Seep khaali humara muqaddar banei
Aur moti na jaane kahan kho gaye!
Jaagti ankhon se dekhaa tha jin ko kabhee
Wo saare sapne na jaane kahan kho gaye!
Mein wo tasweer hun rang jis mein nahin
Rang dhanak ke na jaane kahan kho gaye!
Itni be-kaif thee daastaan- hayyat
Sunne waale na jaane kahan kho gaye!
Pohonch jaayeinge eik din humein zoum tha
Ruste manzil ke na jaane kahan kho gaye!
No comments:
Post a Comment