Maayaar girta na doston ka, Na hum bhi dushman ki daal hote
Zaeef dushman pe waar krty, to waqt k hum bhi dajaal hote
Nahin tha apna mizaaj aisa, k zarf kho kar anaa bachatay
Warna aise jawab dayty, k phr na paida sawal hoty
Hamari fitrat ko janta hai, tabhi to dushman ye keh raha hai
Hai dushmani main bhi zarf aisa, Jo dost hoty kamal hoty
Jo aa k tum haal puch layty, to itna lambi na umer lagti
K wisal ki aik ghari main sare, guzar mah e saal hoty
Usy mubarak muqaam uncha, sahi haqeeqat humen pata hai
Banatay rishton ki hum bhi seerhi, to asmaan ki misal hoty.
No comments:
Post a Comment