Welcome to my blog!

Meet the Author

Blessed with the best _ Alhumdulillah!a million times for every blessing in my life.

Looking for something?

Subscribe to this blog!

Receive the latest posts by email. Just enter your email below if you want to subscribe!

Friday, May 10, 2013

Yeh sharab shoq hai mera aadat nahin



Ye sharab shoq hai mera, adat nahin
.
yeh jazbat jagati hai, tabhi peeta hoon
.
Adhi raat k waqt main pagal to nahin
.
Teri yaad satati hai, tabhi peeta hoon
.
Is jaam say fazilat to koi nahin
.
yeh fikar mitati hai, tabhi peeta hoon
.
Main janta hoon, mujhay kuch nahin milna is say
.
Yeh meri umer ghatati hai, tabhi peeta hoon.

Meri Zindagi....! Mujhay Yeh Bata




Meri Zindagi....!

Mujhay yeh bata mujhay bhool kar tujhay kia mila


Meri hasraton 

ka hisaab day

dill tor kar

tujhay kia mila


tere 4 din k 

piyar say

mujhay umer bhar ka ghum mila


main toot kar

bikhar gaya

mujhay tor kar

tujhay kia mila????



Yeh inyaten ghazab ki, yeh bala ki meherbani





Yeh inayaten ghazab ki, yeh bala ki meherbani


Meri khairiyat bhi puchi, kisi aur ki zubani!

___With Kahkashan Khan



Sochta hoon k usay neend bhi aati hogi





Sochta hoon k usay neend bhi aati hogi

Ya meri tarh faqat ashq bahati hogi.

Woh meri shakal mera naam bhulanay wali

Apni tasveer say kia aankh milati hogi.

Is zameen pay bhi hai sailaab mere ashqon ka

Mere matam ki sada arsh hilati hogi.

Shaam hotay hi woh chokhat pay jala k shama

Apni palkon pay kai khuwab sajati hogi.

Mere tareek zamanay say nikalnay walay

Roshni tujhko meri yaad dilati hogi.

Dill ki masson rageyen khud hi sulagti hongi

Jonhi tasveer ka kona wo jalati hogi.

___With Kahkashan 



Kisi ko neend aati hai mager khuwbon say nafrat hai..




Kisi ko neend aati hai mager khuwbon say nafrat hai


Kisi ko khuwab piyaray hain, mager woh so nahin sakta. 




Ay Meherbaan qasid





Ay Meherbaan Qasid

"Woh kaheen milay to usay

ye kaihna

k faseel_e_nafrat gira

raha hoon...

Guzray dino ko bhula 

raha hoon...

Woh apnay waday say phir 

gaya hai...

Main apnay waday nibha

raha hoon...

Kaheen milay to usay 

yeh kaihna...

Na dill main koi 

malal rakhay...

Hamisha apna khiyal 

rakhay...

Apnay saray ghum mujhay

day do aur tamam khushyan sanmbhal 

rakhay...

Kaheen milay to usay youn kaihna main tanha sawan bita chuka hoon...

Main saray arman jala

shuka hoon...


Ay Meherbaan Qasid!

Woh kaheen milay to usay yeh kaih dayna....!!!

___With Kahkashan Khan



Mainay dill k darwazay pay likha




Mainay dill k darwazay pay likha ander aana mana hai

"

*"

***"

Ishq Muskuratay huay bola

Maaf karna

"Main Andha hoon"




Main leh_lahaati hui shakh ko samjha tha zindagi





Main leh_lahaati shak ko samjha tha zindagi


Patta jo gira to dars_e_fanaa day gaya mujhay....!!!

___With Kahkashan Khan





Main aksar sham k manzar say larza is liye bhi hoon.....,,,,




Main aksar shaam k manzar say larza is liye bhi hoon"


Ufaq pay doobta sooraj, mera anjaam lagta hai"!








Thursday, May 9, 2013

Chalo bus ab maan bhi jao na








Chalo bus ab maan bhi jao na


Nahin aata mujhay fun kisi ko mananay ka

Faqat itna hi kaihta hoon

"Chalo bus ab maan bhi jao na"


Tumharay nazdeek ager meri hansi dilkash hai

To main muskura k kaihta hoon

"Chalo bus ab maan jao na"


Ager tum daikhna chaho meri ankh main aansoo

To main ro ro k kaihta hoon

"Chalo bus ab maan bhi jao na"


Saza daynay say ger hoti hai tasalli tmhai

To mian kaan pakar k kaihta hoon

"Chalo bus ab maan bhi jao na"


Daikho aisay kisi say roothna acha nahin hota

Ab main bohat maan say kaihta hoon

"Chalo bus ab maan bhi jao na"


Tum ger chaho meri sans bhi na ho baqi

To main dam_e_akhir kaihta hoon

"Chalo bus ab maan bhi jao na".



')