Piyar woh mere dill main aur barha dayta hai
Kabhi rota hai kabhi woh mujh ko rola dayta hai.
Koun aata hai meri ankhon main jugnoo lay kar
Khuwahishen koun mare dill main jaga dayta hai.
Phailay karta hai baray naaz say be-barg_o_ samar
Phir meri rooh main phool woh khila dayta hai.
Woh mera chand meri ankhon say ojhal hokar
Ik sitara meri palkon pay saja dayta hai.
Uski har roz ki mulqat say dar lagta hai
roz milta hai to ik zakham naya dayta hai.
Apni qurbat main bhi rakhta hai woh furqat ki fiza
Mera apna hi toh hai mujhko saza dayta hai.
Aatish_e_gham say mere dill ko jalata hai nadeem
Woh ajab shaks hai sholay ko hawa dayta hai
No comments:
Post a Comment