To Lo

Apne Bimaar-e-Muhabat Ki Tasalli Ke Liye
Haal-e-Dil Pooch To Lo Zakhm-e-Jigar Dekh To Lo

Dil-e-Barbaad Ko Aabaad Karo Ya Na Karo
Kam Se Kam Tum Mera Ujhra Hua Ghar Dekh To Lo

Na, Na, Na........!! Tum Ishq Na Karna..."


Na, Na, Na........!!
Tum Ishq Na Karna..."
_*
""
_*
Marna Hy Na.....??
"To Zehar Behtar Hy....!;

Qadmon Me Kainat Bhi Rakh Di Gai Magar,,,


Qadmon Me Kainat Bhi Rakh Di Gai
Magar,,,
Hum Ne Tumhari Yaad Ka Soda Nahi
Kiya..!!

Wednesday, June 25, 2014

Yeh Kashmakash Alag Hai k Kisi Kashmakash Main Hoon


Yeh Kashmakash Alag Hai k Kisi Kashmakash Main Hoon
"
;
"
Aataa Nahin Samjh Bohat Sochti Hoon Main ___ 


Bharosa Cheez Hai Aisi Juda Hony Nahi Dega.


Bharosa Cheez Hai Aisi Juda Hony Nahi Dega.
Muqadas Pyar Hy Apna Khata Hony Nahin
Dega.

Bhatak Jaen Gey Rahon Me
Bichar Jaen Ge Hum Dono.
Na Ghabrao Kabhi Aisa Khuda Hony Nahin
Dega.

Zamany Me Jo Teri Soch k
Bilkul Mukhalif Ho.
Ye Dil Aisa Koi Bhi
Faisla Hony Nahin Dega.

Qasm Teri Jala Donga Main Us Ko Apni Aahoon
Se.
Agar Ye Shehar Apna Rabta Hony Nahin Dega.

Youn Hi Apni Mohabat Ye
Agar Parwaan Charhti Hy.
Tu Ye Phir Waqt Bhi Hum ko Juda Hony Nahin
Dega.

Thursday, June 19, 2014

To Jo Waadon Pe Dat Gaya Hota.


To Jo Waadon Pe Dat Gaya Hota.
Kon Kafir Tha Hat Gaya Hota.

Tere Seene Me Dil Nahin Shayed.
Warna Ab Tak To Phat Gaya Hota.

Tera Mera Milan Jo Ho Jata.
Kya Zamane Ka Ghat Gaya Hota.

Aur Kuch Waqt Sath Reh Lete.
Aur Kuch Waqt Kat Gaya Hota.

Hum Jo Tujh se Lipat Kar Ro Lete.
Gham Ka Baadal Tu Jhat Gaya Hota.

Tujh Ko Manzil Samajhne Se Pehle Kaaash.
"Inshaa"Palat Gaya Hota.

Wednesday, June 18, 2014

Khuwaab Har Jaye To Ankhon Main


Khuwaab Har Jaye To Ankhon Main

Dheere Dheere Thakan Utarne Lagti Hai ___!

Main hosh mein tha tou phir Uss pe mar gaya kaise


Main hosh mein tha tou phir Uss pe mar gaya kaise
Yeh zehar mere lahoo mein utter gaya kaise

Kuch Uss k dil mein lagawat zaroor thi warna
Woh mera haath daba ker guzar gaya kaise

Zaroor Uss ki tawajo ki rehbari ho gi
Nashe mein tha tou main apne hi ghar gaya kaise

Jise bhulaye kayi saal ho gaye Kamil
Main aaj Uss ki Gali se guzar gaya kaise

Tuesday, June 17, 2014

Paseene BaantTa Phirta Hai Har Taraf Sooraj..


Paseene BaantTa Phirta Hai Har Taraf Sooraj..

Kabhi Jo Haath Laga, Toh Nichod Dunga Usey ...!

Yeh Jis K Qehqeh Tum Sun Rahai Ho


Yeh Jis K Qehqeh Tum Sun Rahai Ho

Kisi Sadme Se Pagal Ho Gya Hai ___!

