Welcome to my blog!

Meet the Author

Blessed with the best _ Alhumdulillah!a million times for every blessing in my life.

Looking for something?

Subscribe to this blog!

Receive the latest posts by email. Just enter your email below if you want to subscribe!

Pages

Saturday, November 29, 2014

Waqt Munsif hai


tumhain Khaber hai kaha tha tum ne,
main lfaz sochoN, main lafz bolooN, main lafz likhooN
main lafz likhny pe zindagi k aziz lamhooN ko nazr kardooN
main lafz likhooN
aur un ko aankhon main munjamid ratjagooN ko apnay laho ki tazah Hararatain de k
jagmaga dooN
to main baDa hoN
tumhain khabr hai
me'ri ragooN main baDay qabeelay k shahzaday ka Khoon zindah ravaN dawaN ha
jissay mohabbat k dushmanooN, be-zameer logoN ne
piyar karnay k jurm main qatl kar diya tha
yehi nahin bal k khud ko munsif bana liya tha
kisi ne bhi khooN baha na manga
k shehr e mehnat ki sab buzurgooN ne darguzar ka sabaq diya tha
magr wo main tha k lafz likhay

tumahain khabr hai
k meri boDhi azeem maaN ne jawan betooN ko hadsooN k
supurd kar k duaaiN maangi
khuda e ber tr...me're lahu ko amar bana de
duaaiN maangi to us k chehry pe guzry mousam k saray dukh
silwatooN ki sorat ubhar gaye hain
magr wo maflooj ho gai hai
yaqeen janooN k main ne aisay azaab lamhooN main lafz likhay
tumhain khabar hai
baDi haveli k rehnay walay tamam logoN ko choR kr main ne lafz likhay
tumhain khabar hai
main lehlahatay haseen khaitooN ko choR kr shehr ki be-amaaN
FaseeloN main aagaya hoN
aur apnay saye ki khoj main hoN
kahin milay to main lafz likhooN
nahin milay to main lafz likhooN
tumhain khabar hai kaha tha tum ne
k waqt munsif hai
aur wo faisla karay ga.

No comments:

Post a Comment

')