Kahkashan Khan Blog This page is dedicated to all the art, poetry, literature, music, nature, solitude and book lovers. Do what makes your soul happy. Love and Peace. - D
Thursday, December 26, 2013
Barhti Huwi Har Roz Ki Wehshat Se Gire Ga ..
Barhti Huwi Har Roz Ki Wehshat Se Gire Ga ..
Lagta Hai Walli Apni Welayat Se Gire Ga ..
Hum Teen Hain Main Hoon Ye Zamee'n Hai Wo Falak Hai ..
Hum Main Se Koi Toot K Shiddat Se Gire Ga ..
Ay Sabz Shajar !! BoL Tujhe Kitna Hilaoo'n ..
Ye Jisam Ka Phall Kitni Ibaadat Se Gire Ga ..
Aansoo Hai, Parinda Hai, Sitaara Hai Falak Hai ..
Kiya Kuch Na Teri Aankh Ki Ghaflat Se Gire Ga ..
Kiyon Sar Ko Utha Kar Teri Jaanib Koi Dekhay ..
Girna Hai To Phir Kon Ijaazat Se Gire Ga ..
Girte Huwe Mushkil Mujhe Pesh Aai To Socha ..
Be-Jaan-e-Badan Kitni Sahoolat Se Gire Ga ..
Ess Shehar Ki Buniyaad Main Pehley Bhi Lahoo Tha ..
Ye Shehar Essi Apni Nahoosat Se Gire Ga ..
Dushman Bhi Essi Taak Main Muddat Se Hai Lekin ..
Ye Ghar Meray Apno'n Ki Wasattat Se Gire Ga ..
TaaQat Ki Yahaan Koi Zaroorat Hi Nahi Hai ..
Nafrat Ka Darinda Hai Muhabbat Se Gire Ga ..
KaL Raat Ko Main Ne Aik Khuwaab Dekha,
KaL Raat Ko Main Ne Aik Khuwaab Dekha,
Khuwaab Main Aik Chehra Maine Be-NaQaab Dekha,
Dekhta Hi Reh Gaya Tha Main Unhain,
Hussan Hi Kuch Aisa La-Jawaab Dekha,
Noor Hi Noor Tha Saraapa Un Ka,
Kitnaa Be-MisaaL Shabaab Dekha,
Dekha Surukh Laboo'n Ko Jub Muskuraaty Howe Un K,
To GuLshan Main Sharminda GuLaab Dekha,
Bedaar Howe Neend Se To Ye Jaana Sanam,
Kitna Haseen Tha Jo Main Ne Khuwaab Dekha,
Hasrat Hain Unhain Phir Dekhne Ki SAHiL,
Apni Bhi To Kuch Niyyat Kharaab Dekha,
Tuesday, December 24, 2013
December theher jao
December theher jao
Abhi lamhay nahin bikhray
Abhi mousam nahin bichray
Mere kamray ki thandak main
Bhi kuch dhoop baqi hai
Meri diary k kuch safhay
Abhi kuch keh nahin paaye
Mere angan k sab poday abhi bhi bhi gungunatay hain
Mere bejaan honton par
Abhi muskaan wesi hai
Kisi k lout aaney ka imkaan baqi hai
December i baat boloon ager maan jao
December tum theher jao!
Pehle saleeb_e_dard ki hum se zubaan li
Pehle saleeb_e_dard ki hum se zubaan li
Phir us ne ja k baat zamay ki maan li
Kal shaam youn hua k hawaon k zikar par
Bujhtay huye charagh ne bhi janlnay ki thaan li
Woh pesh pesh aaj saf _e_ dushmana main hai
Kal jisne bhheek mang kar hum se amaan li
Phir us ne hum se rotay huaye alvida kaha
Basti main jab uqaab ne chiriya ki jaan li
Jo khud ko keh raha hai hawaon ka tajdaar
Usne to hum se mang kar itni uraan li
Shayed kharidny ko aye woh ik din
So hum ne zindagi se wafa ki dukaan li....
Usey kehna! Yeh duniya hai...
Usey kehna!
Yeh duniya hai...
yahan har shaks matlab ki
hadon tak sath chalta hai...
Jounhi mousam badalta hai
Mohabbat k sabhi Daawey!
Sabhi Qasmen!
Sabhi Waadey!
Achanak toot jatay hain
Usay kehna!
Yaeh duniya hai
Yahan har morr pay
Apnii!
Sada ankhen khuli rakhna!
Koi Kitna bhi acha ho
Koi kitna bhi sacha ho
Magar
Aitbaar matt karna!
Usy kehna yeh duniya hai !!!
Subscribe to:
Posts (Atom)