Umar-e-rawaan khizaan ki hawa se bhi taiz thi,
Har lamha Barg-e-zard ki soorat bikhar gaya,
Dil mai cheekhte huwe wehmon k bojh se,
Wo khaof tha k raat ko soate mai darr gaya,
Jo baat motbar thi wo sar se guzar gai,
Jo harf sar'sari tha wo dil me utar gaya,
Hum aks-e-khoon-e-dil hi luttatei phirei magar,
Wo shakhs aanso'on ki dhanak mai nikhar gaya,
"Mohsin" ye rang-o-roop ye ronaq baja mgar,
Main zinda kya rahoun ke mera ji tou marr gaya…!
No comments:
Post a Comment