Kahkashan Khan Blog This page is dedicated to all the art, poetry, literature, music, nature, solitude and book lovers. Do what makes your soul happy. Love and Peace. - D
Saturday, September 28, 2013
Sadaa-e-ghaib samajh aur bay thikana ho..
Sadaa-e-ghaib samajh aur bay thikana ho..
Sabhi ko rota hua chhorr ker rawana ho...
^^Yeh Kainaat jo mairy liye jahannam hay..Kissi gunah ka mumkin hay shakhsaana ho...
^^Koi millay to lahoo mein rawan rahay her pal..
Kisi say ishq agar ho to walehaana ho...
^^Yeh aik toota hua dil ! Magar kissay maloom..
Hamaray paas yahi aakhri thikaana ho...
^^Yeh har taraf jo bharrakti hay aag ! Mumkan hay..
Abhi yahaan kisi namrood ka zamana
ho...
^^Main ker bhe sakta hoon mazdoori-e-junoo,n shahzad..
Kissi ka wasl agar iss ka mehntaana ho...
Wednesday, September 25, 2013
Koi yaad be usko yaad nahi
Koi yaad be usko yaad nahi
koi baat bhi usko yaad nahi
Ek shakhs ne usko chaha tha
wo zAat bhi usko yaad nahi
Jab shab ki bejli chamki the
Jab badal toot kar barsa tha
Hum dono jis main behge the
wo barsat bhi usko yaad nahi
Wo kehta tha main sunta hoon
wo kehta tha main sunta hoon
un lahkon baton main se
koi baat bhi usko yaad nahi
wo sahil dareya, phol, hawa
wo shab bhar chand ko dekha kerna
un sari raton main se
koi Rat be usko yad nahi
koi yaad be usko yad nahi
koi baat bhi usko yaad nahi:-[
Tu jo yaad aya tu buhat yaad aya
Tu jo yaad aya tu buhat yaad aya
Teri ankhon mein muhabat ki jhalak yaad hai
Har taraf khouf hai viraan lagay zindagi
Wo jo ik dard hai teri ulfat ka mujhe yad hai
Tujh se door howa jo teri muhabat ki khartar
Kitna tarpa kitna roya mujhe yad hai
Lab ko cho kar Jo bahon mein bsaya tha tujhko
Teri aknkhon ki sharam dil mein kasak yad hai
Hathon mein le hath tera mujh se lipat jana
sharma ke muje dekhna aur nigah ka jhuk jana
Wo badal ka bras jana teri pehli mulaqat pe
Wo mujh ko lipat jana jatay howe lamhaat mein
Teri wafa teri jafa tera palat ke na ana
tujhe yaad ho na yaad ho muje yaad hai
Tot ke chaha tha per mein hi sitamgar nikla
Akhri lamhat ki har baat muje yaad hai
Mere Dosto Meri Zindagi
Mere Dosto Meri Zindagi
Jo Udaas Hai Mujhe Raas
Hai,
Hai To Tishnagi Meri Rooh
Mein Ye Jo Piyaas Hai
Mujhe Raas Hai,
Ye Jo Gard Hai Mere Jism
Par Kai Manzilon Ki
Naveed Hai,
Ye Ata Huwa Ye Phata
Huwa Jo Libaas Hai Mujhe
Raas Hai,
Tu Mila Na Kar Mujhe
Piyaar Se Mujhe Ishq Hai
Tere Waar Se,
Tere Qahar Mein Tere
Zehar Mein Jo Mithaas Hai
Mujhe Raas Hai,
Kaheen Ek Khushi Ki
Talaash Mein Gham-e-
Dostaan Ko Bhi Khoo Na
Doon,
To Ye Ta'i Huwa Mere
Chaara-Gar K Jo Paas Hai
Mujhe Raas Hai,
Meri Baat Sun Mere
Qaasid Mujhe De Khabar
Mere Yaar Ki,
Mere Naama-Bar Mere
Zindagi Ye Sipaas Hai,
Mujhe Raas Hai,
Mere Khuwahishoon K
Hubaab Bhi Yaheen Dafan
Hain Mere Khuwaab Bhi,
Mere Qaatila ! Teray
Shehar Ki Ye Jo Baas Hai
Mujhe Raas Hai,
Subscribe to:
Posts (Atom)