Tum hi se Aye Mujahido!
Jahan ka Sabaat hai
Tumhari Mishal bapa,
Farogh-e-shash jehaat
hai
Tum hi se Aye Mujhido!
Jahan ka Sabaat hai
Tumhari Zau
Dilnasheee'n Yaqeeni
kainat hai
Wafa ki Roshni ho Tum
panah Andheri raat hai
Shaheed ki jo Maut hai
woh Qaum ki Hayat hai
Lahoo jo hai Shaheed ka
woh Qaum ki Zakaat hai
Tum hi se Aye Mujahido!
Jahan ka Sabaat hai
Nisar Jis pe Qaum ho
Hawa ke Shahsawar Tum
Har Aankh ki ho Roshni
Dilon ka ho Qaraar Tum
Baqa-e-Ahteraam-e-
Deen-e-Haq ke Dostaar
Tum
Jahan mai Amn-o-Kher ki
Bina-e-Paaidaar Tum
Shaheed ki jo Maut hai
Woh Qaum ki Hayat hai
Lahoo jo hai Shaheed ka
Woh Qaum ki Zakat hai
Tum hi se Aye Mujahido!
Jahan ka Sabaat hai
Zakat dai agr koi to
ziada ho Tawangari
Bikhair dain anaaj agr to
Fasal ho Hari Bhari
Chatain jo Chund
Daliyan Namoo ho
Nakhlistan ki
Katain jo chand
gardanain to Qaum mai
ho Zindagi
Shaheed ki jo Maut hai
woh Qaum ki Hayat hai
Lahoo jo hai Shaheed ka
woh Qaum ki Zakaat hai
Tum hi se Aye Mujahido!
Jahan ka Sabaat hai
Tumhari Mishal bapa,
Farogh-e-Shash Jehaat
hai_________