Kahkashan Khan Blog This page is dedicated to all the art, poetry, literature, music, nature, solitude and book lovers. Do what makes your soul happy. Love and Peace. - D
Monday, June 17, 2013
Biknay walay aur bhi hain jaa k kharid lo
Mohsin says:
"Biknay walay aur bhi hain ja kar kharid lo.
Hum log qeemat say nahin qismat say mila kartay hain".
Faraz replied to Mohsin:
"Ager chahoon to ik nigah main kharid loon usay
Jis ko naz hai bohat k bikta nahin hoon main".
Sager replied to Faraz:
"Bohat naaz hai tujhko teri nigah_e_ulfat par
Mager hum woh nahin piyaray jo nigahen char kartay hain".
& Iqbal replied to all:
"Kisi ko kharidna mere bas main nahin Iqbal
Meri sadgi daikh kar log khud hi mit jatay hain".
Woh pani ki laihron pay kia likh raha tha
Woh pani ki laihron pay kia likh raha tha
Khuda janay
Hurf_e_dua
Likh raha tha
Likhay thay jisnay wafa k maani adhooray,
Woh shaks piyar ki inteha likh raha tha,
Zara uski ankh say ik aansoo na nikla,
Woh jis waqt
Lafz_e_saza
Likh raha tha.
Mohabbat main nafrat mili thi usay
Woh har shaks ko bewafa likh raha tha
Is qader
Zamanay walon nay
Usko sataya,
Woh piyar k
Jazbay ko gunah
Likh raha tha.
Na kisi ki ankh ka noor hoon
Na kisi ki ankh ka noor hoon
Na kisi k dill ka qarar hoon.
Jo kisi k kaam na aasakay, main woh ik musht_e_gubar hoon.
Na to main kisi ka habib hoon
Na to main kisi ka raqeeb hoon.
Jo bigar gaya woh naseeb hoon
Jo ujar gaya woh dayar hoon.
Mera ranj_rup bigar gaya
Mera yaar mujhsay bichar gaya.
Jo chaman fizaa main ujar gaya
Main usi ki fasl_e_bahar hoon.
Parhnay fatiha koi aaye kiun
Koi chaar phool charhaye kiun.
Koi aik shama jalaye kiun
Main woh bekasi ka mazar hoon.
Main nahin hoon naghma_e_ janfishan
Mujhay sun k koi karay ga kia.
Main baray baroog ki hoon sada
Main baray dukh ki pukaar hoon.
Tumhai udas sa pata hoon main bohat din say
Tumhai udas sa pata hoon main bohat din say
Na janay koun say sadmay utha rahi ho tum
Woh shokhiyan , woh tabassum
Woh qaihqay na rahai
Har im cheez ko hasrat say daikhti ho tum.......
Chupa chupa k khamoshi main apni bechaini
khud apni raaz ki tashheer ban gai ho tum.
Tum apnay husan ki ranaiyon par reham karo.
Mujhay tumhari judai ka koi ranj nahin. mere khayal ki duniya mian mere pass ho tum.
Yeh tum nay theek kaha hai k tumhai maila na karoon. mager mujhay yeh bata do k kiun udas ho tum?
Khafa na hona meri bat par o jana. Tumhai khaber hai meri zindagi ki aas ho tum.
Mera tu kuch bhi nahin hai main ro k jee loon ga
mager khuda k liye tum aseer_e_gham na raho.
Hua hi kia hai jo zamanay nay tum ko cheen liya
Yahan par koun kis ka hua hai kabhi socha tu nay?
Mujhay qasam hai meri dukh bhari jawani ki
Main khush hoon meri mohabbat k phool thukra do.
Main apni rooh ki har ik khushi mita loonga
Mager tumhari musarrat mita nahin sakta.
YEH GHUM BOHAT HAIN MERI ZINDAGI MITANAY KO
UDAS REH K MERE DILL KO AUR RANJ NA DO.
Khuwabon ki ik basti thi
Khuwabon ki ik basti thi
Ik larki usmain rehti thi
Apnay ghar k angan main
Kuch sapnay boya karti thi
Apnay kamray ki khirki main
Boondon say khaila karti thi
Sab k samnay hansti thi
aur
Chup chup k roya karti thi
Chand ko kaheen dair tak
Woh aksar ghoora karti thi
Phir...
Khud say baten karti thi
Daiknay wali sab ankhon ko
Kanch ki gurya lagti thi
Toot gai to sab nay jana
Woh pagli
Piyar kisi say karti thi.!!!
Adhooray pan ki rafta rafta yeh takmeel karti hai
Adhooray pan ki rafta rafta yeh takmeel karti hai
Mohabbat zindagi ko husan say tabdeel karti hai
Kabhi socha bhi hai tunay k woh maghroor si larki
Na janay kiun tere har hukum ki tameel karti hai
Nahin roti hai ab woh band kamray main kaheen ghut kar
Woh apnay ansoo'n ko shsher main tasmeel karti hai
Munawwar hoti jati hai shama jab raat dhalti hai
Teri dosti mere ehsas ko qandeel karti hai
"Sagar" doob jatay hain bina sochay bina samjhay
Woh apni ankh ko jab khamoshi ki jheel karti hai.
Subscribe to:
Posts (Atom)