Kahkashan Khan Blog This page is dedicated to all the art, poetry, literature, music, nature, solitude and book lovers. Do what makes your soul happy. Love and Peace. - D
Wednesday, July 10, 2013
Main kiun tark_e_ta_aluq ki ibtada karta
Main kiun na tark_e_ta_aluq ki ibtada karta ?
Woh door dais ka basi tha kia wafa karta ?
Woh mere zabt ka andaza karnay aaya tha
Main hans k zakham na khata to kia karta ?
Hazaar aiena khano'n main bhi na paa saka
Woh aiena jo mujhay khud say ashiyana karta
Dar_e_qafas pay qayamat ka habs tha werna
Saba say zikar ter mian bhi sun liya karta
Meri zamee'n, too ager mujh ko raas na ajati !
Main rifato'n main tujhay asman sa karta
Gham_e_jahan ki mohabbat lubha rahi thi mujhay
Main kis tarah teri chahat pay asra karta ?
Ager zuba'n na kat'ti to sheher main Mohsin
Main patharo'n ko bhi ek roz humnawa karta!!!
Tuesday, July 9, 2013
Daikha tujhay to piyar ki chaht si hogai
=>Daikh tujhai to piyar ki chahat si hogai
Humyen har lamha khush rehnay ki adat si hogai
=>Pukara hai tujhko har mod pay in hum
Aanay say tere humyen mussarat si hogai
=>Pukaraa hai tujhko har mod pay zindagi
Tujhko paanay ki arzoo main shiddat si hogai
=>Teri ankhon main woh nasha hai k kia kahoon
Bin piye behekkk janay ki adat si hogai
=>Rehtay thay har lamha udas, Har pal bechain hum
Aanay say tere humyen musarrat si hogai
=>Teri mann _mohni si soorat, Khuda ka karishma hai
Na daikh paaoun gar jisay to qayamat si hogai
=>Tumhaaray pekar ko daikhta hoon, chaudvien raton main
Haseen rukh_e_roshan chand ki soorat si hogai
=>Socha na tha kabhi ishq bhi karoon ga EhsaaSS
Ab mohabbat say mujhay bari mohabbat si hogai...:)
Monday, July 8, 2013
Itna qareeb aao k jee bhar k daikh loon
Itna qareeb aao k jee bhar k daikh loon
Shayed k phir milo to ye zoq_&_nazar na ho
Youn utro mere dil main ankhon k rastay
Mujh main samaa jao nazar ko khaber na ho
Mudat hui milay nahin k ik dusray say hum
Aaj sab gilay mita do koi shikwa na ho
Mere samnay baithay raho, main daikhta rahoon
Ruk jaye kash waqt talo_e_seher na ho
Karlo mujsay wada jee jan say mere hi ho bus
Sab sath ho mere to zamanay ka dar na ho
Aye Husan_&_Be_Parvaah
Aye Husan_&_Be_Parvah!!! Tujhay shabnam kahoon, Shola kahoon...????
Phoolon main bhi shokhi to hai kisko mager tujhsay kahoon...???
Jaisay udi mehki fizaa jadooo karen ankhen teri
Soya hua manzar kahoon ya jagta sapna kahoon...???
Chanda ki tu hai chandni! lehron ki tu hai ragni!
Jaan_&_tamnna main tujhay kia kiya kahoon..? Kia na kahoon...???
Woh Bhi Kia Din Thay K Pal Main Kar Diya Kartay Thay Hum
Woh Bhi Kia Din Thay K Pal Main Kar Diya Kartay Thay Hum
Umer Bhar Ki Chahton Ko Har Ik Harjaai K Naam
Woh Bhi Kia Mousam Thay Hin K Nikahaton K Zaiqay
Likh Diya Kartay Thay Khaal_o_Khad Ki Ra'anaai K Naam
Woh Bhi Kia Subeh Theen Jin Ki Muskurahat Ka Fasoon
Waqf Tha Ehl_e_Wafa Ki Bazam araaai K Naam
Woh Bhi Kia Shamen Theen Jin Ki Shoharaten Mansoob Theen
Besabab Khultay Huay Balon Ki Ruswaai K Naam
Ab K Woh Rut Hai K Har Taza Qayamat Ka Azaab
Apnay Dill Main Jagtay Zakhmon Ki Gheraai K Naam
Ab K apnay Ansoo'n K Sab Shikasta Aainay
Kuch Zamanay K Liye Kuch Apani tanhaai K Naam...
Haan Piyar Nahin, Ishq Nahin, Ibadat Ki Hai,
Maine rasmon Say, Riwajon Say Baghawat Ki Hai.
Apni Mashkoor Nigahon Main Basa kar Mujhko,
Tunay bhi Toot Kar Mujhay Say Jo Mohabbat Ki Hai,
Qabool Kar K Mujhay Thukra Diya Hai Duniya Ko,
Mianay Bhi Tere Liye Duniya Say Adaawat Ki Hai
Haseen Azaala Hai, Karam Hai Ya khush Bakhti,
Apnay Malik Say Mainay Jo Shikayat Ki Hai.
Karoon Main kaisay Adaa Shukar Is Nawazish Ka,
Mere Mehboob Tunay Jo Inayat Ki Hai <3 <3 <3
Khud Say Bhi Barh Kar Mainay Tujhsay Chahat Ki Hai,
Haan Piyar Nahin, Ishq Nahin, Ibaadat Ki Hai...!!!
Tumhai jab kabhi milen fursaten mere dil se bojh utar do
Tumhai Jab Kabhi Mile Fursaten Mere Dil Se Bojh Utaar Do,
Main Bohat Dino Say Udas Hoon Mujhay Ik Sham Udaar Do.
Mujhay Apnay Roop Ki Dhoop Do, K Chamak Sakay Mere Khad _o_ Khal,
Mujhay Apnay Rang Main Rang Do, Mera Sara Zang Utaar Do.
Kisi Aur ko Mere Haal Say Koi Gharz Hai, Na Hi Wasta,
Mere Dil Pay Hath Rakho Zara, eri Dharkano Ko Qarar Do.
Tumhai Subah Kaisi Lagi Kaho meri Khwahishon K Dayaar Ki,
Jo Bhali Lagay To Yehin Raho Isay Chahaton Say Nikhar Do.
Wahan Ghar pay Koun Hai Muntazir K Ho fikar Dair Sawer Ki,
Badi Mukhtasir si yeh Baat Hai , Isay Chandni Main Guzar Do.
Koi Baat Karni Hai Chand Say Kisi Shahkaar Ki Auot Main,
Mujhay Rastay Main Yaheen Kaheen kisi Kunj_e_Gull Main Utar Do...
Subscribe to:
Posts (Atom)