Na Walwalay Wo Rahay Aur Na Wo Zamaana Raha
Samaa Hayaat Ka Laikin Sadaa Suhaana Raha
Ghazal Haraam Howi, Husn Per Lagay Pehray
Mera Mizaaj Magar Phir Bhi Shayaraana Raha
Khuda Bhi Maan Liya, Bandagi Bhi Ki Oski
Taaluq Os Se Magar Apna Gaayebaana Raha
Likha Howa Tha Mera Maazi Jis Ke Tinkon Par
Meri Uraan Mein Haayil Wo Aashyaana Raha
Paron Ke Dhair Lagay Hain Wahan Wahan Ab Bhi
Jahaan Jahaan Kisi Panchi Ka Aashyaana Raha
Kaheen Kaheen Koi Raahat, Kaheen Kaheen Koi Zakham
Mere Naseeb Ka Manzar Wohi Puraana Raha
Qateel Tark-e-Maraasim Wo Kar Gaya Phir Bhi
Salook Oska Mere Saath Dostaana Raha.