Kahkashan Khan Blog This page is dedicated to all the art, poetry, literature, music, nature, solitude and book lovers. Do what makes your soul happy. Love and Peace. - D
Monday, May 6, 2013
Saturday, May 4, 2013
Saray jahan ki khushyan , usko naseeb karday...
Saray jahan ki khushyan, usko naseeb karday
Hansta rahai sada woh, usay khushnaseeb karday.
Kabhi dill na uska tootay, kabhi chot na usay khay
Usko wafa k yaa rab, itna qareeb karday.
Us k labon pay yaa rab, sada muskurahaten hon
Qismat main uska hansna, mere habib kar day.
Chal kar jahan bhi jaaye, phoolon k rastay hon
Manzil har khushi ki, us k qareeb karday.
Dill mera ab tak kahan , mutma'in hua hai
Us k dukhon ko yaa rab, mera naseeb karday!
____With Kahkashan Khan
Thursday, May 2, 2013
Arzoo dil main yehi thi k kabhi aisa kartay
Arzoo dill main yehi thi k kabhi aisa kartay
,
Tham kar haath tera shaam ko ghooma kartay..*
+/
Main bharam say sajata tera daman har roz,,
,
Mill k hum pholon ko rukhsaar ko chooma kartay..*
+/
Sari khushyan tere daman main nichawer karta..*
,,
Ashq khushyon k meri ankhon main aaya kartay,,,
+/
Khuwhish e wasal humyen ghar main na tiknay dayti..*
,
Ghar k logon say naya har roz bahana kartay,,
+/
Jab thakan loriyan day day k sulatai humko...*
,,,
aik dujay ko hi khuwab main bas daikha kartay,
+/
meri qismat jo usay mera banati
,
Zindagi bhar kabhi chaht ko na ruswa kartay,,!.
___With Kahkashan Khan
Subscribe to:
Posts (Atom)