Maa ke daaman mein hoti hai wus’at bohat
Daal do meri jholi mein jo tum ko hain ghum
Chun loon palkon se raste mein kaante hain jo
Paas aane na doon mein tumhare ye ghum
Ji rahi hun mein sirf tumhare lye
Tum pareshan ho ye mujh ko gawara nahin
Tour laon mein taare jo ho bas mein mere
Kya karoon mere bachon ye mumkin nahin
Meri Jan ye is dunya ka dastoor hai
Jo bhee darta hai aur us ko daraati hai ye
Hans ke har dukh ka saamna tum karo
Ke jo bhee rota hai aur usko rulaati hai ye
Mein ne maana ke waqt ye hai mushkil bohat
Rakho himmat jawaan, aage barhte raho
Mushkilein saari aasaan ho jaayeingi
Tum duaaen meri sath le ke chalo
Naao aaj beech toofan ghir gayi hai tou kya
Na khuda hai Khuda mera rakho yaqeen
Ik din sahil pe pohncheigi kashti zurur
Apni maa ki duaaon pe rakho yaqeen
Daur ye sakht jo hai ye guzar jaayeiga
Chumeigi eik din manzil tumhare qadam
Ke hai dua maa ki jis ke bhee hamqadam
Uska Haami hai Allah, khud Us ki qasam!!
No comments:
Post a Comment