Teri Ibtida Koi Aur Hai Teri Intiha Koi Aur hai


Teri Ibtida Koi Aur Hai Teri Intiha Koi Aur hai
!
Teri baat humse houi To Kia Tera MUDA koi aur hai
!
Humy Shouk Tha Bari Dair se k Tere Sharek-e-Safer Bany
!
Tere Saath Chal k Khabar Howi K Tera Rassta Koi Aur Hai
!
Tujhe Fiker Hai k Badal Dia Mujhe Gardish-E-Shab-o-Roz nay
!
Kabhi Khud Se bhi To Sawal Ker Tu Wohi hai Ya Koi aur hai ___!

Chadh jaaye to phir utarta hi nahin


Chadh jaaye to phir utarta hi nahin
;
;
Ishq bhi ghareeb k karzz jesa hai

Meaning isn't something out there

Meaning isn't something out there waiting for you to discover. The meaning of your life is what you infuse it with - beauty or ugliness, happiness or sadness. It is totally your choice.






Tujh Main Chupe Hain Meri Zindagi K
Hazaaron Raaz....!!
Tujhe Waasta Hai zindagi Ka Zara Khud Ka
Khayal Rakhna....!!

Monday, June 16, 2014

Tum ik paras pathar ho


Tum ik paras pathar ho
jisko choo lo
sona kardo
sone jaia sundar kardo
main awara main nakara
main bekaar
kash qalam hoti hathon mein
ya hoti talwaar
ya phir hath hunar aa lagta
main hota fankaar
ik ehsaan karo na mujh par
apne honth dharo na mujh par
ae meharmaan, ae paras pathar
main bekal hun, main peetal hun
choo kar mujhko sona kerdo
sone jaisa sundar kardo. 

Insaan Yeh samjh K Jhoot Bolta Hai





Insaan Yeh samjh K Jhoot Bolta Hai K Kabhi Pakra Nahin Jaye Ga ..... Aur Yeh Yaqeen rakh K Dhoka Dyta Hai K Agla Bewaqoof Kabhi Iski Makkari aur Aaiiyari Ko Jaan Nahin Paye Ga ..... Magar Khuda ka Qanoon Bara Mukhtalif Hai .... 

Insaan Ko Wahan Aakar Thokar Lagti Hai .... Jahan Usey Paar Pohanch Janey Ka Sab Se Ziada Yaqeen Hota hai ____!




Is Qadar Raat Gaye Kon MuLaqaati Hai


Is Qadar Raat Gaye Kon MuLaqaati Hai 

Aisa Lagta Hai Koi Yaad ChaLi Aati Hai 

Main Ne Chaha Na Kaha Aur Na Khuwahish Ki Kabi 

Tere Kooche Me Teri Aab_o_Hawa Laati Hai 

Ye Sitaare To Yunhi Sath ChLe Aaye Hn 

Werna Ye Chaand AkeLa Mera 
Baraati Hai 

Main To Dushman K 
Bichherne Pe 
Bhi Roya Hon   Boh0t 

Tu To Phir Yaar Hai Aur Yaar Bhi Jazbaati Hai 

Kis Qdar Ghao Hn M'aLoom Nahi Hai K Abi 

Jism Se Rooh Ka Rishta To Muzafati Hai 

Haye! Kya LoG Thay PamaaL Hue Mre Liye 

Aur Kehne Ko Mra Sara Sfar Zaati Hai 

Safa_E_Dehr Pe Fitrat Ne Likha Hai Mra Naam 

Tm SmaJhte Ho K Ye Faisla Lamhati Hai ...' 

Hum ny charcha bohat suna tha us ki sakhawat ka....


Hum ny charcha bohat suna tha us ki sakhawat ka.... 

Ye kab maloom tha k wo Gham b dil khol k deta ha...' 
          

Yoon tassawur mein barasti hain purani yadein,


Yoon tassawur mein barasti hain purani yadein,

Jaise barsaat mein rim jhimm ka samaan hota hai..

