Welcome to my blog!

Meet the Author

Blessed with the best _ Alhumdulillah!a million times for every blessing in my life.

Looking for something?

Subscribe to this blog!

Receive the latest posts by email. Just enter your email below if you want to subscribe!

Friday, July 12, 2013

Suno! jab dill k angan main





Suno!
 jab dil k angan mian
khizaen muntazir pao,

Suno! 
Jab behti ankhon main

kisi ko pass na pao

Suno! 
Jab yaad hum aayen
hum-en ap bholna chaho

to bas ik bar apnay dill pay
apna hath rakh layna
faqat awaz day dayna
faqat ehsaas kar layna

Suno!
hum lout aayen gay
tumhai apna banayen gay!

khwahishon k angan main





khwahishon k angan main , raat din basairay thay

titliyan tumhari theen aur phool mere thay


chand aasmano say jab zameen pay utra tha


daikhnay main raten theen asal main awaira tha


tere pass basnay ki , khai thi qasam likin


sheher b paraya tha,log bhi loutaray thay


lut gaye hain hum'''' to qasoor kis ka hai


khwahishen bhi teri theen, faislay bhi tere thay.


"Kash tum daikh sakti.?





"kash tum  daikh sakti.?
.
"tootay huay dill ko
behtay huay ansoo'n ko is 
adooray pan ko.
.
"kash tum parh sakti.?
.
"mere haton ki lakeeron ko
"khuwabon ki tabeeron ko
"dill k afsano ko
.
"Kash tum samjh sakti.?
.
"mere lafzon ki gherai ko
"honton ki sachai ko
"mehfil ki tanhai ko

.
"kash tum jor sakti.?

"is dil ko
"is rishtay ko
"is waaday ko
.
"likin yeh soch kar
"khamosh ho jatay hain!
.
"kash"
"tum jaan saktay meri is mohabbat ko..

Tum ne pucha hai chalo tum hai bata datay hain





Tum ne pucha hai chalo tumhai bata daytay hain
jo hum pay guzri hai tum ko bhi bata daytay hain

Tere baad humen khud pay bhi aitbaar nahin
lafz likhtay hain likh k mita daytay hain.

Nami ankhon main liye logon say kabhi hans layen
To aisa lagta hai k khud ko saza daytay hain.

Teri yaad say ik pal bhi ghafil nahin raha
younhi dill k behel janay ko bhula daytay hain

Hum ne hans k tere sath guzaray thay kabhi
yaad aatay hain jo woh pal to rula daytay hain.

Hukum tera hai tou tameel kiye daytay hain














Hukum tera hai to
tameel kiye daytay hain,

zindagi hijar main tehleel
kiye daytay hain,

tu meri visaal ki khwuahish
pay bigarta kiun hai,

raasta hi tu hai, chalo
tabdeel kiye dayatay hain,

aaj sab ashkon ko 
ankhon k kinaray pay
bulao,

aaj is hijar ki hum
takmeel kiye daytay hain,

hum jo hanstay huay achay 
nahin lagtay tum ko

hukum karo nkhen abhi 
jheel kiye daytay hain...

Thursday, July 11, 2013

woh sahilon pay janay walay kia hua





Woh sahilon pay janay walay kia hua

Woh kashtiyan jalanay walay kia hua

subah aatay aatay reh gaye kahan

jo qafilay thay aanay walay kia hua

main jinki raah daikhta hoon raat bhar

woh roshni dikhanay walay kia hua

ye koun log hain mere idhar udhar

woh dosti nibhanay walay kia hua

imaraten to jal k raakh ho gayeen

imaraten bananay walay kia hua

ye aap aur hum to bojh hain zameen ka

zameen ka bojh uthanay walay kia hua!

Ishq ki inteha kia hai.?





Kisi nay Allama Iqbal say pucha
"Aqal ki inteha kia hai?"
jawab mila:
"HAIRAT"
phir pucha gaya:
hairat ki inteha?
"Ishq"
"Ishq" ki inteha kia hai?
farmaya: "Ishq la inteha hai, is ki koi inteha nahin."
sawal karnay walay nay kaha: " magar aapnay likha hai
"Teri ishq ki inteha chahta hoon"
aapnay mukura k kaha: dusray misray main apni ghalti ka aitraaf bhi kiya hai k
"Mei saadgi daikh kia chahta hoon"

Chalo woh ishq nahin ' chahnay ki aadat thi





Chalo woh ishq nahin' chahnay ki aadat thi

par kia karen humyen aik doosray ki aadat thi

main kia kahoon k mujhay saber kiun nahin aata.

main kia karoon k tujhay daikhnay ki aadat hai

tu apni shahista gari ka hunar na kar zaya

main aaina hoon mujhay to tne ki aadat hai

wisaal main bhi wohi faslay firaq k hain

k us ko neend ' mujhay raat jagnay ki aadat hai

k khud aziyati akhir kab tak 

A

tu bhi usay na yaad kia kar ' jisay bholnay ki aadat hai.

Ishq k ilaqay main Hukum_e_yaar chalta hai .. zaabtay nahin chaltay.





Ishq k ilaqay main Hukum_e_yaar chalta hai
zaabtay nahin chaltay.

Husan ki adalat main aajizi to chalti hai.
Martabay nahin chaltay.
Dosti k rishton ki parvarish zaroori hai.

Silsilay taa'luq k kud say ban to jatay hain likin shagoofon ko tootnay bikharnay say rokna bhi parta hai.

Chahaton ki maati ko arzoon k poday ko seenchna bhi parta hai.

Ranjishon ki baton ko bhoolna bhi parta hai.

Kiun k

ishq k ilaqay main Hukum_e_yaar chalta hai.........zaabtay nahin chaltay.

"MOHABBAT" akhirish hai kia...???





Main shayar hoon to aksar log mujhsay puchtay hain ..
Is haseen israar k baray main batayen to bhala kia hai..???


"Mohabat akhirish hai kia....?''

Wasi main hans k kaihta hoon.

Kisi piyasay ko apnay hissay ka pani pilana bhi... Mohabbat hai.

Bhanwar main doobtay ko sahil tak lay k jana bhi ... Mohabbat hai

Kisi k wastay nannhi si qurbani .... Mohabbat hai.

Kaheen hum raaz saray khol saktay hon , magar phir bhi kisi ki ki bebasi ko daikh kar  khamosh hojana bhi ...Mohabbat hai.


Kaheen barish main saihmay , bhigtay billi k bachay ko zara si dair ko ghar lay k aana bhi...Mohabbat hai.

Koi chirya jo kamray main bhatakti aan nikli ho to us chirya ko phanka band kar k raasta bahir ka dikhlana...Mohabbat hai.

Kisi k zakham sehlana , kisi rotay hua dill ko behlanaa...
Mohabbat hai.

K meetha bol, meethi baat, meethay lafz, sab kiya hain..? Mohabbat hai.

 Mohabbat aik hi bas aik hi insaan ki khatir magan rehna.
Hama waqt us ki baton , Khushboun main, Dolna kab hai. Mohabbat
Sirf uski zulf k baal kholna kab hai...
Mohabbat k hazaaron rang , lakhon istaa'ray hain.
Kisi bhi rang main ho ye mujhay apna banai hai.

')