Welcome to my blog!

Meet the Author

Blessed with the best _ Alhumdulillah!a million times for every blessing in my life.

Looking for something?

Subscribe to this blog!

Receive the latest posts by email. Just enter your email below if you want to subscribe!

Monday, May 26, 2014

Main logon se mulaqaaton ke lamhe yaad rakhta hun ,


Main logon se mulaqaaton ke lamhe yaad rakhta hun ,
main baatein bhool bhi jaaun toh lehje yaad rakhta hun.

Sar-e mehfil nigaahein mujh pe jin logon ki padti hain ,
nigaahon ke hawaale se woh chehre yaad rakhta hun.


Zara sa hat ke chalta hun zamane ki riwaayat se ,
ki jin pe bojh main daalun, woh kaandhe yaad rakhta hun.

Main yun toh bhool jaata hun kharaashein talkh baaton ki ,
magar jo zakhm gehre dein, woh rawaiyye yaad rakhta hun ...!

Sunday, May 25, 2014

Sirf iltij hai itni:!


Sirf Iltija Hai Itni:!
Meri Ghazlo Kay Kuch Hiso Mai Meri Bey Basi Kay Qisey Hain,
Ager Tum Un Ghazlo Kay Un Hiso Tuk Ja Pohncho,
Jidhar Tumhara Naam Aa Jaye
Tou Tum Yeh Farz Ker Layna,
Mehaz Yeh Aik Kahani Hai,
Jis Mai Aik Raja Hai
Na Uski Koi Rani Hai
Suno Tumhy Ijazat Hai
Ager Tum Parhna Cha Ho Tou..

Saturday, May 24, 2014

Kuch Log Ansoo'on Ki Tarah Hotay Hai


Kuch Log Ansoo'on Ki Tarah Hotay Hai
Pata Hi Nahin Chalta
Satha Dy Rahain Hain Ya Sath Chor Rahai Hain___:)

wo waqt bemisal thaa jo tere saath guzar gaya,



wo waqt bemisal thaa jo tere saath guzar gaya,
wo ashak aabe hyaat thaa jo tere daman me gir gaya....

tujhe bhoolne ki koshishain sab nakaam he rahi,
tera chhehra aankho ke raste dil main uttar gaya....

jee raha hoon bass tujhe milne ki aas pe warna, 
khabo ke saath mera wajood kab ka bikhar gaya....


deewarain poochne lagi udaasi ka sabab mujhse,
tere khat jalake shaam ko jab main apne ghar gaya....

tum kaya mile mujhe zindagi ke tanha safar main,
mere maajhi se babasta har zakham phir nikhar gaya.....

ashko ka sailaab jo baha to phir thaam na saka,
apna afsana-e-gham lekar jab nadi ke paas sagar gaya.....

'veer' ko gham nahi gar ho gaya kafan bhee neelaam,
acha hua mere dost teri inayaton ka karz to uttar gaya.......

Ajab Tanasub Se Zehen-o-Dil Mein


Ajab Tanasub Se Zehen-o-Dil Mein
Khayal Taqseem Ho Rahe Hyn
Mujhy Mohabbat Si Ho Gai Hy
Tumhei”n Mohabbat Sikha Sika k … !

usay roktay bhi to kis liye??


woh jo sheher-e-dil tha ujerh gaya
woh jo khawab tha bikher gaya
kabi mausmoon ki nazer lagi
kabhi wahmon nay dera dia
kabhi menzilon k serab nay
hamain rastay main degha dia
kabhi zindegi ki kitab say
hamain jis nay chaha mita dia

bus is liyai
woh jo ja reha tha to door tuk
usay dakhtay hi rehay magar
nehi di sadaa.......

usay roktay bhi to kis liye??

Woh Jo Jaaa Raha Tha


Woh Jo Jaaa Raha Tha
To Doooor Tak _____
Use Dekhtay Rahai
Nahin Di Sadaa
Use Roktay Bhi
To kis iLyea _______*

Hmesha sath rehne ki aadat kuch nahi hoti


Hmesha sath rehne ki aadat kuch nahi hoti
Jo lamhe mil gaye ji lo riyazat kuch nahi hoti


Jise mehromiyan mili hon wohi jan sakta hai
Zubaani hosla, jhoti murawat kuch nahi hoti

Kayi rishton ko jab parkha nateja ek hi nikla
... Zarorat hi sbhi kuch hai mohabbt kuch nahi hoti


Kisi ne chorr k jana ho,to phir chorr jata hai
Bicharrna ho,to sadiyon ki rafaaqat kuch nahi hoti


Ta'alluq toot jaye to safeenay doob jaate hain
Ye sb kehne ki batein hain haqeeqt kuch nahi hoti....

Aghaaz yun huaa tha...


Aghaaz yun huaa tha...

Us ne GULAAB bhaijaa....

Mian ne Kitaab kholi....

Aur....

Us mai Rakh diya woh...

Sab se ussay Chupayaa....

Anjaam ye huaa hai.....

Kuch khushk patiyaan.....

Thori si Hai Mehak bhi....

Bas Aur Kuch Nahi Hai...

Uska waada bhi bara ajeeb tha


Uska waada bhi bara ajeeb tha k zindagi bhar saath nibhaounga
Mene yai bhi nahi pocha ke 
.......
Mohabbat ke saath 
Ya bewafai ke saath ¿
')