Es Tarha Se Wo
Jaan_E_Adaa
Baithi Hai
Jis Tarha Takht
Pe
Bilqees_E_Sabaa
Baithi Hai
Tera Chehra Bhi
Osi Phool Ki
Maanind Laga
Aik Tittli Teri
Tassveer Pe Aa
Baithi Hai
Kiya Khabr Thi,
Ye Aziyet Bhi
Uthaana Hogi
Khat Jallaate
Huwe Wo Haath
Jalla Baithi Hai
Jaane Kiya Soch
K Wo Hijar Zard
C Larrki
Do Parindoon Ko
Dareeche Se
Urra Baithi Hai
Yoon Tu Baithi
Hein Kayein Or
Hasseenain Bhi
Sub Mein Hote
Huwe, Wo Sub
Se Judda Baithi
Hai
Aik Muddat Se
Mein Ghar Se
Nahi Nikla Sahir
Aik Muddat Se
Mere Dar Pe
Qazaa Baithi Hai.