Kahkashan Khan Blog This page is dedicated to all the art, poetry, literature, music, nature, solitude and book lovers. Do what makes your soul happy. Love and Peace. - D
Saturday, February 16, 2013
Barish ki brasti boondon nay jab dastak di Darwazay par~
Barish ki brasti boondon nay jab dastak di
Darwazay par~
Mehsus hua tha tum aay ho, andaaz tumaray jaisa tha~
Hawa k halkay jhonkay ki jab aahat paaye khirki par~
mehsus hua tum guzray ho, ehsas tumharay jaisa tha~
Mainay girti boondon ko rokna chaha hathon par
~
Ek sard sa phir ehsas hua, wo lams tumharay jaisa tha~
Tanha main chala phir barish main, tab ek jhonkay nay saath dia~
Main samjha tum ho saath mere, wo saath tumhary jaisa tha~
Phir ruk gai wo barish bhi, rahi na baqi ahat bhi~
Main samjha mujhay tum chor gay, andaaz tumharay jisa tha~
___With Kahkashan Khan
Humain Ab Kehta Hai Mujhay Tum Yaad Aatay Ho.
Humain Ab Kaho K Kehta Hai
Mujhay Tum Yaad Aatay Ho,
Kisi Ka Ho K Kehta Hai
Mujhay Tum Yaad aatay ho.
Samander Tha To Zour O Shor Sat Lahryen Bahata Tha,
Ab Qatra Ho K Kehta hai
Mujhay Tum Yaad Aatay Ho,,,
Baayan Kartay Jo Haal e Dill To Youn Hi Muskura Dayta,
Wohi Ab Ro K Kehta Hai
Mujhay Tum Yaad Aatay Ho.
___With Kahkashan Khan
Subscribe to:
Posts (Atom)