Kahkashan Khan Blog This page is dedicated to all the art, poetry, literature, music, nature, solitude and book lovers. Do what makes your soul happy. Love and Peace. - D
Tuesday, September 3, 2013
Es Tarha Se Wo Jaan_E_Adaa Baithi Hai
Es Tarha Se Wo
Jaan_E_Adaa
Baithi Hai
Jis Tarha Takht
Pe
Bilqees_E_Sabaa
Baithi Hai
Tera Chehra Bhi
Osi Phool Ki
Maanind Laga
Aik Tittli Teri
Tassveer Pe Aa
Baithi Hai
Kiya Khabr Thi,
Ye Aziyet Bhi
Uthaana Hogi
Khat Jallaate
Huwe Wo Haath
Jalla Baithi Hai
Jaane Kiya Soch
K Wo Hijar Zard
C Larrki
Do Parindoon Ko
Dareeche Se
Urra Baithi Hai
Yoon Tu Baithi
Hein Kayein Or
Hasseenain Bhi
Sub Mein Hote
Huwe, Wo Sub
Se Judda Baithi
Hai
Aik Muddat Se
Mein Ghar Se
Nahi Nikla Sahir
Aik Muddat Se
Mere Dar Pe
Qazaa Baithi Hai.
Monday, September 2, 2013
Ye Zindagi Badi Ajeeb Si,
Ye Zindagi Badi Ajeeb Si,
Kabhi Gulzaar Kabhi Bezaar Si,
Kabhi Khushi Hamare Sath Sath,
Kabhi Gamon Ki Barsat Si,
Ye Zindagi Badi Ajeeb Si...
Kabhi Toofan Mein Bhi Hai Raaste,
Kabhi Manzilon Ka Pata Nahi,
Kabhi Do Kadam Pe Zindagi,
Kabhi Sadiyon Tak Intezaar Si,
Ye Zindagi Badi Ajeeb Si...
Kabhi Har Pal Imtihaan Hai,
Kabhi Bin Maange Inaam Hai,
Kabhi Kuch Nahi,
Kabhi Sab Kuch Si
Ye Zindagi Badi Ajeeb Si,
Kabhi Gulzaar Si Kabhi Bezaar Si...
Piyar k Deep Jalany walay, Kuch Kuch Pagal hotay hain
Piyar k Deep Jalany walay, Kuch Kuch Pagal hotay hain
Apni Jaan se Janay walay, Kuch Kuch Pagal hotay hain
Hijr k Gehray Zakham milay to Mujh ko ye Ehsaas hua
Pagal ko smjhany walay, Kuch Kuch Pagal hotay hain
Jaan se Piyaray Logon se bhi Kuch Kuch Parda Lazim hai
Sari Baat batanay walay, Kuch Kuch Pagal hotay hain
Uss k Ishq main Bheeg k "WASI" Hum ko ye Ehsaas hua
Dil ki Baat main aanay walay, Kuch Kuch Pagal hotay hain
Subscribe to:
Posts (Atom)