EIK MEHERBAAN HAI MERA!
Bekhwaab taareek raaton ki tanhai mein
Dard jab hadd se guzar jaata hai
Roshni dur tak nazar aati nahin
Umeed koi bhee bar aati nahin
Eik meherbaan hai mera
Jis ke narm seene mein chupa ke mein chehra apna
Bahaa leti hoon chund aansoo
Aur keh deti hun saare apne dukh such
Par wo ajab dost mera
Karta nahin mujh se koi bhee sawaal
Kehta nahin wo kuch bhee mujh se
Bas baree khamoshi se
Sunta rehta hai mere shikwe saare
Aur apni narm si aaghosh mein
Bohat pyar baree narmee se
Jazb kar leta hai mere saare aansoo
Baant leta hai wo sab bojh
Jo hain dil pe mere
Mera takya jo mera ghumkhwaar bhee hai!
Mera takya jo mera humraaz bhee hai!!
Wһaаt i don't realize is if truth be told
ReplyDeletehoᴡ you are no longer actually mᥙch more smartly-favorеd than you might be
now. You're so intellіgent. You understand tһerefore consiԁerably in relation tto
ths topic, made me in my view considеr it from numerous
numеrouss angles. Its like women and men don't seem
to be involved unil it's one thing to accߋmplish with Girl gaga!
Your individual stuffs excellent. At all times care for
it up!