Welcome to my blog!

Meet the Author

Blessed with the best _ Alhumdulillah!a million times for every blessing in my life.

Looking for something?

Subscribe to this blog!

Receive the latest posts by email. Just enter your email below if you want to subscribe!

Pages

Wednesday, August 14, 2013

Ek meri hi toh hasti bachi thi mere pass,





Ek meri hi toh hasti bachi thi mere pass,tere aane se ab uska bhi nisha na raha mere pass,band mutthi mein jo ret sambhali thi,kholi toh dekha ki khali haatto mein bas kuch dhundhli si lakeere hi reh gyi thi.

Wo lakeere jo kabhi thi meri sasnso ki umeed,umeed jo mujhe khud se jodti thi,ab unn dhundhli se lakeeero mein wo bhi beh gyi hai ashqo k saath mere,or kar gyi hai wo mujhe ab khud se hi azaad yahn.

Ye azaadi ab jo hai mere hone ki ek nayi wajah,ha tu mil k bhi mujhe na mila toh na sahi,ab mere aashiyane mein un yaado ka aaksh nhi hai,jo mujhe tere hone ki yaad delati thi.

Yaadein jo kabhi beete hue lamho mein thi haseen,haseen sa safar tha tere mera kabhi

ha nhi hai ab wo karwa yahn,

hai lekin pass mere kuch pal naye ,jiyu jinhe mein aj bas khud k liye.

Aj iss khud mein maine paaya hai uss rab ko,ha ab bas ek wo hi toh hai mera yahn,

tune toh kabka mujhe tanha kar diya tha viraane mein,

ab meri saanse fana hai bs uss rab ki ibaadat mein.




No comments:

Post a Comment

')