Saturday, June 14, 2014

Tu katib-e-taqdir se takrar to karta


Tu katib-e-taqdir se takrar to karta 

shayad wo tere hath pe likh deta mera naam.' 
          

'Agrcha Tujh Se Bohat Ekhtilaaf Bhi Na Houa,


'Agrcha Tujh Se Bohat Ekhtilaaf Bhi Na Houa, 
Mgr Yeh Dil Teri Janib Se Saaf Bhi Na Houa 


Taluqaat Ke Barzakh Mein He Rakha Mujh Ko, 
Wo Mery Haq Mein Na Tha Aur Khalaaf Bhi Na Houa 


Ajab Tha Jurm-E-Mohbt K Jis Pe Dil Ny Mery, 
Saza Bhi Paie Nhi Aur Mauf Bhi Na Houa 


Ma'lamaton Mein Kahan Sans Ly Skian Gay Wo Loag, 
K Jin Se Ku-E-Jafa Ka Ta'waaf Bhi Na Houa 


Hawa-E-Daher! Hume Kis Liye Bhujati Hai, 
Hume Tou Tujh Se Kabi Ekhtilaaf Bhi Na Houa...!' 

'Meri Tishnagi ka khayal kr .


'Meri Tishnagi ka khayal kr . 
Main udas hon Mjhe dekh ja! 

Meri Be-Basi ka Malal kr, 
Main Udas hon Mujhe dekh ja! 

Main Tere khayal k Dasht mein 
Sabhi Raston se Guzar gya 

Tu Mere Ghum ka khyal kr 
Main udas hon Muhje dekh ja 

Ye Tere Sitam 
ye Tere karam 
Mujhe aur 
zouq-e-janon de 

Mera Chalna yoon na Muhal kr 
Main Udas hoon mujhe dekh ja 

Mera Zard Chehra hai kis liye, 
ye Makan ujra hai  kis liye 

Na Tu mujh se Aisa sawal kr 
Main Udas hon mujy dekh ja..' 

'Gham-e-Dunya K Smundar Mein Kinara Dhondun,


'Gham-e-Dunya K Smundar Mein Kinara Dhondun, 

Aandhi Kis Simt Chalay Gi Yeh Ishara Dhondun, 

Kurb Tanhai Ka Rag Rag Mein Utar Aya Hai, 

Ik Faqat Teri Mohabat Ka Sahara Dhondun, 

Jab Teri Yad Mein Ankhon Say Rawan Hon Aansu, 

Khushk Karny Ko Main Daaman B Tumhara Dhondun, 

Wasl B Aag Hai Or Hijar Bi Jalta Darya, 

Thandy Chashmon Ka Sanam Kesy Nazara Dhondun, 

Jab Kisi Gham Mein Koi Tut K Roye, 

Main Tumhen Yad Karon Dar Bi Tumhara Dhondun...' 
          

Door Mujh Se Reh Kar Ji Paye Ga Kab Tak....,


Door Mujh Se Reh Kar Ji Paye Ga Kab Tak...., 

Be-Chain Kar K Chain Paye Ga Kab Tak...., 

Seekh Lia Hai Tanhaiyon Mein Rehna...., 

Tanha Kar K Mehfel Banaye Ga Kab Tak...., 

Tha Bewafa Magar Deta Tha Wafa Ka Daras...., 

Dil Se Meri Yaad Mitaye Ga Kab Tak...., 

Chaha Hai Kisi Ko Na Chahein Gay Tere Bin...., 

Ye Aadat Hai Apni Tu Door Jaye Ga Kab Tak...., 

Tarap Raha Hai Teri Yaadon Mein.

