Daaman-e-Zabt Bhigo
Dene Ko G Chahta Hai.
Itni Tanhai Hai Ro Dene Ko
G Chahta Hai.
Saans Ki Dor Salamat Hai
Abhi Tak Shayad.
Ab Ye Ehsaas Bhi Kho
Dene Ko G Chahta Hai.
Shakh-e-Gul Jab Bhi Tahi-
Dast Nazar Aati Hai.
Apna Dil Us Main Piro
Dene Ko G Chahta Hai.
Aik Gum'Naam Musafir Ki
Tarha Chupke Se.
Khud Ko Is Bheerr Main
Kho Dene Ko G Chahta Hai.
Rida-e-Khaak K Har Dukh
Se Dila De Gi Nijaat.
Khud Ko Matti Main Samo
Dene Ko G Chahta
Hai..!!
No comments:
Post a Comment