Kahkashan Khan Blog This page is dedicated to all the art, poetry, literature, music, nature, solitude and book lovers. Do what makes your soul happy. Love and Peace. - D
Tuesday, February 26, 2013
Monday, February 25, 2013
Usay kehna !
Usay kehna !
December ja raha hai
Aur december ki akhri sham hai
Aur december k guzartay hi
Baras ik aur mazi ki fiza main doob jaye ga
Usay kehna!
December k guzarnay say zara phailay
Mohabbat ki kahani ko koi takmeel day jana
Usay kehna!
December ka maheena jaisay hi guzray ga
Umeedyen doob jayen gi
Woh sapnay toot jayen gay
Usay kehna!
December k guzarnay say zara phailay
Mohabbat ko koi tabeer day jay
Usay kehna!
Muqadar ko hamaray dob janay say bacha layna!
Sunday, February 24, 2013
Ager tum kamyabi chahtay ho....!
Ager tum dill griftah ho
k tum har jao gay
to phir tum har jao gay
ager khatir shikastah ho
k tum kuch kar nahin saktay
yaqeenan kar nahin pao gay
yaqeen say aari ho kar
manzilon ki simt chalnay say
kabhi manzil nahin milti
kabhi kankar k jitnay hoslay walon
say bhari sill nahin hilti
zamanya main hamesha kamyabi
un k hissay main aati hai
jo awal din say apnay sath
ik azam musmam lay kar chaltay hain
k jin k dill main azam o hosla ik sath paltay hain
ager tum chahtay ho kamyab o kamran hona
to bus rakhta e safar main
tum yaqqen o azam ki mash
al jala rakhna
safar dushwar tar ho
tab bhi himmat , hoslah rakhna
safar e aghaz jab karna
to bas itna samjh layna
jahan main kamyabi ki yaqeen walon say yaari hai
ager tum bhi yaqeen rakho
to phir manzil tumhari hai__________With kahkashan khan
http://kahkashankhan1990.blogspot.com/
Saturday, February 23, 2013
Friday, February 22, 2013
Mujhay Tanha Nahin Krana.......
Mujhay tum say yeh kehna hai!
mujhay parchayon, tanhaiyon say khouf aata hai..
mujhay tanha nahin karna
mujhay tum ko batana hai!
meri sochon k jangal main
tumharay naam k jugnoo rasta dikhatay hain
inhai bhujnay nahin dayna
meri neendon k shra main
tumharay khwuab ka saaya bohat ziada zaroori hai
isay ghatnay nahin dayna
yeh to tum bhhi jantay ho na!
mere lafzon ki maalayen
meri sari taman'nayen
tumharay bin adhor hain
meri har soch k angan main tum hi jagmagati ho
mere be rabt jumlon ko tumhi misray banati ho
meri sab shairi janaa!
tumharay bin adhori hai
meri har ik khushi janaa!
tumhary bin adhori hai
mri ye zindagi jana!
tumharay bin adhori hai
meri takmeel tum say hai
mujhay aadha nahin karna
mujhay adhi adhuri zindagi say khouf aata hai
kami jaisi bhi ho mujhko kami say khouf ata hai
mujhay tum say yeh kehna hai!
kabhi aisa nahin karna
mujhay tanha nahin karna
meri takmeel tum say hai
mukammal tum hi kardo na!
mere jevan ki tanhai main apna ran bhar do na!
mujhay tum say yeh kehna hai!
mujhay parchaiyon , tanhaiyon say khouf ata hai
haqeeqat ashna mere!
kabhi aisa nahin karna
main tum bin ji nahin sakta
mujhay tanha nahin karna...
Neened Naraz Rahi........................
Mainay ik pal ko tera naam lia tha shaed
neend naraz rahi raat meri ankhon say
Kwuab zaron ka tasawur bhi hua khuab numa
Dill ki hartal hui dard ki ahat jaisay
Soch main khilnay lagay phool kai mazi kay
Titliun jaisay kai lafz mujhay yaad aaye
Teri awaz ki khushboo, tere lahjay ki khatak
Teri ankhon ki shararat, tere honton ki mehaik
Tere bolay huai jumlon ki woh khamosh kasak
Dair tak raat rahi phir teri yadon ki dhunk
Kitnay aansoo mere lafzon main dhalay yaad nahin
Kab talak yaad k yeh deep jalay yaad nahin
Mainay ik pal ko tera naam lia tha shaed
Neend naraz rahi raat meri ankhon say..........
____With Kahkashan Khan
Subscribe to:
Posts (Atom)