Kahkashan Khan Blog This page is dedicated to all the art, poetry, literature, music, nature, solitude and book lovers. Do what makes your soul happy. Love and Peace. - D
Monday, June 9, 2014
Shaayad Mujhe Kisi Se Mohabbat Nahi Howi
Shaayad Mujhe Kisi Se Mohabbat Nahi Howi
Laikin Yaqeen Sab Ko Dilaata Raha Hun Mein
Ik Husn-e-Bemisaal Ki Tamseel Ke Lye
Parchaayion Pe Rung GIraata Raha Hun Mein
Apna Misaalya Mujhe Ab Tak Na Mil Saka
Zarron Ko Aaftaab Banaata Raha Hun Mein
Kia Mil Gaya Zameer Hunar Baich Kar ?
Itna Ke Sirf Kaam Chalaata Raha Hun Mein
Kal Dophair Ajeeb Si Ek Be-Dili Rahee
Bas Titliaan Jalaa Ke Bujhaata Raha Hun Mein'
'Jeene Waale Qazaa Se Darte Hain
'Jeene Waale Qazaa Se Darte Hain
Zaher Pee kar Dawaa Se Darte Hain,
zaahidon ko kisi kaa Khaof Nahi
Sirf kaali Ghataa Se Darte Hain,
Aah Jo kuch kahe Hamen Manzoor
Nek Bande Khudaa Se Darte Hain,
Dushmano K Sitam ka Khaof Nahi
Doston ki Wafaa Se Darte Hain,
Azm-o-Himmat K Baawajud "Shakeel"
Ishq ki Ibtadaa Se Darte Hain.'
Doob Jaayenge Sitaare Aur Bikhar Jaayegi Raat
Doob Jaayenge Sitaare Aur Bikhar Jaayegi Raat
Dekhti Reh Jaayengi Aankhen Guzar Jaayegi Raat,
Raat kaa Pehlaa Pehar Hai Ahel-e-Dil Khaamosh Hain
Subah Tak Roti Howi Aankhon Se Bhar Jaayegi Raat,
Aarazu ki Behisi kaa Gar Yehi Aalam Rahaa
Betalab Aayega Din Aur BeKhabar Jaayegi Raat,
Shaam Hi Se So Gaye Hain Log Aankhen Moond kar
kis ka Darwaaza khulega kis K Ghar Jaayegi Raat.'
Sunday, June 8, 2014
Subscribe to:
Posts (Atom)