Kahkashan Khan Blog This page is dedicated to all the art, poetry, literature, music, nature, solitude and book lovers. Do what makes your soul happy. Love and Peace. - D
Wednesday, June 26, 2013
Monday, June 24, 2013
Friday, June 21, 2013
Thursday, June 20, 2013
Wednesday, June 19, 2013
Kabhi akaila mil kar jhanjhor doonga usay
"Kabhi akailay main mil kar jhanjhor doonga usay
Jahan jahan say woh toota hai jor doonga usay"
"Mujhay hi chor gaya yeh kamal hai uska
Irada mainay kia tha k chor doonga usay"
"Passena bantta phirta hai har taraf sooraj
Kabhi jo hath laga to nichor doonga usay"
"Maza chakha kar hi mana hoon main duniya ko
Samjha rahi thi k aisay hi chor doonga usay"
"Bacha k rakhta hai khud ko woh mujhsay shisha badan
Usay yeh dar hai k tor phor doonga usay"______!
Tuesday, June 18, 2013
Monday, June 17, 2013
Biknay walay aur bhi hain jaa k kharid lo
Mohsin says:
"Biknay walay aur bhi hain ja kar kharid lo.
Hum log qeemat say nahin qismat say mila kartay hain".
Faraz replied to Mohsin:
"Ager chahoon to ik nigah main kharid loon usay
Jis ko naz hai bohat k bikta nahin hoon main".
Sager replied to Faraz:
"Bohat naaz hai tujhko teri nigah_e_ulfat par
Mager hum woh nahin piyaray jo nigahen char kartay hain".
& Iqbal replied to all:
"Kisi ko kharidna mere bas main nahin Iqbal
Meri sadgi daikh kar log khud hi mit jatay hain".
Woh pani ki laihron pay kia likh raha tha
Woh pani ki laihron pay kia likh raha tha
Khuda janay
Hurf_e_dua
Likh raha tha
Likhay thay jisnay wafa k maani adhooray,
Woh shaks piyar ki inteha likh raha tha,
Zara uski ankh say ik aansoo na nikla,
Woh jis waqt
Lafz_e_saza
Likh raha tha.
Mohabbat main nafrat mili thi usay
Woh har shaks ko bewafa likh raha tha
Is qader
Zamanay walon nay
Usko sataya,
Woh piyar k
Jazbay ko gunah
Likh raha tha.
Na kisi ki ankh ka noor hoon
Na kisi ki ankh ka noor hoon
Na kisi k dill ka qarar hoon.
Jo kisi k kaam na aasakay, main woh ik musht_e_gubar hoon.
Na to main kisi ka habib hoon
Na to main kisi ka raqeeb hoon.
Jo bigar gaya woh naseeb hoon
Jo ujar gaya woh dayar hoon.
Mera ranj_rup bigar gaya
Mera yaar mujhsay bichar gaya.
Jo chaman fizaa main ujar gaya
Main usi ki fasl_e_bahar hoon.
Parhnay fatiha koi aaye kiun
Koi chaar phool charhaye kiun.
Koi aik shama jalaye kiun
Main woh bekasi ka mazar hoon.
Main nahin hoon naghma_e_ janfishan
Mujhay sun k koi karay ga kia.
Main baray baroog ki hoon sada
Main baray dukh ki pukaar hoon.
Tumhai udas sa pata hoon main bohat din say
Tumhai udas sa pata hoon main bohat din say
Na janay koun say sadmay utha rahi ho tum
Woh shokhiyan , woh tabassum
Woh qaihqay na rahai
Har im cheez ko hasrat say daikhti ho tum.......
Chupa chupa k khamoshi main apni bechaini
khud apni raaz ki tashheer ban gai ho tum.
Tum apnay husan ki ranaiyon par reham karo.
Mujhay tumhari judai ka koi ranj nahin. mere khayal ki duniya mian mere pass ho tum.
Yeh tum nay theek kaha hai k tumhai maila na karoon. mager mujhay yeh bata do k kiun udas ho tum?
Khafa na hona meri bat par o jana. Tumhai khaber hai meri zindagi ki aas ho tum.
Mera tu kuch bhi nahin hai main ro k jee loon ga
mager khuda k liye tum aseer_e_gham na raho.
