Welcome to my blog!

Meet the Author

Blessed with the best _ Alhumdulillah!a million times for every blessing in my life.

Looking for something?

Subscribe to this blog!

Receive the latest posts by email. Just enter your email below if you want to subscribe!

Pages

Saturday, November 22, 2014

Woh Kitaab-e-husn..


Woh Kitaab-e-husn..
Woh ilm-o-adab Ki talaba..

Woh Muhazab..
Woh moadab..
Woh Muqadas Rahiba..
Kis qadar pairiya parwar aur kitni Sada kaar..

Kis qadar sanjeda-o-Khamosh..
Kitni bawaqar
Gaissu-e-purkham..

Sawad-e-dosh tak pohnchay huey..
aur kuch bikhray huey..
Uljhay huey simtay huey..

Rung me us k azaab-e-khairgi shamil nahi..
Kaif-e-ehsasaat ki afsurdagi shamil nahi

Woh mery aatay hi us ki nukta parvar Khamoshi..
Jeisay koi hoor ban jaye yakayak..

Mujh py kiya,
Khud apni fitrat par bhi woh khulti nahi
Aisi pur israar Larki MeiNe dekhi hi nahi

Dukhtraan-e-shehar ki hoti hai jab mehfil kahein
Woh Taaruf K liye aagay kabhi barhti nahi..


No comments:

Post a Comment

')