Phool se khushboo juda hoti hai faqat eik baar
Ye bikharti tou phir se laut kar aati nahin
Aankh se aansoo jo tapka, kya wo daaman karta tar?
Boond se tou pyaas sehra ki kabhee jaati nahin!
Hum tou thei wo zinda-dil ghum pe kabhee rotey na thei
Ab hua hai kya ke khushyon pe hansee aati nahin
Khud hi phoolon ko masal ke hai ye maali ko gila
Mere gulshan mein na jaane kyun bahaar aati nahin!
Khwaab dekhoon tou ho shayad zeest ki kuch talkhee kum
Kya karun pur neend mujh ko raat bhar aati nahin!
Hai jo qismat mein likha wo pura tou hoga zurur
Waqt se pehle tou kisi ko maut bhe aati nahin!
No comments:
Post a Comment