Kahkashan Khan Blog This page is dedicated to all the art, poetry, literature, music, nature, solitude and book lovers. Do what makes your soul happy. Love and Peace. - D
Thursday, April 17, 2014
Wednesday, April 16, 2014
Ajab pagal si larki hai Mujhe har roz kehti hai
Ajab pagal si larki hai
Mujhe har roz kehti hai
Batao kuch neya likha ?
Mai jab bhi us se kehta hun
keh han aik nazm likhi hai
magar unwaan dena hai
boht bechain hoti hai
wo kehti hai,
sunao,mai isey aik acha sa unwaan deti hon
wo meri nazm sunti hai,
aur uski bolti ankhein
Kisi Missrey,kisi tashbeeh Par Yun Muskurati hain
Mujhay Lafzoon Se Kiranein phoot.ti Mehsoos Hoti hain
Wo meri Nazm Ko Acha Sa Ik Unwaan Deti hai
Aur iss k Aakhri Missrey k Neechay
Ik Adaa-e-be Niyazi Se
Wo Apna Naam Likhti hai
Main Kehta hon
Suno !! Ye Nazm Meri Hay
To Phir Tum Ne Kyon Apnay Naam Se Mansoob Kar Li Hay ?
Meri Yeh Baat Sun Kar Uss Ki Aankhein Muskurati Hain
Wo Kehti Hai,
Bara Saada Sa Rishta Hay
keh Jaisy Tum Mere Ho,Iss Tarah Yeh Nazm Meri Hay
Ajab Pagal Si Larki Hai
Tuesday, April 15, 2014
MeiN Rang MeiN Dekhti Thi Khushboo MeiN Soochti Thi!!!
MeiN Rang MeiN Dekhti Thi Khushboo MeiN Soochti Thi!!!
Mujhay GUmaaN Tha
Ke Zindagi Ujjli KhwahishooN Ke Chiraagh Le Ker
Mere DAreechooN MeiN Roshni Ki Naveed Bun Ker Uttar Rahi Hei
MeiN Kuhr MeiN Chandni Pehn Ker
Banafshi Badal Ka Haath Thaamay
Fizza MeiN Perwaaz Ker Rahi Thi
SamahatooN MeiN Suhaab LehjooN Ki BaarisheiN TheiN
BasaartooN MeiN Gulaab ChehrooN Ki Roshni Thi
Huwa Ki Resham RafaquteiN TheiN
Saba Ki Shabnum AnayuteiN TheiN
Hayaat KhwaabooN ka Silsala Thi!!!!!!
Khulein Ju AankheiN Tau Saaray Manzir Dhanak Ke Uss Paar Reh Gay Thay
Na Rang Mere Na Khwaab Mere
Huway Tau Bus Kuch Azaab Mere
Na Chand RaateiN Na PHool BaateiN
Na Neel Subhein Na Jheel ShaameiN
Na Koi Aahut Na Koi Dastuk
Haroof Mafhoom Kho Chukkay Thay
AllamateiN Banjh Ho Gai TheiN
Gullabi KhwaabooN Ke Paerehn Raakh Ho Chukay Thay
HaqeeqatooN ke BarhaNgi
Apni Saari SafakiyooN ke Saath
Jism-o JaaN MeiN Uttar Rahi Thi
Wo MehrbaaN Saaya Daar Badal
Azaab Ki Ruut MeiN Choor Ke Mujh KO Ja Chukka Tha
ZameeN Ki Taiz Dhoop AankhooN Mein chub Rahi Thi!!!!!!
Aaj Bhi Shaam Udaas Rahi !
Aaj Bhi Tapti Dhoop Ka Sehra
Tere Naram Labon Ki Shabnam
Saaye Se Mehroom Raha
Aaj Bhi Pathar Hijar Ka Lamha Sadiyon Se Be Khuwab Roton Ki
Ankhon Ka Mafhoom Raha
Aaj Bhi Apne Wasaal Ka Tara
Rakh Urati Shokh Shafaq Ki Manzil Se Madoom Raha
Aaj Bhi Sheher Main Pagal Dil Ko
Teri Deed Ki Aaas Rahi
Mudda Se GumSum Tanhai , Aaj Bhi Mere Pass Rahi
Aaj Bhi Shaam Udas Rahi___!
Subscribe to:
Posts (Atom)