Hua hi kia hai jo zamanay nay tum ko cheen liya
Yahan par koun kis ka hua hai kabhi socha tu nay?
Mujhay qasam hai meri dukh bhari jawani ki
Main khush hoon meri mohabbat k phool thukra do.
Main apni rooh ki har ik khushi mita loonga
Mager tumhari musarrat mita nahin sakta.
YEH GHUM BOHAT HAIN MERI ZINDAGI MITANAY KO
UDAS REH K MERE DILL KO AUR RANJ NA DO.
Khuwabon ki ik basti thi
Khuwabon ki ik basti thi
Ik larki usmain rehti thi
Apnay ghar k angan main
Kuch sapnay boya karti thi
Apnay kamray ki khirki main
Boondon say khaila karti thi
Sab k samnay hansti thi
aur
Chup chup k roya karti thi
Chand ko kaheen dair tak
Woh aksar ghoora karti thi
Phir...
Khud say baten karti thi
Daiknay wali sab ankhon ko
Kanch ki gurya lagti thi
Toot gai to sab nay jana
Woh pagli
Piyar kisi say karti thi.!!!
Adhooray pan ki rafta rafta yeh takmeel karti hai
Adhooray pan ki rafta rafta yeh takmeel karti hai
Mohabbat zindagi ko husan say tabdeel karti hai
Kabhi socha bhi hai tunay k woh maghroor si larki
Na janay kiun tere har hukum ki tameel karti hai
Nahin roti hai ab woh band kamray main kaheen ghut kar
Woh apnay ansoo'n ko shsher main tasmeel karti hai
Munawwar hoti jati hai shama jab raat dhalti hai
Teri dosti mere ehsas ko qandeel karti hai
"Sagar" doob jatay hain bina sochay bina samjhay
Woh apni ankh ko jab khamoshi ki jheel karti hai.
Abhi bhi waqt hai tum lout jao
Abhi bhi waqt hai tum lout jao
Mujhay tum say mohabbat ho chali hai
Bazahir ik sakoon tari hai mager
Dill main qayamat ho chali hai
Tumharay naam say phoolon ka khilna
Tumharay roz ka youn milna
Tumharay chand say cheray ko takna
Meri ankhon ki adat hoi chali hai
Abhi bhi waqt hai tum lout jao
Mujhay tum say mohabbat ho chali hai.
Waqt k shikanjon main
Waqt ki shikanjon nay
Khuwahishon k
Phoolon ko
Noch noch tora hai.....!
Kiya yeh zulm thoda hai...???
DArd k jazeeron nay
Arzoo k jeevan
ko
Maqbaron main dala hai....!
Zulmaton k deray hain.....!
Log sab lootaray hain....!
Mout rooth baith hai.....!
Zaat reza reza hai....!
Taar taar daman hai.....!
Dard dard jeevan hai....!
Shabnami si palkain hain....!
Qurb hai na dooori hai.....!
Zindagi adhoori hai....!
Ab yaqeen aya
k...!
Mout bhi zaroori hai.
Friday, June 14, 2013
Thursday, June 13, 2013
Monday, June 10, 2013
Ik chehra jo mere khuwab saja dayta hai
Ik chehra jo mere khuwab saja dayta hai
Mujhko mere hi khiyalon main sada dayta hai
Woh mera koun hai maloon nahin hai likin
Jab bhi milta hai to phailoo main jagah dayta hai
Main jo ander say kabhi toot k bikhroon
Woh mujhko thamnay k liye hath barha dayta hai
Main jo tanha kabhi chupkay say bhi rona chahun
To dill k darwazay ki zanjeer hila dayta hai
Uski qurbat main hai kia baat na janay Mohsin
Aik lamhai k liye sadiyon ko bhula dayta hai....!!!
Mujhko maloom nahin chahat k taqazay
Mujhko maloom nahin mohabbat k taqazay likin
Humnay teri baton k siwa har baat bhula rakhi hai
Safar mushkil hai maloom hai likin
Tu hamara hai to har fikar mita rakhi hai
Tu bhula day to bhula day likin hum nay
Teri khushboo bhi taveez banaa rakhi hai
Tu alag ho to har baar youn lagta hai
Zindagi mout k phailoo main bhita rakhi hai
Teri baten
Tera laihja
Tera chehra
Mohsin
Tujh main khaliq ne har cheez juda rakhi hai.
