Kahkashan Khan Blog This page is dedicated to all the art, poetry, literature, music, nature, solitude and book lovers. Do what makes your soul happy. Love and Peace. - D
Saturday, August 30, 2014
Friday, August 29, 2014
Meri baat aur hai mai ne to mohabbat ki hai
Tum mujhe bhool bhi jao to ye haq hai tumko
Meri baat aur hai mai ne to mohabbat ki hai
Tum agar aankh churao to ye haq hai tumko
Meri baat aur hai mai ne to mohabbat ki hai
Mere dil ki mere jazbaat ki qeemat kia hai
Uljhe uljhe se khayalat ki qeemat kia hai
Mai ne kyun pyar kiya,tum ne kyun na pyar kiya
Inn pareshan sawalaat ki qeemat kia hai
Tum jo ye bhi na batao to ye haq hai tumko
Meri baat aur hai mai ne to mohabbat ki hai
Tumko dunia k gham-o-dard se fursat na sahi
Sab se ulfat hai ,mujh se hi mohabbat na sahi
Main tumhara hon wohi mere liye kya kam hai
Tum mere ho k raho ye meri qismat na sahi
Aur mere dil ko jalao to ye haq hai tumko
Meri baat aur hai mai ne to mohabbat ki hai
Monday, August 25, 2014
آج کے زمانے کا سبق.
.... اگر کوئ ہمیں اچها لگتا ہے تو اچها وہ نہیں....ہم ہیں...اور اگر کوئ ہمیں برا لگتا ہے.... تو برا وہ ہی ہے.....کیونکہ ہم تو اچهے ہیں ناں... زندگی سے کوئ چیز مانگو تو ایسے مانگو جیسے تمہارے باپ کی تهی.....اور اگر نہ ملی تو کونسا تمہارے باپ کی تهی... اگر کوئ آپ کو دیکه کر دروازہ بند کر دیتا ہے.... تو یاد رکهو....کنڈی دونوں طرف سے ہوتی ہے.....آپ باهرسے بند کر کے بهاگ جاؤ
Saturday, August 23, 2014
Wednesday, August 20, 2014
Abi urooj pr hai tmhara mosam.
Abi urooj pr hai tmhara mosam.
Khizan mein tm ko khareed lein gy.
Bano ge hmse reham k talib.
na tum ko mohlt mazed dein ge.
Ada k qisay huwy purane.
Wafa ke mosam khatm hi smjho.
Karein ge tm sy hisab jana.
Na tmko moqa mazed dein ge.
Faraib-0-masti k badle tm ko.
Saza b sun lo shadeed dein ge.
Abi urooj pr h tmhara mosam..
Khizan mein tm ko khareed lein ge..
Kabhi Socha Hai?
Kabhi Socha Hai?
Hamare Rishtey Ka Naam Kya Hai! ? !!
Mohabbat, Zaroorat, Khwahish, Junoon, Ishq!
Yaa…?
Wo Rishta Jo!
Aasman Ka Zameen Se Hai!
Barsih Ka Sehra Se Hai!
Haqeeqat Ka Khwabon Se Hai!
Din Ka Raat Se Hai.
Yeh Bhi Kabhi ik Doosre Se Mil Nahi Sakte!
Lekin ik Doosry Ke Baghair Adhoore Bhi Hain!
Shayad Aisa Hi Kuch Rishta!
Mera Aur Tumhara Bhi Hai.
Abhi barish ki boondon main Tumhara piyar baqi hai ...!!
Use kehna,,,!!!
Abhi tak dil dharakhta hai
Abhi tak saans chaltii hai..
Abhi tak meri ye ankhain Suhanae khawab bunti hain..!!
Mere hontoon ki junbish main Tumhara naam rehta hai.
Abhi barish ki boondon main Tumhara piyar baqi hai ...!!
Use ye bhi bata dena...!!
Abhi izhaar baqi hai ..!!
Abhi yaadon k kanton se Mera daman ulajhta hai.
Tumhara pyar seene main Kahin ab bhi
dharakhta hai..
