Kahkashan Khan Blog This page is dedicated to all the art, poetry, literature, music, nature, solitude and book lovers. Do what makes your soul happy. Love and Peace. - D
Monday, May 5, 2014
Rehna tha mujh ko teri nazar k kamaal mein
Rehna tha mujh ko teri nazar k kamaal mein
Lekin main din guzaar rahi hoon zawaal mein
Ghaira hai is tarah mujhe wehshat k jaal ne
Sab khawab mere doob gaye is malaal mein
Mujh se nazar chura k guzarnay lagi hawa
Aanay lagi jo hijr ki khushbu wisaal mein
Hoon saa-at-e-azaab mein kiyun main abhi talak?
Ik umar se ghhiri hoon issi ik sawaal mein
Bay chainiyaan tamaam hi main uski orrh loon
Shamil mujhe karay tau kabhi apnay haal mein
Main sun rahi hoon phir se judaai ki aahatein
Jeena parray na phir se inhi maah-o-saal mein
Qismat se raah mein jo jazeeray humain milay
Tere gumaan mein thay,na mere khayyaal mein
Dilon Men Phir Sey Nayi Chahten Saja Bethay
Dilon Men Phir Sey Nayi Chahten Saja Bethay
Galay Milay To Sab He Ranjishen Bhula Bethay
Wo Jis Ko Pyar Ka Mafhoom Tak Nahi Maloom
Us K Dar Pey He Kiyun Jaan-O-Dil Luta Bethay
Khabar Bhi Thi Keh" Hawayen Wafa Nahi Kartin
Unhi K Dosh Pey Phir Kiyun Diya Jala Bethay
Yeh Nain Qurb Men Be-Ikhtiyaar Hotay Hain
Jo Baat Dil Ney Chupaayi Wohi Bataa Bethay
Jo Patharon K Hawalay Sey Maotbar Hai Bohat
Hum Usi Sheher Men Sheeshay Ka Ghar Bana Bethay
Aisa Bhi Nahi Us Se Mila De Koi Aa Kar_
Aisa Bhi Nahi Us Se Mila De Koi Aa Kar_
Kesa Hai Woh Itna To Bta De Koi Aa Kar_
Yeh Bhi Kisi Maa Ka Dulara Koi Hoga_
Is Qabar Pe Bhi Phool Charha De Koi Aa Kar_
Sookhi Hain Bari Dair Se Palko'n Ki Zubane'n_
Bus Aaj To Ji Bhar K Rula De Koi Aa Kar_
Barso'n Ki Dua Phir Na Kahin Khaak Mai Mil Jaye_
Yeh Abar Bhi Aandhi Na Urra De Koi Aa Kar_
Yeh Koh'Yeh Sabza'Yeh Machalti Hui Nadiya'n_
Mar Jaun Jo Manzil Ka Pta De Koi Aa Kar_
Har Ghar Pe Hai Aawaz Ek Dar Pe Hai Dastak_
Betha Hun K Mujh Ko Bhi Sadaa De Koi Aa Kar_
Jab Tera Dard Mere Saath Wafa Karta Hai..
Jab Tera Dard Mere Saath Wafa Karta Hai..
Ik Samandar Meri Aankhon Se Baha Karta Hai..
Uss Ki Batain Mujhe Khushbu Ki Tarah Lagti Hain..
Phool Jaisey Koi Sehra Main Khila Karta Hai..
Mere Dost Kii Pehchan Yahi Kaafi Hai..
Woh Har Ik Shakhs Ko Daanista Khafa Karta Hai..
Aur Tu Koi Sabab Uss Ki Muhabbat Ka Nahi..
Baat Itni Hae Kay Woh Mujh Se Jafa Karta Hai..
Jab Khizan Aai Tu Laut Aaye Ga Woh Bhi..
Wo Bahaaron Main Zara Kam Mila Karta Hai..
Phr Shaaam Hui ,,,, Phir Maqtal Saja ....
Phr Shaaam Hui ,,,,
Phir Maqtal Saja ....
Teri Yaadon Ki Barhanah Shamsheer Liyea
Ankh Ki Dehleez Pa Thera
Adhoora Khuwaab Apni Aahni Zanjeer Liyea
Magar Ye Ratjage Jo Qabiz Hain
Meri Neendon K Sheher Pa
_In Se Koun Kahai _
Bichar Jaao ..... Ab Khuda K Liyea
Jaise K
Khuwaab Gar Bichray ...
Hamaisha Hamisha K Liyea _
MoHabBat Ab N@hiN HOti
Z@kham JitNy BHi GhERay HoN
BHarNa Hi MuQaDDar H@i
Jo GiR KaR SanMbHal JaYe
AsAl MaiN WOh SIkandEr H@i
YeHi Ada@t HaI BaRsoN Se
K AB MaIN KHusH ReHta HooN
Baat JiTni Bhi KarWi Ho
Na Is Dil Pa LaYta Hoon
AkSar LikH Bhi DyTa Hoon
QaLam Se TaZkir@h USka
YEh AnkHen Ab Nahin BharTin
Na AB YEh Dil LaRzta Hai
MeRi YaaDon Ki B@sti Se
N@ Koi Sh@ks Guz@rta Hai
Kiun K !!
MoHabBat Ab N@hiN HOti
MOhabbaT Ho CHuki HUm Ko!
Subscribe to:
Posts (Atom)