Welcome to my blog!

Meet the Author

Blessed with the best _ Alhumdulillah!a million times for every blessing in my life.

Looking for something?

Subscribe to this blog!

Receive the latest posts by email. Just enter your email below if you want to subscribe!

Pages

Wednesday, September 25, 2013

Bahut Yaad Aati Hain, Bachpan Ki Baatein…….


Bahut Yaad Aati Hain, Bachpan Ki Baatein…….
Wo Thode Chote Se Din, Wo Lambi Si Raatein……

Wo Papa Ki Ungli, Wo Mummy Ki Aankhen……
Wo Dada Ka Gussa, Wo Nani Ki Saansein…..

Wo Teacher Se Masti, Wo Imli Ki Chatni…..
Wo Ice-Cream Ka Thela, Wo Mahfil Si Jamni….

Wo Board Par Teacher Ki Picture Banana……..
Wo Absent Hone Ka, Ekdam Naya Bahana……..

Wo Exam Ka Fever, Aur Na Notes Ka Hona …….
Wo Teacher Ke Aagey, Badi Jor-Jor Se Rona…….

Sabse Achcha Khilona, Wo Bachpan Ki Yaadein……
Kyun Yaad Aati Hain, Wo Bachapan Ki Baatein…….

Mohalle Ki Sabse Nishaani Purani
Wo Budhiya Jise Bachche Kehte The Naani
Wo Naani Kee Baaton Mein Pariyon Ka Dera
Wo Chehre Ke Jhuriyon Mein Sadiyon Ka Phera
Bhulaaye Nahin Bhool Saqta Hai Koi

Wo Choti Si Raaten Wo Lambi Kahaani
Kadi Dhoop Mein Apne Ghar Se Nikalna
Wo Chidiya Wo Bulbul Wo Thithli Pakadna…..
Kabhi Ret Ke Oonche Tilon Pe Jaana
Gharonde Banana, Banaake Mitaana
Wo Maasoom Chaahat Ki Tasveer Apni
Wo Khwabon Khilono Ki Taabir Jaageer Apni
Na Duniya Ka Gham Tha Na Rishton Ke Bandhan

woh saathi sey ladhna ya ho jhagadna
ek pal mein hi phir us se lipatna
na dil mein khalish thi,na koi aham tha
sang phir uskey roti ka khana
kahan ab woh din hain kahan hain woh raatein
mujhey yaad aati hai bachpan ki baatein
chooti baaton pe rote the ji bhar
nanhi si khushi se hanste the din bhar
nanhi si khushi se sub gam bhol jaana..
mujhe yaad aati hain bachpan ki yaadein..


Aur Ab.......

na khushiyan hain ab, na hain woh ratein
na mitti hai woh ab na lori ki chahat
na saathi sey mohobat na koi aahat

Badi Khoobsoorat Thi Wo Zindgaani ..........
mujhe yaad aati hai bachpan ki baatein
mujhe yaad aati hain bachpan ki yaadein............

5 comments:

  1. Hello colleagues, how is the whole thing, and what you would like to say concerning this paragraph,
    in my view its actually amazing in favor of
    me.

    Feel free to visit my webpage: paid surveys (paidsurveysb.tripod.com)

    ReplyDelete
  2. nice poem n really as it is written is all Expptessive

    ReplyDelete

')