Mera dill yeh chahta hi.......
MeRa diL chahTa haI...
.,
TeRe ghar saY teRe CollEge k tamaM raStOn
pEr...
.,
MaIn gUlan pHainkoOn iTnaY.....
.,
Jo zaMeEn kO cHupA daYen.,
.,
TeRe paOun uN gUlaBon ko HaSeen TaR baNa dAyEn...
.,
MeRa dill YeH cHaHtA hAi...
.,
TerA haTh ziNdaGi bHar meRe haTh sAy
na ChootAy...
.,
CHahaI meRi dHarKanO kA naaTa merRe diLl saY tOOt jaye...
.,
merI rOoH mEri paLkaR sAy bE shAk chout JaYe...
.,
TeRe saaTh PeR nA ChooTay ...
,.
MerA dil yEh chaHta HaI
K...
.,
MaIn bAn k iK chaLla teri UnGliuoN maIn gHoomoUn...
.,
TeRi unGliuOn kO CHooMon...
.,
Tu tHakan kI saatOn maIn meRi chahaton MaIn kHo kaR...
.,
jaB daBay LUb sAy uNgli...
.,
MaiN tere laBon kO cHoom
LoUn...
.,
MeRa dill yEh ChaHta HaI...
.,
MerA dill YeH ChahTa hAi...
Ishq sheher hai k darya
Ishq sheher hai k darya
kabhi socha tum nay???
Tujh say kia hai
mera naata, kabhi
socha tumnay???
Haan! main tanha
hoon yeh iqrar bhi
kar layti hoon,
Mager kis nay kia tanha, kabhi
socha tum nay???
Yeh alag baat k
jataya nahin mainay tujhko
Werna kitna tujhay chaha, kabhi
socha tum nay???
Tujhay awaz likha
noor likha, phool
bhi likha
Mainay kia kia
tujhay likha
socha tumnay???
Mutmaain hoon
tujhay lafzon ki
hararat day kar
Mainay kitna
tujhay socha, kabhi
socha tum nay????
Khuwab palkon ko choo gaya hoga
Khuwab palkon ko choo gaya hoga
Aks ankhon main jagta hoga
Rasta jab badal liya tum nay
Dill nay kuch to tumhai kaha hoga
Rait k sar phiray bagolon main
Koi jalta hua dia hoga
Hoga ashjer ko hawa say gila
Aik patta bhi jab gira hoga
Do jazeeray hain khushk banjar say
Koun ankhon main doobta hoga
Us k izhar pay dill muztar
Aik pal ko thair gaya hoga
Hai aja reet is zamanay ki
Jo dabo day woh na khuda hoga
Jo har ik baat par qasam khayae
Yaad rakho woh bewafa hoga....
Us nay kaha k dill mera azad hogaya
Usanay kaha k dill mera azad hogaya ;
Har koi jal thaam k shayed hogaya ;
Us nay kaha k aa kisi jangal main ja basen ;
Sara hi sheher dasht main abad hogaya ;
Us nay kaha kisi ko madad chahyea meri ;
Har ik shaks talib_e_imada ho gaya ;
Us nay kaha "adeem" koi aik ghumzadah ;
Har aik nay kaha main barbad ho gaya ;
Usnay mazak say kaha firoun hai koi ;
Sara hi sheher hurmaaz_o_shaddad hohaya ;
Us nay kaha mera thikana dilon main hai;
Sab ko "adeem" uska pata yaad hogaya...!
Mere hath main taash k pattay
Mere haath main taash k pattay
Us k haathon main nabz patton ki
Shirt yeh thi k jeetnay k liye
Chaar patton main ik tasallul ho
Paan ka badshah tha unki talab
Mujhko darkaar phool ki begum
Un k chahray pay aitmaad ka noor
Meri ankhon main sirf hairani
Mainay danishta apnay hathon say
Paan ka badshah hi phaink diya
Qaihqaqay say ubal paray har soo
Aur main sochta hoon reh reh k
13 patton k khail main kal raat
jeet jata to maat ho jati_____!
Subscribe to:
Posts (Atom)