Kahkashan Khan Blog This page is dedicated to all the art, poetry, literature, music, nature, solitude and book lovers. Do what makes your soul happy. Love and Peace. - D
Saturday, May 11, 2013
Mere Israr pay akhir bohat majboor ho kar aaj
Mere israr pay akhir
bohat majboor ho kar aaj
mujhay apni nigahion ki udasi
sonp di usnay.
bohat be_bus bohat tanha'
bohat bikhri mohabbat ki
khalish jo us k dill main thi
shikasta laihjay ki jo thakan thi
bol di usnay.
Meri khatir mujhay apni mohabbat'
kaih nahin paya
mager
aaj apnay aansoo say
mohabbat tol di usnay.
Ik shaair bhi hoon, musawir bhi hoon, fankaar bhi hoon...
Ik shaair bhi hoon, musawir bhi hoon, fankar bhi hoon
Ager hoon nazuk sa koi phool to talwar bhi hoon
Mainay boi hai har ik mor pay nafrat likin
Main mohabbat k gulistan ka kharidar bhi hoon
Ho ager yar ghalat to main usay rokta hoon
Haq pay dushman ho to dushman ka tarafdar bhi hoon
Jurm har ik shaks say be_lose mohabbat hai ager
Phir to yeh sach hai k main ik khata kaar bhi hoon
Main woh ghafil hoon jisay umer ka ehsas nahin
Ik ik pal ki khaber rakhta hoon bedaar bhi hoon
Itna azaad, k aqash ko choo sakta hoon
Aik choti si tamanna main giriftaar bhi hoon
Mera andaz_tabiyat bhi kuch nirala hai
Bewafa bhi bohat hoon aur wafadaar bhi hoon.
___With Kahkashan Khan
Subscribe to:
Posts (Atom)