Kahkashan Khan Blog This page is dedicated to all the art, poetry, literature, music, nature, solitude and book lovers. Do what makes your soul happy. Love and Peace. - D
Monday, March 10, 2014
Saturday, March 8, 2014
Karta Hun Jamaa Mai To Bikharti Hai Zaat Aur
Karta Hun Jamaa Mai To Bikharti Hai Zaat Aur
Baqi Hai Kitni Ae Mere Maula, Yeh Raat Aur
Leti Hai Jalti Shaam Bhi Bujhne Mai Kuch To Waqt
Hai Aadmi Sa Koi Kahan Be-Sabaat Aur
Selaab Jese Leta Hai Deewar Ke Qadam
Karta Hai Gham Bhi Dil Se Koi Vaardaat Aur
Yun To Hazoor-E-Paak(Saw) Ke Laakhon Hain Madah-Khuaah
Taaib Si Likh Raha Hai Magar Kon Naat Aur
Mazhar, Azal Ke Husn Ke Amjad Hain Be-Shumaar
Lekin Jo Dekhiye To Hai Barish Ki Baat Aur
Baad Muddat Usey Dekha, Logon
Baad Muddat Usey Dekha, Logon
Wo Zara Bhi Nahi Badla, Logon
Khush Na Tha Mujh Se Bichar Kar Wo Bhi
Us Ke Chehre Par Likha Tha, Logon
Us Ki Aankhen Bhi Kahe Deti Theen
Raat Bhar Wo Bhi Na Soya, Logon
Ajnabi Ban Ke Jo Guzra Hai Abhi
Tha Kisi Waqt Mai Apna, Logon
Dost To Khair Koi Kis Ka Hai
Us Ne Dushman Bhi Na Samjha Logon
Raat Wo Dard Mere Dil Mai Uthaa
Subha Tak Chain Na Aaya, Logon
Pyaas Sehraaon Ki Phir Taiz Hui
Abr Phir Toot Ke Barsa, Logon
Kal Ajab Saniha Sa Hua Rait Par
Kal Ajab Saniha Sa Hua Rait Par
Naam Tera Nahi Likh Saka Rait Par
Kis Ki Awaz Se Tham Gaye Hain Qadam
Phir Se Kis Ne Mujhe Di Sada Rait Par
Us Ki Aankhon Se Sholay Nikalte Rahe
Naachti Reh Gai Kal Ghata Rait Par
Tu Ne Jo Bhi Hawa Se Kaha Reh Gaya
Mit Gaya Mai Ne Jo Bhi Likha Rait Par
Ab Yeh Sehra Hi Tere Muqaddar Mai Hain
Tu Ne Maangi Hi Kiyu Thi Dua Rait Par
Ek Shola Utha Us Jaga Se WASI
Mera Aansu Jahan Gir Gaya Rait Par
Kitni Zulfen Khulein Kitne Aanchal Urre Chand Ko Kiya Khabar
Kitni Zulfen Khulein Kitne Aanchal Urre Chand Ko Kiya Khabar
Kitna Maatam Hua Kitne Aansu Bahe Chand Ko Kiya Khabar
Muddaton Us Ki Khuwahish Mai Chalte Rahe Haath Aata Nahi
Chah Mai Is Ki Pairon Mai Hain Aablay Chand Ko Kiya Khabar
Wo Jo Nikla Nahi To Bhatakte Rahe Hain Musafir Kai
Aur Lut’te Rahe Hain Kai Qaaflay Chand Ko Kiya Khabar
Wo To Apni Nagri Mai Madhosh Hai Kab Se Khamosh Hai
Kon Raja Bana Kitne Syed Lutey Chand Ko Kiya Khabar
Is Ko Daawa Bohot Meethe-Pan Ka Wasi Chandni Se Kaho
Is Ki Kiranon Se Kitne Hi Ghar Jal Gaye Chand Ko Kiya Khabar
Kabhi jo chair gaye yaad-e-raftgaa'n Mohsin..
Kabhi jo chair gaye yaad-e-raftgaa'n Mohsin..
Bikher gaye hain nighahien kahan kahan Mohsin..
Hawa ne raakh urdaye to dil ko yaad aya..
Ke jal bhujien mere khawab ki bastiyan Mohsin..
Kuch aisay ghar bhi mile jin mein ghongtoon ke aewaz..
Hoi hain dafn dupatoon mein larkiyan Mohsin..
Khandar hai ahd-e-ghasta, na cho na chair ise..
Khulien to band na hoon iski khirkiyan Mohsin..
Bhujha hai kon sitara ke apni ankh ke sath..
Hoye hain saray manzir dhuwan dhuwan Mohsin..
Nahi ke us ne ghanwaye hain maah-o-saal apne..
Tamam umer katti yoon bhi raigaa'n Mohsin..
Mila to aur bhi taqseem ker gaya mujh ko..
Smaitna thien jise meri kirchiyan Mohsin..
Kahien se us ne bhi torda hai, khud se rabt-e-wafa..
Kahien se bhool gaya mein dastaa'n Mohsin..
Friday, March 7, 2014
Confussion
Yr relation tha... abi nahi raha... miss toh bhot karta hu... life ka best tym tha wo...
pehele bhoot bura laga... phir samaj aaya ki galti meri
thi.. usne mujhe bhot chance diye the... par mai hi use for granted
leta raha.. ab jab wo lyf mai nahi hai toh samaj mai aaya ki wo kya
thi...
But use ek baat ke liye thanks bolna chaunga..
" tu aayi aur badal kar chali gayi.. thanks for this positive change u
brought"
Still love u and miss u..
Thursday, March 6, 2014
Subscribe to:
Posts (Atom)