Kahkashan Khan Blog This page is dedicated to all the art, poetry, literature, music, nature, solitude and book lovers. Do what makes your soul happy. Love and Peace. - D
Tuesday, January 7, 2014
Na Khaaif Hun Main Nashtar Se Na Main Kanton Se Darta Hun_
Kisi Ka Dil Dukha Den Jo Main Un Lafzon Se Darta Hun_
Suhane Thay Jo Sab K Sab Woh Lamhe Reh Gaye Piche_
Naye Logon Nayi Baton Naye Lamho'n Se Darta Hun_
Zamane Ne Yehi Mera Nirala Tour Dekha Hai_
Main Gheron Se Nahi Darta Faqt Apno'n Se Darta Hun_
Buray Hain Jo Haqiqat Mai Magar Zahir Main Ache Hain_
Elahi_Is Zamane Main,Main Un Logo'n Se Darta Hun_
Ujalon Se Muhabbat Hai Mujhe Yeh Thek Hai Lekin_
Jala Dalen Jo Gulshan Ko Main Un Kirno'n Se Darta Hun_
Main Qaail Hun Faqat Un Ka Jo Aanso Rang Le Aayen_
Jo Beh Jayen Faqat Yun'hi Mai Un Ashkon Se Darta Hun_
Apni tanhai se wehshat nahi hoti mujh ko
Apni tanhai se wehshat nahi hoti mujh ko
kya ajab shy hon muhabbat nahi hoti mujh ko...
Ab koi baat be nai baat nahi mere lye
Ab kisi baat pr hyrat nahi hoti mujh ko....
Yaad aati nahi beeti hoi batain dil ko
Yaad krny ki zaroorat nahi hoti mujh ko....
Dil k jazbat se ab koi ta'luk hi nahi
Had to ye ho gai k nafrat be nahi hoti mujh ko
Sakht pehra mere andar me lga rehta hy
Soochny tk ki be ijazat nahi hoti mujh ko
Khwahish-o-wasl kahan ishq kahan batain kahan
Saans lene ki be fursat nahi hoti mujh ko
Ab sulagta nahi yadon me wo miti ka diya
Tum se milny ki b hasrat nahi hoti mujh ko....
"AAJ BHI"
"AAJ BHI"
Ek Muddat Se Jisse Dekha Nahi,
Aaj Bhi
Wo Zehen Se Utra Nahi,
Aaj Bhi
Wo Toot Kar Aata Hai Yaad,
Aaj Bhi
hum Raat Bhar Sote Nahi,
Aaj Bhi
Sache Hen Apne
Ishq-O-Wafa Me,
Aaj Bhi
Wada Mera Jhota Nahi,
Aaj Bhi
Qaim Hon Apne Zabt Par,
Aaj Bhi
hum Toot Kar Bikhre Nahi,
Aaj Bhi
hum Sirf Uske Hen Magar,
Sawal Ab Itna Hai K
Woh Mera Aaj bhi Nahi.
Wo Aks-e-Mauja-e-Gul Tha, Chaman Chaman Mein Raha;
Wo Aks-e-Mauja-e-Gul Tha, Chaman Chaman Mein Raha;
Wo Rang Rang Mein Utraa, Kiran Kiran Mein Raha..
Wo Naam Haasil-e-Fun Ho Ke Mere Fun Mein Raha;
Ke Rooh Ban Ke Meri Soch Ke Badan Mein Raha..
Sakoon-e-Dil Ke Lye Mein Kahan Kahan Na Gayi;
Magar Ye Dil, Ke Sadaa Oski Anjuman Mein Raha..
Wo Sheher Waalon Ke Aagay Kaheen Mohazzib Tha;
Wo Ek Shakhs Jo Sheheron Se Door Ban Mein Raha..
Charaagh Bujhtay Rahay Aur Khwaab Jaltay Rahay;
Ajeeb Tarz Ka Mausam Mere Watan Mein Raha !!
Main dard ki kitab hun
Main dard ki kitab hun
Mujhy kia kary ga khol k,
"Mary wark wark pa ashq hain
Mari bebasi k kayal hain,
"Mujhy zindagi se gila nhe
Jisay chaha tha wo to mila nhe,
"Lagi chot dil pa jo ishq ki
Abhi zakham wo to bhara nhe,
"Maray hoslay ka kamal deakh
Mari sadgi ka jamal deakh,
"Jis sakhs ne mujh ko bhula dia,
Us sakhs se mujh ko gila nhe,
"Rhay khush sada bus hai dua,
qismat main wo tha nhe is liye mujy mila nhe.
Bichry to qurbaton Ki Dua bhi na Kar saKy..
Bichry to qurbaton Ki Dua bhi na Kar saKy..
Ab Ke tujy sapurd-e-Khuda bhi na Kar saKy..
Taqseem ho Ke reh gaye Khud Kirchyon main hum
Naam-e-wafa Ka Qarz adaa bhi na Kar saKy..
NazuK mizaj log thy hum jesy aaiena
Tooty Kuch is tarah Ke sadaa bhi na Kar saKy..
Khush bhi na raKh saKy tujhy hum apni chaah main
Achi tarah sy tujh Ko Khafa bhi na Kar saKy..
Hum muntazir rahy Koe mashq-e-sitm to ho..
Tum maslehat shanas jafa bhi na Kar saKy..
Apni tamam yaden mery pas chorr di tum ne
Tum theeK tarha mjKo tanha bhi na Kar saKey..
Subscribe to:
Posts (Atom)