Kahkashan Khan Blog This page is dedicated to all the art, poetry, literature, music, nature, solitude and book lovers. Do what makes your soul happy. Love and Peace. - D
Thursday, May 29, 2014
Mukamal kuch nahi hota,
Usay kehna!
Mukamal kuch nahi hota,
Milna b adhora hy,
Judai b adhoori hy,
yahan ek mout poori hy!
Usay kehna!
Udasi jab ragon mein,
Khoon ki manind utarti hy,
Bohat nuqsan karti hy!
Usay kehna!
Parindon ki judai pe,
Shajar jab bain karte hain,
Bohat bechain karte hain!
Usay kehna!
Bisaat-e-Ishq mein,
Jab maat hoti hy,
Dukhon k shehar mein,
Jab raat hoti hy,
Ham us dam apni ankhon mein,
USAY abad karte hain..
Usay kehna!
USAY HAM YAAD KARTE Hain..!!
Sometimes you just gotta run away
Sometimes you just gotta run away so you can see who will come after you Sometimes you just gotta talk quieter just to see who's listening Sometimes you've gotta step up in a fight but only to see who's standing by your side Sometimes you've gotta make a wrong decision only to see who's dere to fix it And sometimes You've gotta let go of da one you love just to see if dey will ever come back
Wednesday, May 28, 2014
"Haa ye sach hai k
"Haa ye sach hai k mujhe
tumse Mohabbat hai,,
.
Ye bhi sach hai k
main tumhari chahat
hun..
.
Par meri zindagi me
chahato ki kami to
nhi...
Rishte or bhi hai
ek sirf tum hi to nhi.."
Apni zaat k is pehlu se
ajj milwaaon
tumhe..??
Main kya hun, kaisi hun
batlaaon tumhe..??
.
Apni Maa ki tarbiyat hun main,
Izzat hon apne Papa ki,
Maan hun apne bhai ka,
Nishaan hun apni behno ki parchai ki,
To behak jaaon main
yeh kabhi mumkin
hi nhi...
.
Ke Dil woh sab bhi toh
rakhte hai,
ek sirf tum hi to nhi
Tuesday, May 27, 2014
wo kaisa shakhs hai k her roz saza deta hay
wo kaisa shakhs hai k her roz saza deta hay
phir hansata hay wo itna k bhula deta hay
kabi jo ro day to mujko b bhool jata hay
aur phir bhool k mujko b rula dayta hay
us say poochon k bata kis say muhabat hay tumhai?
Naam sargoshi main mera hi suna dayta hay
khud he kehta hai na dohraon purani yadain
main na dohraon to phir khud he suna deta hay
khud he likhta hai k jazbat main halchal na karo,
aur phir khud he nayee aag laga deta hay
Dil-e-Wehshi Ko Ab Aisi Saza Di Jaye
Dil-e-Wehshi Ko Ab Aisi Saza Di Jaye
Jab Bhi Ye Bolay To Awaaz Daba Di Jaye
La Taaluk Se Jab Rehney Lagen Ghar K Makeen
Phir Ye Behtar Hai K Ghar Main Dewaar Utha Di Jaye
Jab Kabhi Dost Tumhen Khud Sey Bezaar Lagay
Aisay Her Dost Ko Na Milney Ki Saza Di Jaye
Jis Se Dar Ho Kabhi Aashian K Jalney Ka
Aisi Har Shama Sar-e-Sham Bujha Di Jaye
Kocha'ey Yar Main Jab Barhney Lage
Us Ki Jaanib Se Wafa Ho Kabhi Aisa Bhi To Ho
Us Ki Jaanib Se Wafa Ho Kabhi Aisa Bhi To Ho
Be-Talab Jalwa-Numa Ho Kabhi Aisa Bhi To Ho
Meri Aankho'n Se Gire Aap K Haathon Mein Rache
Ye Lahu Masal-E-Hina Ho Kabhi Aisa Bhi To Ho
Zard Musam K Siwa Kuch Nahi Dekha Hum Ne
Barg-E-Umeed Hara Ho Kabhi Aisa Bhi To Ho
Ye Bahane To Tere Roz Ka Qesa Thhere
Tujh Se Wada Bhi Wafa Ho Kabhi Aisa Bhi To Ho
Dewtaa Ban K Sazaon Se Bacha Rehta Hai
Tujh Se Bhi Koi Khata Ho Kabhi Aisa Bhi To Ho
Zindagi Hai Meri Tarasti Huwi Tanha Kab Se
Jaam Ho To Ho Ghata Ho Kabhi Aisa Bhi To Ho
Subscribe to:
Posts (Atom)