Usay kehna...!!
Mohab'bat ki kahani main
Judai ka abhi mousam nahi aaya.
Magar sab kuch badalne main ,
Bhala kya dair lagti hai ??
Naya sooraj nikalne main ,
Bhala kya dair lagtii hai ??
Usay kehna!!
Woh jaldii faisla kar le,,
Meri Zindagi uske hawaale hai..!!
Kehne ko us se mera koi waasta nahin
Kehne ko us se mera koi waasta nahin
khuda magar woh shakhs mujhay bhoolta
nahin...!
darti hoon aankh kholoon to manzar badal naa
jaye
main jaag to rahi hoon magar jaagti nahin...!!
berukhi se uski usay bewafa naa jaan
aadat ki baat or hai dil ka bura nahin...!!!
tanha udaas chaand ko samjho naa bekhabar
har baat sun raha hai magar bolta nahin...!!!!
khamosh ratjagoun ka dhuwaan tha chahaar soo
nikla kab aaftaab mujhay to pata nahin...!!!!!
e-khuda !! woh aankhain bahut gehri to hain
magar
par shayad un main koi bhi aks meray naam ka
nahin!!!
Tuesday, August 19, 2014
Monday, August 18, 2014
Saturday, August 16, 2014
Friday, August 15, 2014
Sana-e-RAB-E- JALIL Likhon,
Mehak Me Sary Haroof Dho Kr,
Qalam Ko Ambar Mein Dubo Kr,
Sana-e-RAB-E-
JALIL Likhon,
Taveel Tar Se Taveel Likhon,
KAREEM Likhon,
RAHEEM Likhon,
USI Ko USI Ki Daleel Likhon,
Kahan Nhi Tha, Kahan Nhi Hai,?
Muje Bta WO Jahan Nhi Hai,
Azal Se Hai,
Ta-Abd Rahy ga,
Wo AAP Apni Sanad Rahy ga,
WOHI To Hai
LA-SHARIK-O-
YAKTA,
WO Sb Ka KHALIQ,
WO Sb Ka AAQA,
RAHEEM-o-
REHMAN Siffaat Uski,
Barri Mukrram hai Zaat Uski...!
(Subhan ALLAH)
Wednesday, August 13, 2014
Tuesday, August 12, 2014
HAPPY INDEPENDENCE DAY.
Khuda Karay Ke Meri Arz-e-Pak Per Utray
Wo Fasl-e-Gul Jisay Andesha-e-Zawaal Na Ho
Yahan Jo Phool Khily, Khila Rahay Sadi’on
Yahan Khizaan Ko Guzarnay Ki Bi Majaal Na Ho.
Today we are miles apart
but I wanna reach across the miles
and say i’m thinking of you
in a very special way
HAPPY INDEPENDENCE DAY.
Junoon se aur Ishq se milti hai Azaadi
Junoon se aur Ishq se milti hai Azaadi
Qurbani ki banhon mai milti hai Azaadi
Tanzeem Ittehad Imaan
Quaid ka Farman
Tanzeem , Itehad, Eemaan,
Khaak-e-Pak Meharabaan,
Jaisay Rooh, Jism o Jaan.
Janta Hia Sara Jahan.
Qurbani Ki Bahoon Mein..milta Hai Azadi.
Junoon Sey Aur Ishq Sey Milti Hia Azadi.
Tauheed, Ijtehad, Nezaam...
Momin Ki Pehchaan,
Tauheed, Ijtehad, Meezan...
Jab Sab Imtehaan,
Zahir o Ghaib Ka Neeeshaan...
Sar Zamaan-e-Pakistan...
Junoon Say, Aur Ishq Sey.
Miti Hai..azadi.
Kurbaani Ki Bahoon Mein,
Milti Hai Azadi,
Monday, August 11, 2014
Ae ALLAH..! Mujhy to sirf teri Khushi Chahiye,
Ae ALLAH..!
