Welcome to my blog!

Meet the Author

Blessed with the best _ Alhumdulillah!a million times for every blessing in my life.

Looking for something?

Subscribe to this blog!

Receive the latest posts by email. Just enter your email below if you want to subscribe!

Thursday, June 12, 2014

Wednesday, June 11, 2014

Rastey Ghalat Nahin Hua Kartay ....





Rastey Ghalat Nahin Hua Kartay .....Woh To Apni Manzil K Liyea Hi Bantay Hain .....Ghalat To Hamari Pasand Aur Chah Hoti Hai ..... Kiun K Raaston Ko To Waheen Jana Hai .... Jahan Iski Manzil Ka Thikana Hai ..... Yeh To Hum Hi Hotay Hain .....Jo Tajassus Main Iski Manzil Ko Apni Manzil Samjh Bethtay Hain ..... Aur Phir Gilah Kartay Hain K Raasta Ghalat Tha ____!




Baqaa Ki Arzoo Hai To


Baqaa Ki Arzoo Hai To

Fanaa Kar Apni Hasti Ko

Suno ________Main Ab Roshni Se Darta Hoon


Suno ________Main Ab Roshni Se Darta Hoon

Andhera Raas Aagaya Hai Mujhay __!

Tuesday, June 10, 2014

Kiun Dimaag pe Zoor Daal k Ginte ho , Galtiyan Meri,....


Kiun Dimaag pe Zoor Daal k Ginte ho ,
Galtiyan Meri,....

Kabhi Dil pe hath Rakh k Pochna,
Qasoor kis ka Tha,,,

Ro Para Woh Shaks Aaj Alvida Kehte


Ro Para Woh Shaks Aaj Alvida Kehte
Mohsin

Meri Sharaton Pa Jo Dyta Tha Dhamkiya Judai Ki

Aik Shab Ka Tha Maghar Hadsa Gehra Tha Buhat


Aik Shab Ka Tha Maghar Hadsa Gehra Tha Buhat 

Likh Gaya Khouf Meray Zehan Ki Dewaro'n Par' 

Tu kisi aur ki jageer hai Ae jaan-e-gazal,


Tu kisi aur ki jageer hai Ae jaan-e-gazal, 
log tufaan utha dengay mere sath na chal; 

Pehle haq tha teri chahat k chaman par mera, 
pehle haq tha tere khushbu-e-badan par mera, 

Ab kisi aur k shano pay hai tera anchal, 
Log tufaan utha dengay mere sath na chal; 

meri kismat men nahi pyar ki khushbu shayed, 
Mere hathon ki lakeeron mein nahi tu shayed, 

Apni taqdeer bana mera muqaddar na badal, 
Log tufaan utha dengay mere sath na chal..' 

Bohat Be-Chain Rehti hai Tabiyat Aik Mudat se,


Bohat Be-Chain Rehti hai Tabiyat Aik Mudat se, 

Dil-O-Jaan ko nahi mil Pai Rahat aik Mudat se.. 

Mujhe b Rok Rakha hai meri Msroofiyat ne Or, 

Nahi ki tm ne b Milne ki Zehmat aik Mudat se.. 

Bohat Mjboor hon Warna bohat Mehsoos krta hon, 

Meri Jaan, tum se milne ki Zaroorat  aik mudat se.. 

Kisi Din aa k mil jao, k Apna li hai Aankhon ne, 

Tmhari Yaad mein Ronay ki Aadat aik mudat se...*?' 
          

Raah_e_dushwar ko tabdeel nhi kr sakte


Raah_e_dushwar ko tabdeel 
nhi kr sakte 
Ay mohabbat teri tazleel 
nhi kr sakte.

Aap kehte hyn bichar jao 
humesha ke liye... 
Aap ke hukm ki taameel 
nhi kr sakte! 

Is adhuri si mohabbat ko 
bhulana behtar 
Jis ki hum mar ke bhi 
takmeel nhi kr sakte! 

Qissa_e_dard chupa rakha 
hy dil me apne.. 
Hum bayan sb se ye 
tafseel nhi kr sakte!!' 

')