Aatish-E-Ishq Mein Hum Ko Jalaye Ga Kab Tak,' 
          

Mere Jazbon Ki Sadaqat Pe Na Koi Harf Aye


Rang Nikhre Tu Sabhi Gul Bi Thay Kush Posh
Rahe
Mehki Fazaon Mai Yun Hawaon Ke Ham Dosh
Rahe

Lamhe Thy Qaid Tere Lehje Ki Khanak Ko Sun
Kar
Ham Bi Thy Mast Aur Sarapa Hama Tan Gosh
Rhe

Kuch Halat Bi Mawafaq Thy K Jazbe Thy Jawan
Ham Bi Azhar Ke In Lamhon Mai Thy Pur Josh
Rahe

Alfaz Ruk Jayen Jo Agar Aankhon Ko Sukhun
War Dekhin
Soch Par Pehre Lage Aur Ham Bi Thay Khamosh
Rahe

Mere Jazbon Ki Sadaqat Pe Na Koi Harf Aye
Dil Ke Jor Raaz The Wo Seene Mai Hi Roposh
RaHe

Friday, June 13, 2014

Yeh Jo Zindagi Hai Na





Yeh Jo Zindagi Hai Na 

Iski Misaal Samander Ki Tarah Hai .....Hum Insaano Ko Khud Ko Zinda Rakhne K liyea .... Khud Ko Doobne Se Bachane K Liyea Hath Pair Hialana Hi Partay Hain ..... 

Jo Thak Gya Woh Doob Gya ___!




Tu Kahan Tha...


Jab Gam Meri Dhadkan Meri Baaton Se Bayan Tha, 
Tu Kahan Tha...


Jab Chaaron Taraf Dard Ke Dariya Ka Samaan Tha, 
Tu Kahan Tha...


Ab Aaya Hai Jab Dhal Gaye Hai Sabhi Mausam Mere Humdam, 
Jab Tere Liye Mera Ehsaas Jawaan Tha, 
Tu Kahan Tha...


Ab Aaya Hai Jab Kaam Dikha Gaya Saawan Mere Saajan,
Jab Chaar Soo Mere Liye Khushiyon Ka Samaan Tha,
Tu Kahan Tha...

Thursday, June 12, 2014

aa ki merii jaan me.n qaraar nahii.n hai


aa ki merii jaan me.n qaraar nahii.n hai
taaqat-e-bedaad-e-intazaar nahii.n hai



dete hai.n jannat hayaat-e-dahar ke badale
nashshaa baa_andaazaa-e-Khumaar nahii.n hai




giriyaa nikaale hai terii bazm se mujh ko
haaye! ki rone pe iKhtiyaar nahii.n hai



ham se abas hai gumaan-e-ranjish-e-Khaatir
Khaak me.n ushshaq kii Gubaar nahii.n hai



dil se uThaa lutf-e-jalvaa haaye ma_anii
Gair-e-gul aa_iinaa-e-bahaar nahii.n hai



qatl kaa mere kiyaa hai ahad to baare
vaaye! agar ahad ustavaar nahii.n hai


tuu ne qasam mai_kashii kii khaa_ii hai 'Ghalib'
terii qasam ka kuchh aitabaar nahii.n hai

Chaand meri khirki se dastak deta hai !


Raat abhi tanhai ki pehli dehleez pe hai
aur meri janib
Apne haath barhati hai..
Soch rahi hon
inko thaamun
Zena zena sannaton ke teh khaanon mein utroon
Ya apne kamre mein hi thehrun
Chaand meri khirki se dastak deta hai !

'Kisi B Mor Ya Aglay Paraao Par..


'Kisi B Mor Ya Aglay Paraao Par.. 
Juda Hi Hum ko Hona Hai To Aao Phir.. 
Yaheen Apnay Asaason Ko Alag kar lein.. 

Ye Jitnay Zakhm Dil Par Hain.. 

Idhar Meri Taraf kar Do.. 

K Tum Aksar Ye 
kehtay Thay.. 

Ye Sab Meri Badolat Hain.. 

Magr Thehro... 


Zara Thehro... 

Yahan kuch khuwaab B Hongay.. 

Jo Mil K Hum Nay Dekhay Thhay.. 
Suhaana khuwab Tum Rakh Lo.. 

Udhoray Sab Mujhe Day Do.. 
K Meri Yun B Aadat Ha.. 
Mujhe Tooti Hui Cheezon Sa.. 

Ik Be'naam Ulfat Hai..!!' 

')