Mujhy to sirf teri Khushi Chahiye,
Dard Kaisa B Ho Bandagi Chahiye,
Duniya Ki Koi Khwahish Nahi,
Aakhrat Ki Bs Zindagi Chahiye,
Sirf Tere He Aage Haath Phelaon Aesi Mujhe
Bebasi Chahiye,
Tu Ho Jaye Raazi Sanwar Jaun Main,
Mere Malik Teri raza ki Aagahi Chahiye,
Main Jhukun aur Bus Jhuka He Rahun,
IBbadat Me Bus aisi Aajizi Chahiye,
Main Bhatak Jaun agr Tu Sahara Mujhy de Aesi
Mujhe Teri Rehbari Chahiye.
Apne Habeeb Huzoor SALLALLAHU ALAHI
WASALLAM ke Sadqe Se Hamare Duaie Qabool
Ata Farma AMEEN.
Friday, August 8, 2014
Mujhe Acha Sa Lagta Hai
Mujhe Acha Sa Lagta Hai
Tumhi Ko Dekhte Rehna
Tumhi Ko Chahate Rehna
Tumhi Ko Sochte Rehna
Tumhi Ko Sunte Rehna
Bohat Gherey Khayalon Main
Jawabon Main Sawalon Main
Muhabbat K Hawalon Main
Tumhara Nam Aajana
Mujhe Acha Sa Lagta Hai
Tumhare Sang Sang Chalna
Wafa Ki Aag Main Jalna
Tumhain Naraz Kar Dena
Kabhi Khud Bhi Rooth Jana
Tumhari Berukhi Pe Bhi
Tumhari Aarozo Karna
Khud Apne Dil Ki Dharkan Se
Tumhari Guftugu Karna
Mujhe Acha Sa Lagta Hai
SunO acha nahi lagta!
SunO acha nahi lagta!
Kare jb tazkara kOi
kare jb tabsara koi
Tumhari zaat kO khOjy
Tumhari bt kO sOchy
Mujhe acha nahi lagta
SunO acha nahi lagta!
Tumhari muskurahat par
HazarO lOg marty hOn
tumhari aik ahat par
HazarO DIL darakty hOn
Kesi ka tum py mar jana
Mujhe acha nahi lagta
SunO acha nahi lagta
Kisi or sy koi vasta, na sawal tha na malal tha
Kisi or sy koi vasta, na sawal tha na malal tha
Mujhy ab bi us ka khyal hai mujhy kal bi us ka khyal tha
Wohi jis k chehray ki roshni mera rung thi mera roop thi
Wohi shakhs tha meri aarzo wohi mera husn o jamal tha
Jo zuban e khalq py aam theen tumhari meri kahanian
Mujhy aaj tk na khaber hui wo urooj tha k zawal tha
Wohi jis ki aas tlash me meri umr sari guzar gai
Wohi pyar tha meri zindgi wohi meri jan ka azab tha.
Rah-E-Yaar Hamne Qadam Qadam, Tujhe Yaadgaar Bana Diya
Na Ganvaao Naavak-E-Neemkash, Dil-E-Reza Reza Ganva Diya
;
Jo Bache Hain Sang Samet Lo, Tan-E-Daag Daag Luta Diya
;
Mere Chaaragar Ko Naved Ho, Saf-E-Dushmanaa Ko Khabar Karo
;
Wo Jo Qarz Rakhte The Jaan Par, Wo Hisaab Aaj Chuka Diya
;
Karo Kaj Jabin Pe Sar-E-Kafan, Mere Qaatilon Ko Gumaan Na Ho
;
Ki Guroor-E-Ishq Kaa Baankpan, Pas-E-Marg Hamne Bhula Diya
;
Udhar Ek Harf Ki Kushtani, Yahaan Laakh Uzr Tha Guftani
;
Jo Kaha To Sun Ke Uda Diya, Jo Likha To Pad Ke Mita Diya
;
Jo Ruke To Koh-E-Garaan The Ham, Jo Chale To Jaan Se Guzar Gaye
;
Rah-E-Yaar Hamne Qadam Qadam, Tujhe Yaadgaar Bana Diya
Subscribe to:
Posts (Atom)